Qurbani Me Janwaro Ko Kaat Kar Kya Faaida?



Musalmano ka dusara mazhabi tehwaar,Yani Qurbani ke aate hi social media aur T.V par log is ke baare me bahas karte nazar aate hain aur is par tarah tarah se eteraaz karte hain.Aur apna apna falsafa baghaar kar musalmano ko is se rokne ki koshish karte hain.Un logo ke eteraazo ki kya haqiqat hai,Aaiye dekhte hain.
Eteraaz No:1.Pahla eteraaz economy ke nuqta-e-nazar se hai.Un ka kahna hai ki Jo paise qurbani par kharch kiye jaate hain,Yahi agar kisi gareeb ko de diye jaae to kitne logo ka bhala ho jaaega.
JawabPahli baat,Musalman koi bhi ibaadat is liye nahi karta hai ki is se hame dunyawi faaida milega,Balki musalman har ibaadat sirf apne aur saari dunya ke paida karne wale Allah ki riza aur khushnoodi haasil karne ke liye karta hai.
Magar ye ek haqiqat hai ki Allah Ta’ala ne jis bhi ibaadat ka hukm diya hai usme bande ke liye ukhrawi faaide ke saath be-shumar dunyawi faaide bhi hain.Ek zamaane tak log gumaan karte the ki islami ibadaat jaise wazu,namaz,rozah wagairah ka dunyawi koi faaida nahi hai.Magr ilm aur science ki taraqqi ne ye saabit kar diya hai insaani jism aur dimaag ki tandarusti ke liye ye sab qudrat ki taraf se diya hua anmol tohfa hai.Aaj in sab topic par alag alag kitaabe bhi likhi gayi hain.Aur kitne gair-muslim hain jinho ne in sab ke andar chhupe hikmat aur logic ko dekh kar islam qabool kiye,Kyunki un ka kahna tha ki aaj se 1400 saal pahle jab ilm aur science ne taraqqi nahi kiya tha us waqt insaano ko aise kaam karne ka hukm dena kisi aadmi ka kaam nahi ho sakta,ye zarur uska hukm hai jis ne insaano ko paida kiya aur woh har chiz jaanta hai.Magar musalman us waqt bhi aur aaj bhi dunyawi faaide ke liye nahi balki sirf apne Rab ki riza ke liye uske hukm par amal karte hain.
Ab aaiye Qurbani ki taraf! Agar ham is hukm ko sirf economy ke nuqta-e-nazar se bhi dekhe,To ye taraqqi ka bahut bada zariya hai aur is par sirf wahi eteraaz kar sakta hai jo economy se bilkul jaahil hoga.Kyunki
No.1: Qurbani ki wajah se mulk ke andar farming aur cattle industry taraqqi haasil karti hai,Jis se aam taur par chhota kisaan ya gareeb log hi jude hote hain.Qurbani ke mauqe par unhe apni mehnat ki achchhi qimat mil jaati hai jo aam market me nahi mil paata.Is tarah qurbani daulat ki taqseem par positive asar daalti hai.
No.2: Jo log kahte hain ki ye tamam raqam waise hi garibo ko de di jaae,Woh ye nahi jaante hain ki gareebi ka asal elaaj paise baant-na nahi hai balki gareeb tabqa ke liye economical activities karna hota hai.Aur Qurbani is ka behtareen zariya hai.
No.3: Phir in jaan-waro ka gosht dunya bhar ke gareebo me baanta jaata hai.Aur samaaj ka woh tabqa bhi ji bhar ke gosht khaata hai jo pure saal sirf uska khaab he dekhta hai.
No.4: Phir in jaanwaro se jo chamra haasil hota hai us se leather products bante hain jis se laakho logo ka roz-gaar juda hua hai.
No.5: Transport se jude log in dino jaanwaro ko ek jagah se dusari jagah le jaa kar kamaayi karte hain,Aur is mauqe se bahut se gareeb log jaanwaro ka chaara bech kar kamaate hain.aur gosht kaatne wale logo ki bhi ek achchhi kamaayi ho jaati hai.
Haasil ye hai ki Qurbani sirf kuchh dino me arbo rupiye ke saving ko market me laa kar economy ke chakke ko tez kar deti hai.Jo log economy me “Multiplier” ke concept ko jaante hain woh kabhi qurbani par is tarah ka eteraaz nahi kar sakte.Rahi baat jaahil ki aur begair logic ke baat karne walo ki,to unka koi etebaar nahi.
