Rasool-e-Kareem ﷺ ki Mukammal Zindagi



Aap sallallaho alaihe wasallam ka Naam-e-mubarak:Mohammad,Ahmad.sallallaho alaihe wasallam.Iske elawah Aap ke ahadeese mubarakah me bahut saare naam aaye hain, jaise Mustafa, Mujtaba, Murtaza,Muzammil,Mudassir waghairah.
Waalid-e-majid ka inteqaal:Aap sallallaho alaihe wasallam abhi apni waldah-majidah ke shikam Mubarak(pet) hi me the ki aap ke waalid mohtaram Hazrat Abdullah Shaam ke tijarati safar se wapsi ke dauraan Madina sharif me apne waalid Hazrat Abdul Muttalib ke nanihaal me ruke aur bimaari ki wajah se wahi intqaal farma gaye.
Tareekh e wiladat :Aap sallallaho alaihe wasallam 12 Rabi ul awwal baroz-e-doshamba(Monday),20th april 571 A.D ko Makka sharif me paida hue. (iske ilawah 8,9 aur 11 Rabil ul awwal bhi kitabon me likha gaya hai magar ziyadah sahi 12 rabi ul awwal hi hai. Kyunki Makkah sharif ke log isi tareekh ko hamesha Aap sallallaho alaihe wasallam ki paida'ish ka din (Yani Milad) manate the.
Nasab namah sharif, walid -e- majid ki taraf se :Hazrat Mohammad sallallaho alaihe wasallam bin Abdullah bin Abdul muttalib bin Hashim bin Abd e Munaaf bin Qussai bin Kilaab bin Murrah bin Ka'ab bin Lui bin Galib bin Fahar bin Maalik bin Nazar bin Kananah bin Khuzaimah bin Mudrika bin Iliyas bin Muzar bin Nazaar bin Ma'ad bin Adnan.
Nasab namah sharif, waldah majida ki taraf se :Hazrat Mohammad sallallaho alaihe wasallam bin Hazrat e Aaminah binte Wahab bin Abd e Munaaf bin Zahrah bin Kilab bin Murrah.Murrah pe aa-kar Aap sallallaho alaihe wasallam ke waledain ka nasab mil jata hai.
Aap sallallaho alaihe wasallam ke chacha:1. Haaris 2. Abu Talib 3. Zubair 4. Hamzah 5. Abbas 6.Ghidaaq. 7. Muqawwim 8. Zaraar 9. Qusum 10. Abdul' kaabah 11. Jahal. In me se sirf Hazrat-e- Hamzah aur Hazrat-e- Abbas radhi allaho anhuma ne islam qabool kiya.
Aap sallallaho alaihe wasallam ki phupiyaan:1.Aatikah 2. Umima 3.Umme hakim 4. Birrah 5.Safiyah 6.Urwi.
Aap sallallaho alaihe wasallam ne jin auraton ka doodh piya woh ye hain :1.Hazrat e Aaminah 2.Hazrat e So'waiba 3.Hazrat e Haleema Sa'adiya 4.Hazrat e Umme Aiman radhi allaho anhunna.
Wiladat ka pehla (1st)saal:Aap sallallaho alaihe wasallam ne 2,3 din apne waldah mohtarama ka doodh piya. uske baad kuchh din harzta So'waiba ka doodh piya phir wiladat ke ek hafte ke baad Arab ke tariqe ke mutabiq doodh pilane ke liye Hazrat Halima Sadiya radhi allaho anho ke hawale kar diye gaye, aur Aap sallallaho alaihe wasallam do saal tak hazrat Halima ke ghar rahe phir jab doodh pine ka zamana khatam ho gaya toh Hazrat Halima Aap sallallaho alaihe wasallam ko lekar aap ki waldah Hazrat Aamina ke paas aayi aur unse guzarish ki ke kuchh din aur huzoor ko mere ghar pe rehne de, phir ijazat milne ke baad woh Aap ko wapas apne ghar le aayi. Lekin wiladat ke teesre saal jab farishton ne pehli baar Aap sallallaho alaihe wasallam ka seena chaak(chira) kiya toh is waqiye se ghabra kar kuchh hi dino ke baad dobara Aap sallallaho alaihe wasallam ki waldah mohtarma ke hawale kar di. Is tarah Aap sallallaho alaihe wasallam apni waldah mohtarma ke pass aagaye.
