Samaaj me jinsi amal (sex) ki awaargi aur phailaao,Ek aisi buraayi hai jis se khatar-naak qism ki bimaariyo ke saath qaum-o-millat ke liye be-shumar pechidah masaail janam lete hain. Jiska anjaam halaakat aur barbaadi ke elawah kuchh nahi hota hai.
Taarikh gawaah hai ki jab bhi kisi qaum me ye buraayi aayi zillat uska maqaddar ban gayi aur woh is tarah gira ki phir dobarah uth nahi saka.Yunani aur Romi tahzeeb iski behtareen misaal hain.Unke baad Jadeed Europe ka lamba tajarba hamaare saamne hai.Jinsi amal ki awaargi,fuhaashi aur nange-pan ne Europe ko jo nuqsaan pahunchaaya hai aur ab bhi pahuncha raha hai woh hosh uraa dene wala hai.Is ki wajah se khaan-daani nizaam (system)toot gaya,Laakho bachche paida hote hi qatal kiye jaa rahe hain,Bodhe maa baap old-houses me hasrat ke saath dam tor rahe hain.In nuqsaano ko agar nazar andaaz bhi kar diya jaae to woh bimaariya jo jinsi amal ki awaargi ki wajah se paida hoti hain,Itne ziyadah tabaah kun hain ki koi use nazar andaaz nahi kar sakta.
Un bimaariyo me ek muhlik bimaari “Aids” ki bhi hai.Jis ne sab se pahle 1981 me America me janam liya tha.Aur is bimari ko siwaae “zina aur jinsi be-raah-rawi ke natije me janam lene wale azaab” ke aur koi naam nahi diya jaa sakta.
“Aids” woh bimari hai jis me insaan ke badan ka wazan ghatne lagta hai,Bukhar aur vomiting wagairah hoti rahti hai, Dimaag bhi is se effected ho jata hai.Lekin is bimaari ki khatar-naak surat ye hoti hai ki is bimaari me bimaar ke jism se har tarah ki defence power khatam ho jaati hai.Iske baad halki se halki bimaari ko bhi jhel-ne ki taaqat nahi rahti yahan tak ki ek maamuli si bhi bimaari jaan lewa saabit ho jaati hai.Isi liye is bimaari me mubtala hone wale shakhs ki maut yaqeeni samjhi jaati hai.
Docters ke mutaabiq ye bimari un mardo aur aurato ko hoti hai jo begair kisi imtiyaz ke bahut se logo se jinsi ta’alluqaat rakhte hain.
Ek andaaze ke mutaabiq America me is waqt 10 laakh se bhi ziyadah log is bimaari ke shikaar hain.America ke elawah Africa me bhi ye bimari tezi ke saath phail rahi hai aur 20 laakh se 50 laakh tak log is bimaari me mubtala hain.
America ke “HHS” ke secretary Otis R.Bowen ka kahna hai ki agar is bimari ki rok thaam achchhi tarah nahi ki gayi to samajh le ki aane wale 10 saalo me dunya ke karoru log maut ke munh me chale jaaenge.Aur Jan paap kins university ke wabaai amraaz ke maahir Frank paak ne kaha hai ki “Kuchh mulk apni abaadi ka 25% hissa is wabaai marz me ganwa denge.”
Ye hai be-hayaai aur awaargi ka woh nuqsaan jise hargiz nazar andaaz nahi kiya jaa sakta.Aur agar koi laakho ansaano ke sisak kar marne ko bhi nazar andaaz kar de to kar sakta hai.
Lekin Islam jo logo ke liye Rahmat hai,Woh kabhi nazar-andaaz nahi kar sakta.Is liye woh samaj me har us chiz par rok lagaata hai jo jinsi amal ki awaargi me kuchh bhi kirdaar ada karta hai. Chaahe woh ladko ka nazar-baazi karna ho ya phir ladkiyo ka aadha adhura kapda pahan-na ho.Unka begair kisi had aur qaid ke aapas me milna ho ya ek dusre ko lubhaane ki koshish karna ho.Aur is tarah se woh insaano ko aisi halaakat se bachaata hai jise jaan kar insaan Islam qabool kar leta hai.Aur pure fakhr ke saath Islami parde ko gale laga leta hai.
America ki ek nayi islam laane wali khatoon ne apna tajarba bayan karte hue likha tha ki “Jab main European libaas me hoti thi to mujhe khud se ziyadah dusaro ka lehaaz rakhna parta tha. Ghar se nikalne se pahle apni numaaish ki tayyari ek bada mushkil kaam tha.Phir jab main kisi store,Resturent ya kisi aisi jagah par jahaan bahut se log hon,Jaati thi to khud ko dusaro ki nazro me jakdi hui mahsoos karti thi.Main zaaheri etebaar se to khud-mukhtaar aur azaad hoti thi lekin haqiqat me dusaro ki pasand aur na-pasand ki qaidi hoti thi.Phir ye bhi sochti thi ki jab tak husn aur umar hai,Log meri taraf mutawajjeh hain,Umar dhal jaane ke baad khud ko qaabil-e-tawajjuh banaane ke liye mujhe aur ziyadah mehnat karni padegi.Lekin ab islami parde ne in tamam uljhano se mujhe be-fikr aur azaad kar diya hai.” [Ye bayan,ilhad.com se liya gaya hai]
Feminist Therisa Corban ne islam qabool kar liya aur Hejaab ekhtiyar kar liya.Jab us se puchha gaya ki “Kya Hejaab zulm ki nishaani nahi hai?” to usne bada dilchsp jawab diya.