Beshak islam garibo ko direct raqam dene ka mukhaalif nahi hai,Balki zakaat aur sadqa-e-wajib ki surat me musalmano par farz hai ki woh aisa kare.Iske elawah biwa,yateem aur gareeb logo ki madad ki jo ahmiyat islam me hai,Woh aur kisi mazhab me nahi.In sab ke saath Qurbani ke zariye dusre logo ko faaida pahunchaane aur gareebo ke liye behtareen khaane ka intezam karne ka jo system islam me hai uski misaal aur kahi nahi milti. Is gareeb-dost tehwaar ke mauqe par garib logo ki himaayat ki aar me islam par eteraaz karne walo ki haalat ko dekhe to maloom hota hai ki in se bada garibo ka dushman aur koi nahi hai,aur yahi log gareebo ko gurbat ki aag me jhokne ke sab bade zimmedar hain.
In logo ka haal ye hai ki in me se koi bhi gareebo ko sakht se sakht zarurat par bhi begair sood (interest) ke qarz nahi de sakte.Kyunki gareeb ki gurbat in ke liye apni daulat badhaane ka ek aham zariya hai.In aqal ke yateem logo ko un arbo rupiye ki barbaadi dikhaayi nahi deti jo har din ameer log pizza aur burger par ura dete hain aur shaadi ke mauqe par sirf apni shaan dikhaane ke liye 10/10 hazaar ke Card par kharch kar dete hain. Aur tarah tarah ke khurafaat me karoro rupiye barbaad kar dete hain.Happy New Year, Valentine day aur is tarah ke dusre mauqe par be-hayaai ayyashi aur sharaab noshi par ek raat me karoro rupiye barbaad karte hain,Jis ka koi achchha natija nahi hota.Aise waqt me in logo ko gareebo ka khayaal bhi nahi aata. Magar yahi log Qurbani ke mauqe par garibo ka masiha ban jaate hain.Afsoos! In logo ka asal mas’ala garib-parwari nahi balki Islam dushmani hai.Allah in logo ko hidayat de.
Eteraz No.2: Qurbani ki wajah se jaan-waro ki nasal kushi hoti hai, Is liye ise band kar dena chaahiye.
Jawab: Kya jaanwar sirf qurbani ke mauqe hi par zibah hote hain? Zaahir hai ki nahi,Balki puri dunya me har din be-shumar jaanwar kaate aur khaae jaate hain.Aur ye koi aaj se nahi balki hazaaro saal se chal raha hai.Aur in kaatne aur khaane walo ka ta’alluq alag alag mazhabo se hai.Phir jaanwaro ki nasal kushi ka ilzam sirf musalmano hi par kyun? Aur Sirf Qurbani hi ko band karne ki koshish kyun? Dunya bhar ke hotels me gosht ke tarah tarah ke itmes bante hain,Unko kyun nahi?
Agar in eteraaz karne walo ki baat maan li jaae ki qurbani se jaanwaro ki nasal khatam hone ka dar hai.To ab tak jaanwaro ko khatam ho jaana chaahiye tha.Kyunki hazaaro hazaar baras se dunya bhar ke log kaat aur khaa rahe hain.Magar aisa nahi hua aur nahi aane wale dino me is ka koi imakaan hai.To phir in logo ke dar ki kya haisiyat rah jaati hai,Woh jag zaahir hai.
Asal baat ye hai ki dunya me jis chiz ka jitna ziyadah istemal hota hai log us par utna hi ziyadah dhiyaan dete hain.Kyunki is se jude hue faaide unko aisa karne par majboor karte hain. Gaur Karen! Jin jaanwaro ki qurbani hoti hai,Jaise bakri,bakra,Oont, gaae wagairah,Log unhe kyun paalte hain aur in ka itna ziyadah khayaal kyun rakhte hain? Kutta,Billi,Chohe ka kyun nahi? Jabki jaanwar to dono hain.Jawab yahi hoga ki aisa is liye ki in jaanwaro ki qurbani hoti hai,Aur log khaate hain.Aur iski wajah se inke pichhe mehnat karne walo ko achchha badla milta hai. Ab aap soche ki agar sabhi jaanwar ko khaana chhor diya jaae,to kya hoga? Zaahir hai ki log in jaanwaro ka dhiyan rakhna chhor denge,na koi paalega aur nahi koi inke pichhe mehnat karega. Phir inka bhi anjaam kutaa billi ki tarah ho jaaega.Maloom hua ki Qurban kiye jaane wale jaanwar jo kasrat se dunya me hai woh Qurbani ki barkat hai.Yani Qurbani in ki nasal ko baaqi rakhne ka zariya hai,Na-ki mitaane ka. Gaur karo.
Eteraaz No.3: Qurbani jaanwaro par zulm aur be-rahmai hai.
