Aap ﷺ ka Apni Ummat Se Mohabbat



Hazrat-e-Anas radhi allaho anho se riwayat hai ki huzur rahmat-e-alam sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki: har nabi ki ek khas aur maqbool dua hoti hai.to har nabi ne use dunya hi me maang liya aur main ne qayamat ke din apni ummat ki shafa'at ke liye apni dua ko bacha kar rakh liya hai.[Sahi Muslim,Hadith No:198,199]
Hazrat-e-Amar bin Aas radhi allaho anho bayan karte hain ki:Ek raat Huzur ﷺ ne us aayat ki tilawat kiya jis me hazrat-e-Ibrahim alaihissalam ne apni ummat ke baare me apne Rab se dua kiya hai ki: Aye mere Rab un buto ne bahut saare logo ko gumrah kar diya hai to jin logo ne meri pairwi kiya to woh log beshak mere hain.(Surah Ibrahim,Aayat No.36)Aur us aayat ki tilawat kiya jis me Hazrat-e-Isa alaihissalam ne apni ummat ke baare me Allah Ta’ala se faryaad karte hue arz kiya ki “ Aye Allah agar tu in logo ko azaab de to ye sab tere hi bande hain aur agar to in ko maaf karde to beshak to gaalib hikmat wala hai” (Surah Maaida,Aayat No.118)Phir Huzur ne apna haath uthaaya aur kahne lage “Ya Allah!Meri ummat Meri ummat”aur Aap ﷺ rone lage.To Allah Ta’ala ne farmaya ki:Aye Jibreel!Mere mahboob ke paas jaao aur tumhara Rab khoob jaanta hai.phir bhi un se puchho ki woh kyun ro rahe hain? To Hazrat-e-Jibreel aae aur huzur se puchha to huzur ne bataya ki mere rone ki wajah,Meri ummat ki fikr hai.To hazrat-e-Jibreel ne Allah ta’ala se huzur ki baat arz kiya jab ki Allah khud jaanta hai.To Allah Ta’ala ne farmaya ki aye Jibreel mere mahboob ke paas jaao aur un se kaho ki “Ham unhen un ki ummat ke baare me raazi aur khush kardenge unhen gamgin nahi hone denge.(Sahi Muslim,Hadis No.202)

Share.........




Related Topics



Aap ﷺ ki Namazen Aap ﷺ ke Roze Aap ﷺ Ka Haj Aur Umrah Aap ﷺ Ka Sadqa aur Khairaat Aap ﷺ Ki Taqrir Aap ﷺ Ke Khat Aap ﷺ Ki Wasiyaten Aur Nasihaten Aap ﷺ Ki Aman Pasandi Aap ﷺ ke Mo'jaze Aap ﷺ ka Adl O Insaaf Aap ﷺ Ki Sakhawat Aap ﷺ ka Husn- e-Akhlaq



Dawat-E-Quran