Wiladat ka chhatha (6th)saal:Aap sallallaho alaihe wasallam ki umr mubarak jab 6 saal ki hui toh aap ki waldah ka inteqaal hogaya. Iske baad Aap sallallaho alaihe wasallam ki parwarish aap ke dada Hazrat Abdul Muttalib ne farmaya. Lekin do saal ke baad apke dada ka bhi inteqaal hogaya to phir Aap ki parwarish ki zimmedaari Aap sallallaho alaihe wasallam ke rehamdil chacha Abu Talib ne ada farma'ee.
Wiladat ka terahwaan (13th) saal:Jab Aap sallallaho alaihe wasallam ki umr 13 saal ki hui toh pehli baar Aap ne apne chacha Abu Talib ke saath mulk-e-shaam(Syria) ka safar farmaya. Isi safar me Bahira Raahib ka waqiya pesh aaya. Phir 23 saal ki umr me Aap sallallaho alaihe wasallam ne mulk-e-shaam ka dusra safar tijarat ki niyat se Hazrat Khadija radhi allaho anha ka maal lekar unke ghulam Mai'sara ke saath kiya.
Wiladat ka pachchiswa (25th) saal:Aap sallallaho alaihe wasallam ne 25 saal ki umr me Hazrat Khadija radhi allaho anha se nikah farmaya us waqt Hazrat Khadija radhi allaho anha ki umar 40 saal ki thi aur woh bewa thi. Jab tak Hazrat khadija zinda rahi Aap sallallaho alaihe wasallam ne dusra nikah nahi farmaya. Aap sallallaho alaihe wasallam ki tamaam biwiyon ke naam ye hain.
Aap sallallaho alaihe wasallam ki biwiyan:1. Hazrat e Khadija 2.Hazrat e Saudah 3.Hazrat e Ayesha 4.Hazrat e Hafsa 5.Hazrat e Umme Salma 6.Hazrat e Umme Habiba 7.Hazrat e Zainab bint e Jahash 8.Hazrat e Zainab bint e Khuzaima 9.Hazrat e Maimoonah 10.Hazrat e Juwai-riyah 11.Hazrat e Safiyah radhi allaho anhunna.
Aap sallallaho alaihe wasallam ki baan'diyaan :1.Hazrat e Mariya Qibtiya 2.Hazrat e Rehana 3.Hazrat e Nafisa. radhi allaho anhunna.
Aap sallallaho alaihe wasallam ke bete :1.Hazrat e Qasim 2. Hazrat e Abdullah (Aap Tahir ke laqab se bhi jaane jaate hain) 3. Hazrat e Ibrahim radhi allaho anhum.
Aap sallallaho alaihe wasallam ki betiyaan :1.Hazrat e Zainab 2.Hazrat e Ruqaiyah 3.Hazrat e Umme Kulsoom 4.Hazrat e Fatima zahra radhi allaho anhunna.
Aap sallallaho alaihe wasallam ki tamaam awlaad e mubarak Hazrat e Khadija se huyi siwaye Hazrat e Ibrahim radhi allaho anho ke.Woh Aap sallallaho alaihe wasallam ki baandi Hazrat e Mariya Qibtiya radhi allho anha ke shikam se paida hue.