“Haan! Main Hejaab pahanti hun,Mera hejaab pith par mere haath nahi baandhta.Ye mujh par zulm ka zariya kaise ho sakta hai? Mera hejaab nahi dimaag me kisi khayal ke daakhil hone me rokaawat banta hai aur nahi zubaan se usko zaahir karne me aare aata hai.Mujhe hairat hai main pahle aisa hi samajhti thi.Lekin haqiqat ye hai ki mera hejaab mujhe mardo ki hawas bhari nigaaho se bachaata hai,Jo aurat par zulm ki pahli kari hoti hai.Ye mujhe izzat aur ehteraam ata karta hai.”
Ye sirf Therisa Corban ka hi khayal nahi hai.Safeed-faam aurato me ab ye soch bahut tezi se aam hota jaa raha hai. Bartaaniya me ek andaaze ke mutaabiq har saal 50 hazaar log islam qabool kar rahe hain.un me 70% aurat hoti hain.Tony Blair ki nisbati bahan Lauren Booth,B.B.C ki naama-nigaar Yvonne Ridley aur M.T ki ada-kaarah Kristiane Backer wagairah jaisi mash-hoor aurate bhi un me shaamil hain.
Kuchh saal pahle Cambridge university ke “Center For Islami Studies” ne ek dil-chasp study ki thi.Us ne nau-muslim bartaanwi khatoon se interview liya aur ye jaan ne ki koshish ki unhone islam kyun qabool kiya?
Is study ke sarbaraah professor Yasir Sulaiman ne obserber ko interview dete hue kaha: Ham jis zamaane me hain.Us me islam ko ek aise mazhab ke roop me dekha aur dekhaaya jaata hai jo bahut zaalim aur tashaddud wala hai, jadeed dunya ki aqal se mail nahi khaata.Is ke bawajood har saal kuchh bade zaheen,Kaamyab aur dil-chasp log islam ke aqide me apni uljhano aur sawalo ka jawab paate hain aur islam qabool kar lete hain.Iski wajah talaash karna is Study ka aham maqsad hai.”
Ye Study mukammal hui aur March 2013 me iski tahalka macha dene wali report “Narratives of Conversion to Islam: Female Perspective” ke naam se chhapi.Is me islam qabool karne wali aurato ne jo wajah bayan ki unme ziyadah tar Aurat aur khaandaan ke baare me islam ki taalim thi.
Jaise bahut si aurato ne islam me nikah ke tasauwwur aur biwi ke maqaam ko islam qabool karne ki wajah bataaya. Shauhar aur biwi ke darmiya zimmedari aur ekhtiyar ki taqseem ne kayi aurat ko appeal kiya.Kuchh ne hejaab ke system ki wajah se islam qabool ki.Unka kahna tha ki Hejaab hi asal feminist ki nishaani hai.Is liye ki is se aurat ki shakhsiyat ka ba-izzat izhaar hota hai.Aur samaj jis tarah aurat ko jins ki alaamat bana deta hai,uska radd bhi hota hai.Miya biwi ke huqooq ki soch aur shauhar ki zimmedariyo ki tafseel ne bahut si aurato ko muta’assir kiya.Hairat ki baat ye hai ki kuchh auraten islam se is liye muta’assir hui ki islam me ek se ziyadah shaadi ka system hai. Ek aurat ne kaha: Shauhar ki dusari biwi hone ka matlab ye hai ki aap ki khaan-daani aur biwi wali zimmedari aadhi ho gayi,Jab ki huqooq me koi kami bhi nahi hui.Ye sauda to aurat ke haq me hi hai.”
Islam laane ke baad ek mash-hoor European khatoon ne kaha ki: Main Hejaab ko pure dil se qabool karti hun kyunki is me mujhe apni izzat mahfooz nazar aati hai aur saath hi is baat ka ehsaas bhi hota hai ki meri ek mukammal shakhsiyat hai.Jab ki Europe ka libaas pahan kar mujhe ye ehsaas raha ki main mardo ke liye saji ek dastar-khaan hun,Is ke elawah meri koi haqiqat nahi.
Share........
Begair dekhe Allah ko kaise maane? Quran me kaafiro ko qatal karne ka hukm? Qurbani me jaanwaro ko kaat kar kya faaida? Ek se ziyadah shadi,Aurato ke saath naa-insaafi hai? Islam me talaaq kyun? Islami sazaayen insaaniyat ke saath zulm hai?