Islami Saza Zulm Hai?



Kuchh logo ka kahna hai ki,Islam me alag alag jurm ki jo saza rakhi gayi hain,Jaise zina karne wale ko kore maarna ya sangsaar kar dena, Chori karne wale ka haath kaat dena,Ye sab munaasib saza nahi hain balki insaaniyat ke saath zulm hai.Is liye aaj ke daur me in sazaaon ko badal kar kuchh aisi saza muqarrar karni chaahiye jo aam tariqe se jamhoori mulko me hai.Jaise jel ya jurmaana wagairah.
Jawab:Islami sazaaon par eteraaz karne walo ki baato ko radd ya qabool karne se pahle hame ye dekhna chaahiye ki jamhoori mulko me islami qaanoon ko chhor kar jo qaanoon buraayio ko rokne ke liye banaaye gaye hain,Uska tajarba kaisa raha? Woh qaanoon buraayio ko rokne me kaamyab raha ya bilkul na-kaam? Is ke liye ham ek nazar pahle apne hi mulk Bharat par daalte hain,Phir dusre mulko par.
N.C.R.B. Bharat ke “National Crime Records Bureau” ke mutaabiq mulk bhar me aurato ki izzat aur naamus ke khilaaf jurm karne walo ki ta’daad 2015 me 3,29,243 thi.Aur 2016 me 3,38,954 aur 2017 me 3,59,849.Aur 2018 me 3,78,277.Aur 2019 me 405861.
Mujrimo ka nishaana ban-ne aur jinsi ziyadati ka shikaar hone wali aurato me 6 saal ki kam umar ki bachchiyo se le kar 60 saal aur us se bhi upar ki umar tak ki aurate shaamil hain.In me kayi aurate aisi bhi hain jinke saath darindah sifat logo ne pahle zabar-dasti zina kiya phir qatal kar diya,Kisi ko jala diya aur kisi ko maar kar darakht se latka diya.
N.C.R.B.ke mutaabiq 2019 me Bharat ke andar har din ausatan 87 aurate zaalimo ka nishaana bani.Padosi mulk Pakistan ki surat-e-haal bhi is se kuchh kam nahi hai.Aur in se ziyadah bura haal un mulko ka hai jo taraqqi yaaftah mulk ki list me upar hain.Jaise America, Bartaniya aur France wagairah.America me har saal 10 laakh aurate jinsi ziyaadati ka shikaar hoti hain. Bartaaniya me har saal taqriban 85 hazaar aurato ka Rape hota hai.Aur France me har saal 75 hazaar Rape ka ghinaaona jurm hota hai.Ye ta’daad woh hai jinka hukumati record hain,Nahi to in ke elawah aur bhi bahut hain jink a koi record nahi.
Jurmo ke waqiyaat kuchh itne sangeen hain jin se rooh kaanp jaati hain aur logo ko sochne par majboor kar deti hain.Jaise 16 December 2012 ki raat ko dehli me Nirbhaya ke saath hone wala waqiya,Jis me zaalimo ne darindagi ki tamam had ko paar kar diya tha.Rape ke baad khatoon ko chalti bus se phenk diya tha. U.p ke zila Hathras me 29 September 2019 ko pesh aane wala waqiya jo is qadar sangeen tha ki maut ke baad khatoon ki chita ko raat ke andhere me logo se chhupa kar jala diya gaya.Isi tarah 2018 me Kashmir ke elaaqa Kathuaa me 8 saal ki bachchi ka waqiya.2014 me U.P ke Bidaayu me do bahno ke Rape ke baad maar kar laash ko darakht se latkaane ka waqiya.
Ye hai us qaanoon ka natija jise logo ne apne tariqe se bana kar chala rahe hain.Jo 100% nakaam hai.Is tajarbe aur natije ke baad bhi agar koi ye kahta hai ki islaami saza munasib nahi hai,Woh haqiqat me insaan nahi balki shaitan hai jo shaitaani hukumat ka dunya me raaj chaahta hai.