Nabuwat ka pehla (1st) saal:Huzur sallallaho alaihe wasallam elaan-e-nabuwat se pehle aksar Gaar-e-Hira me jaakar Allah ta'ala ki ibaadat me lage rehte the. Jab Aap sallallaho alaihe wasallam ki umr 40 saal ki hui toh Gaar-e-Hira me pehli baar aap par wahi utri jisme surah Alaq ki pehli 5 ayaten thi. phir Aap sallallaho alaihe wasallam ne Safa pahaad par chadh ke apni nabuwat ka elaan farmaya. Shuru me Hazrat-e-Khadija,Hazrat-e-Abu'bakar,Hazrat-e-Ali aur Hazrat-e-Zaiad bin Haarisa ne Islam Qubool kiya. Aur Hazrat Abu Bakr ki tabligh se aur bhi logo ne Islam Qubool kiya,inhi me Hazrat Arqam bhi the. Hazrat Arqam hi ke ghar me deeni talim-o-tarbiyat ki sab se pehli dars-gaah qayam hui aur elaan-e-nabuwat ke baad 3 saal tak Islam ki taalim-o-tabligh hoti rahi. Aur is 3 saal me taqriban 40 logo ne Islam qabool kiya. Shahar se bahar namaz ada ki jaati rahi aur khufiya tariqe se sab kaam hota raha. 3 saal ke baad Allah ta'ala ne Aap sallallaho alaihe wasallam ko khul kar dawat dene ka hukum diya. phir khul kar dawat ki shuru'aat hui. Aur saath hi me kaafiron aur mushrikon ki taraf se mukhalifat ka bhi samna pada. Shuru me mukhalifat kam rahi lekin baad me jab kafiron ne zulm-o-sitam ki hadd paar kardiya toh Aap sallallaho alaihe wasallam ne nabuwat ki panchwi saal musalmano ko Habsha ki taraf hijrat ki ijazat di, toh Hazrat Usman Gani radhi allaho anho ki Qiyadat me 11 mard aur 4 aurton ne Habsha ki taraf hizrat ki. Is safar me Hazrat Usman ke saath unki biwi Hazrat Ruqaiyya bint-e- Rasoolallah sallallaho alaihe wasallam bhi thi.
Nabuwat ka chhatha (6th)saal:Nabuwat ke chhathe saal Aap sallallaho alaihe wasallam ke chacha Hazrat-e-Hamzah aur uske teen din baad Hazrat-e-Umar Farooque radhi allaho anhuma Islam le aaye. Hazrat-e-Umar ke Islam laane ke baad pehli martaba khan-e-kaaba me namaz ada ki gayi lekin kaafiron ki mukhalifat khatam nahi hui aur nabuwat ke satwen saal kaafiron ne Aap sallallaho alaihe wasallam ke khandaan walon kamukammal boycott kar ke ek pahaad(mountain) ki ghaati me gher kar rakh diya, is pahaad ki ghaati me Aap sallallaho alaihe wasallam teen saal tak rahe aur in teen saalon me Aap sallallaho alaihe wasallam ko badi taklifon ka samna karna pada. Na koi Aapse baat karta tha naa hi koi dukan'daar Aap se koi saman bechta tha.
Nabuwat ka daswa (10th)saal:Nabuwat ke duswen saal, Aap sallallaho alaihe wasallam ne Makkah walon se na-ummeed ho kar Taa'if ke logo ko Islam ki dawat dene ke liye Taa'if tashreef le gaye. Lekin yahan ke logo ne Aap sallallaho alaihe wasallam ko itna patthar mara ki Aap khoon se lahu-lahan hogaye.phir bhi Aap ne un zalimon ke liye bad-dua nahi farmaya. Isi saal Aap sallallaho alaihe wasallam ke chacha Abu Talib ka inteqaal huwa jo aap se badi mohabbat karte the aur hamesha aap ka saath dete the aur isi ke teen ya panch(5) din ke baad Aap sallallaho alaihe wasallam ki piyari biwi Hazrat-e-Khadija radhi allaho anha ka inteqaal huwa. Is saal Aap sallallaho alaihe wasallam ko lagataar kai gahre gham pahuche isi wajah se is saal ka naam 'Aamul-Huzn' yani gam ka saal rakha gaya. Isi saal Aap sallallaho alaihe wasallam Me'raj me tashreef legaye phir namaz farz hui.
Nabuwat ka giyarahwaan (11th) saal:Nabuwat ke giyarahwi saal Madina Shareef ke 16 logon ne Islam qabool kiya. Phir Aap sallallaho alaihe wasallam ke nabuwat ki shohrat hui toh nabuwat ke barahwi saal Madina Shareef ke taqriban 90 logo ne Islam qabool kiya. Aur Aapsallallaho alaihe wasallam ko Madina Shareef aane ki dawat diya.
