Begair Dekhe Allah Ko Kaise Maane?



Ginti ke kuchh logo ko chhor kar puri dunya ke log is baat ko maante hain ki Aasmaan,Zameen,Chaand,Suraj,Darya,Pahaar, Darkht,Path-thar aur is ke elawah dunya me paayi jaane wali beshumaar chizo ka koi na koi paida karne wala zarur hai. Agarche ham use apni zaaheri aankho ki raushani se nahi dekh sakte.Lekin aqal ki raushani aur dil ki basirat se ham use yaqeeni taur se jaan aur samajh sakte hain.Kyunki ham khoob achchhi tarah se jaante hain ki koi chhoti se chhoti chiz begair banaane wale ke wajood me nahi aati hai.To phir itni badi dunya aur uska be-misaal system,Suraj ka nikalna aur doobna,Raat ke baad din aur phir din ke baad raat ka aana,Chaand ka zaahir hona aur phir nazar se gaayeb ho jaana,Hawa ka chalna,Badal ka barsna,Zameen ka ugaana,Kali ka chatakna,Phool ka khilna, Parindo ka chahakna aur be-shumar azeeb-o-garib chizo ka wajood begair kisi banaane wale ke kaise wajood me aa sakta hai.Goya ye dunya aur usme maujood chizen khud apne banaane wale ke wajood par sab se badi daleel hai.Jis se koi aqal rakhne wala sakhs inkaar nahi kar sakta.
Kya kisi baat ka yaqeen karne ke liye dekhna zaruri hai? Har aqal wale ka jawab “Nahi” hai.Kyunki hamri dunya me beshumar chizen aisi hain jinko ham apni aankho se nahi dekh sakte,Magr uska pura yaqeen rakhte hain.Jaise phool me khushbo maujood hoti hai,Magr uske andar maujood khushbu ko aankh se nahi dekhi jaa sakti.Isi tarah har insaan ke andar Rooh (jaan) hoti hai,Jis ki wajah se woh chalta phirta hai aur khaata pita aur bolta hai,Magar us Rooh ko koi nahi dekha hai aur nahi dekh sakta hai.Magar sabhi log Rooh ke hone ka pura yaqeen rakhte hain.Maloom hua ki kisi chiz ke hone ka yaqeen karne ke liye aankh se dekhna zaruri nahi.
Aakheri Baat:Dunya ki woh tamam chizen jo hamari paidaaish se pahle banaayi gayi ya baad me banaayi gayi magar ham ne bante hue nahi dekha.In sab ko dekhte hi ham jaan jaate hain ki in chizo ko kisi ne banaaya hai,Kyunki begair banaane wale ke in chizo ka wajood ho hi nahi sakta.Ye ilm use bhi ho jaata hai jo ilm ke samandar me dooba huwa ho aur us shakhs ko bhi jo kisi jangal me paida huwa aur ilm ka lafz bhi nahi suna.Phir is azeem dunya ko dekh kar uske banaane wale ka ilm kaise nahi hoga.Jo log is bani hui dunya ko to maante hai magar banaane wale ko nahi.Unki misaal aisi hi hai jo Taaj Mahal ko to maane magar banaane wale ko nahi.
Haqiqat ye hai ki Allah Ta’ala ko jaan ne ke liye badi badi kitaabo ko padhne ki zarurat hai aur nahi kahi jaane ki,Allah Ta’ala ne khud isko insaan ke liye itna asaan bana diya hai ki har shakhs apni jagah par rah kar asaani ke saath jaan sakta hai.Jaise bayan kiya gaya hai ki Arab ke ek dehaati se sawal kiya gaya ki: Allah ke hone par kya daleel hai? To usne kaha: Subhanallah! Gobar ka hona jaanwar ko btaata hai aur qadam ke nishaan se chalne wale ka ilm ho jaata hai to kya burjo wala asmaan aur kushaadah raasto wali zameen aur mauju wale samandar, Kya us zaat ka ilm nahi deta jo bada jaan ne wala aur badi qudrat wala hai.
Insaan dusri tamaam chizo ko chhor kar agar khud apne wajood hi par gaur kare to Allah Ta’ala ke wajood ko maane begair nahi rah sakta. Jaise ek waqt woh tha jab woh kuchh nahi tha,Phir huwa,Phir nahi rahega,Phir hoga.Aakhir woh kaun hai jis ne use wajood bakhsha aur phir use ek din maut dega aur phir dunya me jo kuchh usne kiya uska hisaab lega aur achchhe kaam par in’aam aur bure kaam par saza dega? Allah Ta’ala ne apni kitaab Quran Majeed me is haqiqat ko kitne achchhe andaaz me bayan farmaaya:

كَیْفَ تَكْفُرُوْنَ بِاللّٰهِ وَ كُنْتُمْ اَمْوَاتًا فَاَحْیَاكُمْ-ثُمَّ یُمِیْتُكُمْ ثُمَّ یُحْیِیْكُمْ ثُمَّ اِلَیْهِ تُرْجَعُوْنَ

Tum Allah ka kaise inkaar kar sakte ho jab ki tum bejaan the,Usne tumhe zindagi diya,Phir wahi tumhe maut dega phir wahi tumhe dobarah zinda karega phir tumhe usi ki taraf lautaaya jaaega.[Surah Baqra,Aayat No:28]
Share........




Related Topics



Quran me kaafiro ko qatal karne ka hukm? Islam me parda kyun? Qurbani me jaanwaro ko kaat kar kya faaida? Ek se ziyadah shadi,Aurato ke saath naa-insaafi hai? Islam me talaaq kyun? Islami sazaayen insaaniyat ke saath zulm hai?



Dawat-E-Quran