Jawab:Kaun sa kaam zulm aur be-rahmi hai aur kaun nahi? Ise kaun tay karega? Agar ye ekhtiyar har insaan ko de diya jaae to phir dunya ka har insaan zalim hoga,Kyunki ek chiz ko ek insaan zulm samajhta hai jabki thik usi chiz ko dusara rahmat samajhta hai.Misaal ke taur par ek shakhs samajhta hai ki machhli ko paani se nikaal kar maar dena aur phir usko aag par bhoon kar khaa jaana badi be-rahmi aur zulm ka kaam hai. Isi tarah choohe ko maarne wali dawa,Machchhar maarne wala auzaar banana zulm hai,Magar dunya ke dusare log isme koi harj nahi samajhte hain balki in sab ko rahmat samajhte hain. Is liye pahle ye tay hona chaahiye ki kisi kaam ko zulm ya rahmat qaraar dene ka ekhtiyar kis ko hai aur kis ko nahi? Is baare me kis ki baat maani jaaegi aur kis ki nahi?
Zaahir hai ki ye ekhtiyar insaan ko nahi diya jaa sakta,kyunki har insaan ki soch alag hai.Is liye hame maan-na hoga ki ye ekhtiyar sirf tamam insaano aur dunya ki har chiz paida karne wale Allah ko hai.Is liye zulm sirf woh chiz hogi jise woh zulm kahe,Aur rahmat wahi chiz hogi jisko woh rahmat kahe,Isi tarah jaaiz sirf woh chiz hogi jise woh jaaiz qaraar de aur najaaiz woh hoga jise woh najaaiz qaraar de.is jhagde ko hal karne ka yahi insaaf wala tariqa hai, jis se aqal rakhne wale log inkaar nahi kar sakte.
Ab hame dekhna hoga ki Allah Ta’ala jaanwaro ko kaat kar khaane se mana karta hai ya ijaazat deta hai?
Quran majeed me qurbaani karne ka hukm khud Allah paak ne diya. “To tum apne rab ke liye namaz padho aur qurbani karo.” [Surah kausar] Aur dusari jagah farmaya “Tum khud bhi in jaanwaro ka gosht khaao aur musibat me pare hue faqeer logo ko bhi khilaao.”[Surah hajj,Aayat No.28]
Yahudiyo aur Isaaiyo ki mazhabi kitaab Taureet aur injeel me bhi jaanwaro ki qurbani karne aur unko khaane ki ijaazat di gayi hai.Rahi baat Hindu dharam ke logo ki to unki mazhabi kitabo me bhi qurbani ki fazilat aur uske tariqo ke baare me bahut si baate maujood hain.Aur khud unke mazhabi peshwa zindagi bhar alag alag jaanwaro ko kaat kar khaate rahe aur apne paas aane wale logo ko khilaate rahe hain.
Ab rahi baat un logo ki jo kisi mazhab ko nahi maante sirf science ko follow karte hain to unki bhi tasalli zaruri hai. Ye log Qurbani ko zulm aur be-rahmi is liye kahte hain ki kyunki is me ek jaan ko maara jaata hai.Magar ye bilkul na-insaafi hai.is liye ki science kahta hai ki insaan begair kisi jaan ko maare ek lamha bhi zinda nahi rah sakta.Ek baar jab insaan saans leta hai ya paani pita hai to hazaaro jaan-daar bacterias ko maar deta hai. Aur ab science ka ye bhi kahna hai ki sabzi aur per paudo me bhi jaan hoti hai,Aur woh bhi ehsaas rakhte hain, ek dusre se baat karte hain aur khush aur gamgeen hote hain.Aur jab unhe kata jaata hai to woh agarche bel bakri ki tarah nahi chillate lekin dard unhe bhi hota hai.To ab jis mantiq se jaanwaro ki qurbani zulm hai usi mantiq se saag sabzi aur darakhto ko kaatna bhi zulm hai,Kyunki in sab surato me bhi jaan ko maara jaata hai.Phir in logo ko chaahiye ki koi bhi chiz nahi khaaye aur nahi piye aur zulm se bache rahe aur kuchh dino me dunya se guzar jaae.Magar aisa koi bhi nahi karta balki sochta bhi nahi hai,Kyun?
Kyunki is dunya me asal ke taur par insaan hai aur baaqi tamam chiz uske faaide ke liye banayi gayi hai.Is liye jo chiz insaani zindagi ke liye behtar hoga uska istemaal karna insaan ke liye durust hoga,Agarche is me kisi jaan hi ko kyun na maarna pare. Agar ye baat tasleem nahi ki jaae to phir ye maan-na hoga ki is dunya me insaan jaanwar aur dusari tamam chizen,sab ka darja ek hi hai,Aur kisi ko kisi ke liye qurban nahi kiya jaa sakta.Phir is dunya me ek qadam bhi chalna mumkin nahi rah jaaega. Is liye zidd chhor kar haqiqat maan leni chaahiye.
Share........




Related Topics



Begair dekhe Allah ko kaise maane? Quran me kaafiro ko qatal karne ka hukm? Islam me parda kyun? Ek se ziyadah shadi,Aurato ke saath naa-insaafi hai? Islam me talaaq kyun? Islami sazaayen insaaniyat ke saath zulm hai?



Dawat-E-Quran