Nabuwat ka terahwaan (13th) saal:Nabuwat ki terahwi saal Aap sallallaho alaihe wasallam ne kaafiron ke sakht zulm-o-sitam ko dekhte hue musalmano ko Madina Shareef hijrat karke jaane ki ijazat ata farmaai.To Musalman apna sab kuchh chhor ke deen ki khatir Madina shareef jaane lge. Aur ek din aisa aaya ke kaafiron ne Aap sallallaho alaihe wasallam ko jaan se maarne ka mukammal mansuba(plan) bna liya toh Aap bhi Hazrat-e-Abu Bakr ke saath hijrat karke Madina shareef chale aaye.
Note:Hijri saal(islamic calendar) ki shuru'aat yahi se hoti hai.jaise abhi 1437 hijri chal raha hai to is ka matlab ye huwa ki huzur ko makka chhor kar Madina sharif aaye hue 1437 saal ho gaye.
1 hijri ke khaas waqi'yaat: Madina shareef aane ke baad Huzoor ne sab se pahli masjid "Masjid-e-Quba" ki taamir sahaba ke sath milkar farmaya. Phir iske baad "Masjid-e-Nabawi" ki taameer hui. Huzoor sallallaho alaihe wasallam ke Madina sharif aa'ne ke baad waha ke bahut saare logo ne Islam Qabool kiya aur tezi se Islam phailne laga. Jab musalmano ki tadaad bahut hoga'i toh namaz ki dawat ke liye azaan dene ka tareeqa shuru hua.
2 hijri ke khaas waqi'yaat:Hijrat ke dusre saal qibla tabdil huwa, aur Masjid-e-Aqsa ke bajae khana-e-kaaba ki taraf rukh kar ke namaz padh ne ka hukm diya gaya. Isi saal jang-e-Badr hui. Jisme kaafiron ki sakht haar aur muslamano ko badi jeet haasil hui. Isi jang me Abu'jehal ke saath Makkah ke bade bade sardar maare gaye aur bahut saare qaid kiye gaye. Isi saal ramzan ke roze farz hue, aur namaz-e-Eid aur Baqra Eid ada ki ga'i aur qurbani bhi ki ga'i. aur isi saal Aap sallallaho alaihe wasallam ne apni sab se piyari beti Hazrat-e-Fatima radhi allaho anha ka nikah Hazrat-e- Ali radhi allaho anho ke sath kiya.
3 hijri ke khaas waqi'yaat: Hijrat ke teesre saal Jang-e-uhad hui aur isi jang me Aap sallallaho alaihe wasallam ke chacha Hazrat-e-Hamzah shaheed hue. Isi saal 15 Ramzan ko Hazrat-e-Imam Hasan paida hue. Huzur sallallaho alaihe wasallam ne apni beti Hazrat-e-Umme kulsum radhi allaho anha ka nikah Hazrat Usman radhi allaho anho se farmaya, aur Aap sallallaho alaihe wasallam ne Hazrat-e-Umar Farooque radhi allaho anho ki beti Hazrat-e-Hafsa aur Hazrat-e-Zainab bint-e-Khuzima se nikah farmaaya. Ab tak musalmano ka mushrika aurton ke saath nikah karna ja'iz tha. Isi saal isko haraam kar diya gaya.
4 hijri ke khaas waqi’yaat: Is saal shabaan ke mahine me Hazrat-e-imam Hussain radhi allaho anho paida hue the, aurAap sallallaho alaihe wasallam ki biwi Hazrat-e-Zainab bint-e-Khuzaima radhi allaho anha ka wisaal huwa tha. Isi saal Huzoor sallallaho alaihe wasallam ne Shawwal ke mahine me Hazrat-e-Umme Salma radhi allaho anha se nikah farmaya. Isi saal shadi shuda admi ko zina krne par sang-saar(stoned to death) karne aur chor ka hath kaatne ka hukm nazil huwa, aur sharab bhi haraam qarar diya gaya.
