Quran Me Kafiro Ko Qatal Karne Ka Hukm?



Quran sharif me hai “Kaafiro ko jahaan paao qatal karo”.[Surah Baqrah,Aayat No.191]
Ye Quran sharif ki ek aayat ka tukra hai jise islam ke khilaaf mahaul banaane ke liye khoob phailaya jaata hai.
Mere Piyare Bhai! Aaj fitne ka zamaana hai,Dunya me har taraf jhoot,Dhoka,ayyari aur makkari phaili hui hai.Apne faaide ke liye kisi baat ko tor mor aur kaant chhaant kar pesh karna ek aam si baat ho gayi hai.Aise halaat me sirf suni sunaayi baato par hargiz yaqeen nahi karna chaahiye aur nahi kisi aise vedios par jis ko jaan bujh kar logo ko gumraah karne hi ke liye banaaya gaya hai.
Upar me jo aayat ka tukra pesh kiya gaya hai uski haqiqat bayan karne se pahle,Munasib ye hai ki pahle aap ye jaan len ki Musalmano ko jang karne ki ijaazat kab,Kaise aur kyun mili?
Jab Huzur Nabi Kareem Sallallaho alaihe wasallam ne Makka me logo ko ek Allah ki ibaadat ki taraf bulaaya aur unhe neki aur bhalaayi ka raasta ekhtiyar karne ka hukm diya,To bahut kam logo ne aap ki baat maani aur ziyadah tar log aap ke dushman ban gaye,Lekin Aap Sallallaho alaihe wasallam apna kaam karte rahe jis ki wajah se dhire dhire log islam qabool karne lage. Is surat me Aap Sallallaho alaihe wasallam ke dushmano ne aap ke raaste me rokawat daalne ka faisla kiya.Pahle to baat chit ke zariye,Phir daulat aur aurat ka laalach de kar,Lekin jab is me kaamyab nahi hue to woh log maar peet aur zulm-o-sitam par utar aaye aur islam laane wale logo ke saath khud Aap Sallallaho alaihe wasallam ko bhi sataane lage.
13 saal tak in logo ne musalmano par aise aise zulm kiye jis ki daastaan padh kar aaj bhi kaleja munh ko aata hai.Kisi ko aag par letaaya gaya,Kisi ke gale me rassi daal kar path-rili zameen par ghaseet ghaseet kar maara gaya,Kisi ko to jaan hi se maar diya gaya,Haasil ye hai ki jitna woh kar sakte the sab kuchh kiya.In halaat me kuchh musalmano ne apni hifazat ki khaatir ladne ki ijaazat maangi,To unhe rok diya gaya jis ka bayan Quran Sharif ke Surah Nisa Aayat 77 me hai:

اَلَمْ تَرَ اِلَى الَّذِیْنَ قِیْلَ لَهُمْ كُفُّوْا اَیْدِیَكُمْ وَ اَقِیْمُوا الصَّلٰوةَ وَ اٰتُوا الزَّكٰوةَ۔[نساء:۷۷] "

Tarjama: Kya tum ne un logo ko nahi dikha jin se kaha gaya ki tum apne haath ko rok lo aur namaz qaayem karo aur zakat do.”
Lekin ye baat bhi thi ki aakhir musalman kab tak zulm sahte rahenge? Is liye 13 saal baad jang karne ke bajaae ye hukm diya gaya ki musalman is jagah ko chhor kar dusari jagah chale jaaen. Ye ek bahut mushkil hukm tha.Kyunki ek insaan jahan paida hua, Jahaan par uski dukaan aur makaan hai,Khet aur khalyaan hai sab ko chhor kar kaise jaa sakta hai.Lekin musalman sirf Allah ki riza ke liye apna sab kuchh chhor kar Makka se door “Yasrab” chale gaye,Jiska baad me naam “Madina” hua. Lekin iske baad bhi Makka ke gair-muslimo ka josh thanda nahi hua aur musalmano ko Madina aa kar unhe khatam karne dhamki dene lage aur unko mitaan ki koshish karne lage.Us waqt musalmano ko jang ki ijaazat di gayi,Aur is baare me pahli aayat jo naazil hui woh ye hai:

اُذِنَ لِلَّذِیْنَ یُقٰتَلُوْنَ بِاَنَّهُمْ ظُلِمُوْا، وَ اِنَّ اللّٰهَ عَلٰى نَصْرِهِمْ لَقَدِیْرُ، الَّذِیْنَ اُخْرِجُوْا مِنْ دِیَارِهِمْ بِغَیْرِ حَقٍّ اِلَّااَنْ یَّقُوْلُوْا رَبُّنَا اللّٰهُ۔[سورہ حج:۳۹-۴۰]