Islam, Allah ka pasandida deen hai jo aakhirat ki kaamyaabi ke saath insaano ke liye dunya ke mahaul ko bhi aman aur sukoon wala banaanta hai.Is liye ye un tamam raasto ko band karta hai jahan se buraaiya janam leti hain.Aur saath hi buraaiyo ka bilkul safaaya kar ke dunya ko jannat numa banaata hai.Aur jab koi shakhs dunya ke aman ko barbaad karta hai to kuchh sharto ke saath use aisi saza deta hai jo insaano ke liye rahmat hi rahmat hai.
Taarikh aur dastaawez is baat ki gawahi dete hain ki dunya ke jis hisse me islami qaanoon puri tarah raha woh hissa aman-o-amaan se bhari rahi aur log mukammal itminaas se rahe.Magar jab aur jahan insaano ne Allah ka banaya hua qanoon chhor kar apna qaanoon chalaaya us jagah se aman rukhsat ho gaya aur log mukhtalif parishaaniyo me ghir gaye.
Aaye din hone wale waqiyat aur haadisaat se ye baat bilkul zaahir ho gayi hai ki is qaanoon ne jise dunya islami qaanoon ke muqaable me ziyadah achchha gumaan kiya tha,Ek mujrim ki jaan bachaane ke chakkar me hazaaro be-qasoor insaano ko fana kar diya.
In halaat ko dekhte hue Aap khud faisala kare ki mujrim ko maarna insaaniyat ke saath zulm hai? Ya ek mujrim ko bachaane ke liye hazaaro be-qasoor insaano ko maar dena zulm hai???
Aaj insaaniyat bilak bilak kar ro rahi hai,Aur puri dunya gam se karaah rahi hai.Jaraaim ka graph ghataane ki be-inteha koshish ki jaa rahi hai magar har din badhta hi jaa raha hai.Pahle sirf balig ladkiyo ke saath zina hota tha aur ab na-balig bachchiyo ka bhi rape ho raha hai.Phale sirf jawan aawarah ladke karte the aur ab taqaddus ka libaas pahne Saadhu Sant budhe bhi apni hawas ki aag bujha rahe hain. Ye naye tahzeeb ke munh par qudrat ka zabar-dast tamaancha hai.Jis ka ehsaas ab Allah ke qaanoon se bagaawat karne wale bhi mahsoos kar rahe hain.Jis ka sab se bada suboot is tarah ke crime saamne aane ke baad logo ki raae hai.Koi naam le kar kahta hai ki islami qaanoon ko laaye begair ham is tarah ke mas’ale ko rok nahi sakte aur koi islam ka naam liye begair uski saza ka demond karta hai.Aur jaise jaise din guzarta jaa raha hai unka ye ehsaas badhta hi jaa raha hai.Shaayad unhe kisi manzil par yaqeen bhi aa jaae,magar sab kuchh gawa ke hosh me aaye to kya hoga.
Ye sach hai ki andhera jitna gahra hota jaata hai Raushani ka wajood utna hi waajeh hota chala jaata hai.Magar zid aur hat-dharmi ka koi elaaj nahi.Ye zameeni haqiqat hai ki aaj ke is zulm se bhari dunya ko koi aman ke saahil par laa sakta hai to woh sirf Islam hai.Jo insaano ka banaya hua nahi,Balki insaano ke paida karne wale Allah ki taraf se insaano ke liye azeem tohfa hai. Islam ke qaanoon par eteraaz karne wale pahle apne banaaye hue qaanoon ke asaraat par gaur kar le to unhe eteraaz karne ki zahmat hi nahi karni paregi.
Share........




Related Topics



Begair dekhe Allah ko kaise maane? Quran me kaafiro ko qatal karne ka hukm? Islam me parda kyun? Qurbani me jaanwaro ko kaat kar kya faaida? Ek se ziyadah shadi,Aurato ke saath naa-insaafi hai? Islam me talaaq kyun?



Dawat-E-Quran