5 hijri ke khaas waqi’yaat:(1) Isi saal ghazwa-e-khandaq aur ghajwa-e-banu Quraiza pesh aaya.(2) Isi saal Gazwa-e-Mari'si ke mauqe par hazrat-e-Aaisha radhi allaho anha ka haar Madina Shareef se qareeb hi ek jagah ''salsal'' me gum hogaya tha jiski wajah se un par tohmat wala waaqi'ya pesh aaya, aur pani na milne ki surat me tayammum karne ka hukm nazil huwa. Parda ka hukm bhi isi saal nazil hua.
6 hijri ke khaas waqi’yaat:(1) Is saal huzur sallallaho alaihe wasallam umrah ke iraade se zil'qada ke mahine me peer(Monday) ke din Makkah sharif ke liye rawana hue magar raaste me Hudaibiya ke maqam pe kaafiron ne roka jiski wajah se jang ki surat paida hogai lekin akhir me sulah hogai jo ''sulah Hudaibiya'' ke naam se mash’hoor hai aur isi mauqe par Bai'at-e-Rizwan bhi hui. Is saal bahut saari islami jangyen hui.
7 hijri ke khaas waqi’yaat:Gazwa-e-khaibar isi saal huwa jis me musalmano ko fatah hasil hui aur is gazwah ke mauqe se bahut saare waqiyaat pesh aaye , unme se kuchh ye hain. (1) gadhe ke gosht ko haram qarar diya gaya. (2) Darinde jaanwar or panja marne wale parindo ko Huzur ne haraam qarar diya. (3) Hazrat Safiya radhi allaho anha se huzur ne nikah farmaya. (4) Khaibar ki ek yahoodi aurat ne huzur sallallaho alaihe wasallam ko khaane me zahar mila kar diya. (5) Maqaam-e-Sahba me Hazrat-e-Ali ki namaz-e-Asr qaza hoga'ee toh huzur sallallaho alaihe wasallam ne dube suraj ko lautaya.(6) Mut'aa yani ek khaas zamane tak ke liye nikah karne ko haram qarar diya gaya. Usi saal zil-qada ke mahine me huzur ne sahaba ke saath umrah ada farmaya jo sulah Hudaibiya me tay paaya tha. Usi saal Aap sallallaho alaihe wasallam ne Hazrat-e- Maimoona radhi allaho anha se nikah farmaya.
8 hijri ke khaas waqi’yaat: Is saal Makkah fatah huwa, aur iske baad Hunain ke jang ka waqiya pesh aaya. isi saal Masjid-e-Nabawi Shareef me Mimbar banaya gaya or isi saal Huzoor sallallaho alaihe wasallam ke bete Hazrat-e- Ibrahim , Hazrat-e-Mariyah Qibtiya radhi allaho anha se paida hue.
9 hijri ke khaas waqi'yaat:Is saal haj farz huwa,aur Huzur-e-Akram sallallaho alaihe wasallam ne Haj ke mauqe par Hazrat-e-Abu Bakr Siddique ki sarbarahi (Leadership) aur Hazrat Ali ki naqabat me (Yani haj ke masa’il sikhane aur kuchh zaruri elaan karne ke liye) 300 haajiyon ka qaafila rawana farmaya. Quran ne isi haj ko 'hajj-e-akbar'yaani bada haj kaha is liye ki ye pehla mauqa tha ke Hazrat-e-ibraahim alaihissalam ke tariqe ke mutabiq Haj ke Arkaan ada kiye gaye, Allah ke ghar khana-e-kaaba sharif me jaheliyat ki hukumat mukammal tariqe se khatam aur islami hukumat ki shuru'aat ka aelaan kiya gaya aur Zamana-e-jaheliyat ki tamam behuda rasm-o-riwaaj ko galat qarar diya gaya. Is saal pure mulk me aman-o-amaan ki fiza qayam hogai aur Moharram ke mahine me Zakat wasul karne ke liye khaas log muqarrar kiye gaye. Sood ko bhi isi saal haraam qarar diya gaya.
10 hijri ke khaas waqi’yaat: Is saal Aap sallallaho alaihe wasallam ke bete hazrat-e-Ibrahim radhi allaho anho ka inteqaal huwa aur isi saal Aap sallallaho alaihe wasallam ne apna pahla aur akhiri haj bahut saare sahaba-e-kiram ke saath ada farmaya. Is haj pe jaate waqt Aap sallallaho alaihe wasallam ne logon se is tarha mulaqaat kiya jaise woh saksh mualaqaat karta hai jise maloom ho gaya ho ke woh ab duniya chhor kar jaane wala ho isi liye ye haj 'Hajjatul-wida' ke naam se mash’hoor huwa.
