Islam Me Ek Se Ziyadah Shadi?



Is waqt mulki balki alami level par musalmano ke personal law par jo eteraaz kiye jaate hain un me ek eteraaz ye bhi hai ki Islam ne mard ko ek se ziyadah shaadi ki ijaazat di hai,Ye aurato par zulm aur unke saath naa-insaafi hai.Is liye ise khatam kar dena chaahiye.

Taarikh padhne se maloom hota hai ki Islam se pahle bhi dunya me har mazhab aur samaaj me ek se ziyadah shaadi ka riwaaj tha.Yahudiyo aur hindowo ke mazhab me to koi qaid hi nahi thi, isi wajah se unki taarikh me ek ek mard ki 50/50 biwi ka zikr milta hai. Aur Isaaiyo ka maamla aisa tha ki woh insaani fitrat ko kuchal kar rahbaaniyat ka daawedaar tha aur ek bhi shaadi karne ko galat khayal karta tha. is ifraat aur tafreet (yani had darjah kami aur beshi)se samaaj me jo buraayi paida ho rahi thi use khatam karne ke liye Islam ne shaadi biyaah ka jo qaanoon pesh kiya ki aam halaat me ek shaadi aur khaas halaat me ek se ziyadah shaadi,Lekin kuchh sharto ke saath,Aur sirf 4 ki had tak.Ye qaanoon insaani fitrat ke ain mutaabiq aur mard-o-aurat sab ke haq me mufeed hai.Ise zulm kahna,Khud zulm hai aur haqiqat se be-khabar hone ka natija hai.
Ek se ziyadah shaadi mardo ke lehaaz se: Aam taur par ek mard ek hi biwi rakhta hai,Aaj pure muslim samaj me ek se ziyadah biwi rakhne wale log itne kam hain ki unhe unguliyo par gina jaa sakta hai.Lekin shor aisa barpa kiya jaata hai ki mahsoos hota hai ki har musalman 4 se kam shadi karta hi nahi hai. Bahar-haal aam taur par agarche log ek hi biwi rakhte hain lekin ye haqiqat hai ki mard ke andar fitri taur par ek se ziyadah biwi rakhne ka rujhaan hota hai.Agar koi ek biwi par bhi rahe to ye nahi kaha jaa sakta hai ki uske andar ek se ziyadah ki khaahish nahi hai.Jin logo ke andar ye khaahish bahut ziyadah hai,Agar aise logo ke liye agar jaaiz raasta nahi khola jaae to ye log yaqinan kisi najaaiz tariqe se apni khaahish puri karenge aur natija ye hoga ki ye log samaj ko napaak kar denge aur Aids ke saath aur bhi buri bimari phailaane ka zariya banenge,Jaisa ki America aur Europ ka tajarba hamare saamne hai.In logo ne ek se se ziyadah shadi ko radd kiya to samaj zina aur bad-kaari se bhar gaya.Ek report ke mutabiq Bartania me 62% samaj me najaaiz bachche hain.Aaj wahan qanoon ke etebaar se to sab ki ek hi biwi hai lekin ziyadah tar mardo ke paas “Rakhel auraten” bahut si hain.Aur ye aurate un tamam izzat aur huqooq se mahroom hoti hain,Jo islam ek se ziyadah shaadi ki surat me inko deta hai.Isi haqiqat ki wajah se ab bahut si European aurate ab shaadi shudah mard ki “Rakhel” ki haisiyat se rahne ko thukra kar uski biwi ban kar rahne ko pasand karne lagi hai. Fitrat ka study karne wale jaante hain ki jinsi khaahish ek fitri khaahish hai aur jin logo ke andar ye khaahish ziyadah hoti hai un ke liye ek aurat kaafi nahi hoti.Iski wajah ye hai ki aurat Haiz (Mc)Nifaas,Hamal aur raza’at (doodh pilane ka zamana) se musalsal guzarti hai.in halaat me uske jinsi jazbaat kamzor par jaate hain aur mard ke jazbaat ka puri tarah saath nahi de sakti.Is ka dusra pahlu ye bhi hai ki in halaat me jinsi ta’alluq rakhne me bahut si kharaabiya bhi hain.Saath hi hamal,bachche ki paidaaish aur raza’at ki wajah se aurat ka jismaani nizaam bahut muta’assir hota hai aur who jald borhi ho jaati hai,jab ki uske muqaable me mard der tak jawan rahta hai.In wajho ki bunyad par agar koi mard ek se ziyadah shaadi karta hai to galat hargiz nahi kaha jaa sakta.Haan! us par ye paabandi zarur honi chaahiye ki woh dono ke huqooq ada kare aur kisi ka haq nahi maare.
