Islam Me Talaaq Kyun?



Eteraz: Talaaq ek bahut hi galat chiz hai,Iski wajah se aurat ki zindagi barbaad ho jaati hai,Saath hi bachcho ki zindagi par bhi bahut hi bura asar parta hai.In kharaabiyo ke paae jaane ke bawajood islam talaaq ki ijaazat deta hai.Ye samajh se bahar hai.
Jawab:Aam taur par jis bhayanak shakal me talaaq ka zikr kiya jaata hai,Muslim samaaj me uska koi wajood hi nahi hai.Haan! ye baat sahi hai ki talaaq ki wajah se bahut si pechidgi paida hoti hai aur miya biwi ke saath unki aulaad par bhi bura asar parta hai.Magar ye sikke ka sirf ek rukh hai,dusara rukh nazar me nahi hone ki wajah se bahut se logo ko ye mas’ala samajh nahi aata.Is liye is mas’ale ko samajhne ke liye zaruri hai ki is par har pahlu se nigaah daali jaae.
Sab se pahle ye dekha jaae ki talaaq ki koi waqeyi zarurat hai ya nahi? Agar hai,to kin halaat me? Aur phir talaaq ke baare me islami talimaat kya hain?
Kisi bhi samaaj me zindagi guzaarne wala shakhs is baat se inkaar nahi kar sakta ki kabhi miya aur biwi ke rishte me aisi kharaabi paida ho jaati hain ki use door karna mumkin nahi rahta,Aur raat din laa’nat malaamat aur ladaayi jhagde ki wajah se ghar jahannam ka namuna ban jaata hai.Iske bahut se asbaab hote hain.Kabhi dono ke mizaaj nahi milte,Kabhi akhlaaqi etebaar se aisi kamzooriya saamne aati hain ki unhe bardaasht nahi kiya jaata aur kabhi bahut se aur wajh hoti hain jinki wajah se woh ek dusre ko dil se nahi apna paate aur ek saath zindagi guzaarna bahut hi mushkil ho jaata hai.Aur hare k dusre se apna daaman chhoraane ki fikr me lag jaate hain.Aisi surat-e-haal me agar isaaiyat ki tarah talaaq ki ijaazat nahi di jaae aur dono ko kisi bhi tarah ek saath rahne par majboor kiya jaae,To is se insaani zindagi ko faaida ke bajaae sakht nuqsaan hoga.Kyunki jab alag hone ka koi raasta nahi hoga to phir ek dusre ko qatal karna ya karaana hoga,Jaisa ki aaye din is tarah ke bahut saare waqiyaat hote rahte hain. Aur agar koi is had tak nahi bhi jaae tab bhi iska anjaam bahut galat hoga.
No:1. Aisi surat-e-haal me aurat mard ke liye ek bojh ban jaaegi aur mard uske saath bura se bura sulook karega.
No:2.Dusare ye ki talaaq ke baad aurat kisi ham-mizaaj se shaadi kar ke khush-gawaar zindagi guzaar sakti hai.Lekin talaaq ka raasta band kar dene se ye imkaan bhi khatam ho jaata hai.
No:3.Musalsal zehni be-sukooni aur aapsi kashmaksh ki wajah se unki sehat par bure asaraat parne ke saath bachcho ki taalim-o-tarbiyat par bhi sahi se tawajjuh nahi di jaa sakegi aur natije ke taur par woh jhagdalu maa baap ke jhagdalu bachche ke taur par bade honge.
Is liye is tarah ki naazuk surat-e-haal me jab ki ek saath rahna mumkin na rah jaae,Aur ek saath rahne me aisi musibate hon jo talaaq ki musibato se bhi ziyadah na-qaabil-e-bardaasht hon aur aise ranj-o-gam hon jo talaaq ke ranj-o-gam se bhi ziyadah hon.Islam talaaq ki ijaazat deta hai.Aur beshak aisi surat me talaaq ki ijaazat insaano ke liye zhamat nahi balki rahmat hai.
Magar is baat se inkaar nahi kiya jaa sakta ki aaj bahut se musalman kahlaane wale log islami taalim se jaahil rahne ki wajah se talaaq ka galat istemaal karte hain aur apni dunya ke saath aakhirat bhi kharaab karte hain.Lekin islam in jaahil logo ke kaam ka naam nahi hai.Islam Quran-o-Sunnat ka naam hai.Aur Quran-o-Sunnat me talaaq ki ijaazat sirf usi surat me hai jab ki ek saath zindagi guzaarna bahut hi mushkil ho jaae.Aur is ka faisala ki dono ke ta’alluqaat kis had tak kharaab ho chuke hain wahi log behtar jaan sakte hain,is liye ye maamla unhe ke hewaale kar diya gaya ki aurat nahi chaahti to “Khula” le le.Aur mard nahi chaahta to talaaq de de.Lekin in sab ke bawajood agar koi sabr ka karwa ghont pee le aur mard apni biwi ki taraf se aur aurat apne shauhar ki taraf se pahunchne wali taklifo ke bawajood dar-guzar se kaam le to islam ki nazar me ye bahut bade himmat ke kaam hain aur iska bada sawab hai.
Share........




Related Topics



Begair dekhe Allah ko kaise maane? Quran me kaafiro ko qatal karne ka hukm? Islam me parda kyun? Qurbani me jaanwaro ko kaat kar kya faaida? Ek se ziyadah shadi,Aurato ke saath naa-insaafi hai? Islami sazaayen insaaniyat ke saath zulm hai?



Dawat-E-Quran