11 hijri ke khaas waqi'yaat: Jab Huzur sallallaho alaihe wasallam Hajjatul wida se wapas tashreef laaye toh 24 safar pir(Monday) ke din Aap ne ek lashkar Hazrat-e-Osama bin Zaid ki qayadat me mulk-e-Shaam ke Isaaiyon se ladne ke liye tayyaar farma kar rawana kiya lekin abhi ye lashkar Madina Shareef se kuchh hi door gaya tha ke 12 Rabiul-Awwal ba'roz pir(Monday) Huzur-e-Aqdas sallallaho alaihe wasallam ka wisaal ho gaya jisse pura Madina gam me doob gaya.
Aap sallallaho alaihe wasallam ki tareekh-e-wisaal :12 Rabi ul awwal baroz e do shamba 11 hijri, 12 june 632 A.D (isme bhi kai aur taarikh'yen likhi ga'ee hain magar ziyadah sahi yahi hai)
Aap sallallaho alaihe wasallam ko gusl dene wale muqaddas sahaba :1. Hazrat-e-Ali murtaza 2. Hazrat-e- Osama bin Zaid 3. Hazrat-e-Fazl bin Abbas radhi allaho anhum.
Aap sallallaho alaihe wasallam ke gusl ke liye Gars naam ke kuwe (well) se paani laaya gaya tha jo quba ke Qareeb tha aur us kuwe ke malik hazrat e Sa'ad bin khusaima the. Aap sallallaho alaihe wasallam apni zindagi me aksar isi kuwe(well) ka paani piya karte the aur iske baare me irshaad farmaya tha ki "Gars ka kuwa(well) behtareen kuwa(well) hai.ye jannat ke chashmo(streams) me se ek behtareen chasma(stream) hai" iska paani bahut hi pakeeza hai.us paani me bairee ke patte bhi milaye gaye the.
Kafan mubarak: Aap sallallaho alaihe wasallam ko 3 safed kapdon me kafan diya gaya. Yeh teeno kapde yaman ki ek jagah "Sahool" ke bane hue the isi wajah se unhe "Sahooliya" kaha jata hai.
Namaz-e-janaza: Is baare me ekhtilaf hai ki Aap sallallaho alaihe wasallam ki namaz-e-janazah kaise padhi ga'e magar ziyadah raajeh (preference) baat yeh hai ki jab janaza tayyar ho gaya toh pehle mardon ne phir auraton ne phir bacchon ne namaz e janaza padhi.janaza kamre ke andar hi tha baari baari thode thode log andar jaate aur namaz padh kar chale aate.lekin koi imam nahi tha aur us janaze me jiase aam taur se maiyyat ke liye maghfirat ki dua ki jaati hai woh dua bhi nahi padhi gayi aur uski jagah darood sharif padha gaya.
Qabr-e-Mubarak: Aap sallallaho alaihe wasallam ka wisaal hazrat- e-Ayesha radhi allaho anha ke kamre me hua aur usi kamre me aap ki qabr-e-mubarak banayi gayi. Aap ki qabr-e-mubarak Hazrat e Abu Talha radhi allaho anho ne khoda.
Mukammal umr sharif : Aap sallallaho alaihe wasallam ki mukammal umr sharif 63 saal ki hui.
Share.........




Related Topics



Beta aur Seerat-e-Mustafa ﷺ Baap aur Seerat-e-Mustafa ﷺ Shauhar aur Seerat-e-Mustafa ﷺ Malik aur Seerat-e-Mustafa ﷺ Bhai aur Seerat-e-Mustafa ﷺ Rishtedaar aur Seerat-e-Mustafa ﷺ Padosi aur Seerat-e-Mustafa ﷺ Garibo ki madad aur Seerat-e-Mustafa ﷺ Business aur Seerat-e-Mustafa ﷺ



Dawat-E-Quran