Ek se ziyadah shaadi aurato ke etebaar se: Ek se ziyadah shaadi ka qaanoon sirf mardo hi ke liye nahi balki aurato ke haq me bhi bari rahmat hai.
Insaan ke andar aulaad ki khaahish ek fitri khaahish hai,Agar kisi shakhs ki biwi baanjh ho aur us se aulaad nahi ho rahi ho,to uske saamne do hi surat rah jaati hain.Ek ye ki woh pahli biwi ke saath ek aur biwi rakh le aur dono ko izzat se rakhe.Aur dusari ye ki woh pahli ko talaaq de kar dusri se shaadi kar le. Zaahir hai ki aurat ke haq me dusari ke muqaable me pahli surat hi faaida mand hai.
Isi tarah aurat agar kisi lambi bimari me mubtala ho jaae ya kisi aisi bimari ki shikar ho jaae ki uske saath jinsi ta’alluq rakhna mushkil ho jaae to aisi surato me yaqinan aurat ke liye yahi mufeed hoga ki uska shauhar use rakhte hue dusari sehat-mand aurat se shaadi kar le.Na ye ki uska shauhar use talaaq de kar dar badar bhatakne ke liye chhor de aur phir dusari shaadi kar le. Aisi surat me ye qaanoon bana-na ki pahli ko chhor kar hi dusari shaadi kiya jaa sakta hai.Aurato ke haq zaalimana qaanoon hoga.Aur is zulm ki inteha us waqt hogi jab ki aisi koi aurat apne shauhar ke saath rahna chaahti ho aur shuhar bhi rakhna chaahta ho,Magar qanoon unko zabar-dasti alag kare.
Ek se ziyadah shaadi ek samaaji zarurat: Kuchh halaat me ek se ziyadah shaadi ek samaaji zarurat bhi ban jaati hai. Dunya me Allah Ta'ala mard aur aurat dono ko paida farmaata hai.Lekin kitne mard honge aur kitni aurate,ye Allah hi ko maloom,wahi apni hikmat se jis ko jitna chaahta hai paida karta hai.Agar koi chaahe ki hamaare mulk me sirf mard paida hon ya koi chaahe ki hamaare yahan sirf aurat hon,Ya itni miqdaar me mard aur sirf itni hi miqdaar me aurat,To insaan ki ye chaahat qudrat ke qaanoon me kuchh bhi asar andaaz nahi ho sakti. Aaj bahut se mulk aise hain jahaan aurato ki ta'daad mardo se ziyadah hain.Jaise America,China,Youkareen,Stonia wagairah aise mulk hain jahaan mardo ke muqaable me aurato ki ta'daad bahut ziyadah hain.Is surat me agar ek se ziyadah shaadi ki ijaazat nahi ho to yaqinan in ziyadah aurato ke liye samaaj me koi izzat aur ehteraam ka maqaam nahi hoga,Aur woh bazaar ki zinat ban-ne par majboor hongi.Aur samaaj me buri bimaariyo ke phailne ki wajah banegi ya phir ghut ghut kar dam tor degi.
Youhi jang ke mauqe par ziyadah tar mard maare jaate hain,woh jawan aur sehat mand log,agar kisi samaaj me aisa hota hai ki ek saath bahut saare mard maare jaate hain to aisi surat me un shahido ki biwa aurato aur bachcho ko akele musibat jhelne aur dar-badar ki thokar khaane ke liye chhor dene ke bajaae ek samaaji zarurat ban jaati hai ki haisiyat wale log unhe qabool kar ke izzat se rakhe aur unka dukh dard baante.Aur ye yaqinan aurato ke haq me badi rahmat ki baat hai.
Share........




Related Topics



Begair dekhe Allah ko kaise maane? Quran me kaafiro ko qatal karne ka hukm? Islam me parda kyun? Qurbani me jaanwaro ko kaat kar kya faaida? Islam me talaaq kyun? Islami sazaayen insaaniyat ke saath zulm hai?



Dawat-E-Quran