Tarjama: Ijaazat di gayi un logo ko jang karne ki jin se jang kiya jaata hai.Is liye ki un par zulm kiya gaya hai.Aur beshak Allah un mazloom logo ki madad par qaadir hai.Woh log jinhe unke gharo se naa-haq nikaala gaya,Sirf is liye ki woh kahte hain ki Allah hamara Rab hai.[Surah Hajj,Aayat No.39-40]
Is ijaazat ke baad islami jang aur uska rule aur maqsad aur tariqe ko bayan karne ke liye jo aayate naazil hui,Unhe aayato me se ek woh aayat bhi jis ka ek tukra noch kar logo me galat fahmi phailaayi jaati hai.Ham yahan par woh puri aayat pesh karte hain.Aap gaur se padhe aur khud dekhe ki dhoke baaz logo ne kaisi khayaanat ki hai.

وَ قَاتِلُوْا فِیْ سَبِیْلِ اللّٰهِ الَّذِیْنَ یُقَاتِلُوْنَكُمْ وَ لَا تَعْتَدُوْا-اِنَّ اللّٰهَ لَا یُحِبُّ الْمُعْتَدِیْنَ ، وَ اقْتُلُوْهُمْ حَیْثُ ثَقِفْتُمُوْهُمْ وَ اَخْرِجُوْهُمْ مِّنْ حَیْثُ اَخْرَجُوْكُمْ وَ الْفِتْنَةُ اَشَدُّ مِنَ الْقَتْلِ-[سورہ بقرہ:۱۹۰-۱۹۱]

Is me un mazloom musalmano se farmaya gaya ki “Lado” qatal karo,Zalimo se jang karo “Allah ke raaste me” yani tumhare ladne ka maqsad apne inteqaam ki aag bujhaana na ho,Dushman ke maal par qabza karna na ho,Balki uska maqsad sirf haq ki sar-bulandi ho,Aman aur sukoon ko qaayem karna ho,Zulm ko khatam karna ho,mazloom ko zaalim ke panje se nikaalna ho. In sab maqsad ke liye kin se jang karna hai,usko is tarah se bayan kiya gaya. “ un logo se jo tum se jang karte hain” tumhare logo ko qatal karte hain,Taaqat ke zor pe tumhe baatil ke saamne jhukne par mazboor karte hain,Jo Azaadi aur insaaniyat ke dushman hain.Magar is shart ke saath ki “ Tum ziyadati nahi karna” jo log tumhare khilaaf nahi lade unhe mat maarna,Unke kheto ko barbaad mat karna,unke bachcho aur aurato aur bodho ko haath nahi lagaana, kyunki “Allah had se badhne walo ko pasand nahi karta”.In baato ko dimaag me rakhte hue “ aise log jo tum se jang karte hain woh haram me hon ya baahar jahaan bhi un se muqaabla ho unhe maaro unse jang karo kyunki “Fina qatal se bhi ziyadah sakht hai” insaaniyat ke liye.
Ye hai is aayat ka sidha saadha matlab.Ab aap khud dekhe ki ye aman aur sukoon ko qaayem karne ki taalim hai ya dahsht-gardi ki?
Aaj har mulk ke paas fauj aur jangi samaan ki kasrat hai aur har din naya se naya aur ziyadah se ziyadah tabaahi phailaane wale hathyaar tayyar kiye jaa rahe hain.In sab ka kya maqsad hai aur kis liye ye tayyariyaa hain? Dunya ki har qaum me jang raha hai aur sab ki taarikh me jangi waqiyaat hain.Lekin kaun kis maqsad ke liye jang kiya aur kis ke jangi qaanoon kya the.Aur islami fauj aur dusre fauj ke darmiyan kya farq raha hai.Jab aap ye sab padhenge aur analysis karenge to aap ko hairat hogi aur aap ye kahne par majboor ho jaaenge ki islami jang bhi insaaniyat ke rahmat hi rahmat hai.
Share........




Related Topics



Begair dekhe Allah ko kaise maane? Islam me parda kyun? Qurbani me jaanwaro ko kaat kar kya faaida? Ek se ziyadah shadi,Aurato ke saath naa-insaafi hai? Islam me talaaq kyun? Islami sazaayen insaaniyat ke saath zulm hai?



Dawat-E-Quran