Qiraat Me Galti Ke Masaail



Swal:Qiraat me kis tarah ki galti se namaz ho jaayegi aur kis tarah ki galti se namaz nahi hogi?
Jawab:Is baare me qaaida ye hai ki agar qiraat me aisi galti hui jis se badi tabdeli ho gayi to namaz nahi hogi, Aur agar maamuli tabdeli hui to namaz ho jaayegi.Qiraat me tabdeli ki kuchh mash-hoor suraten aur unke ahkaam ye hain.
No:1.Ek kalma ke ek harf ko dusre kalma ke harf se mila dena jaise “Iyyaka Na’budu” ko “Iyya, kana’budu” padha to sahi ye hai ki namaz faasid nahi hogi.
No:2.Ek harf ko dusre harf se badal dena,Is surat me agar maana na badle jaise “Innal muslemeen” ko Annal muslimoon” padha to namaz ho jaayegi.Aur agar maana badal gaye to agar unme farq karna asaan hai aur phir farq nahi kiya jaise “Taalihaat” ki jagah “Saalihaat” padh diya to namaz faasid ho jaayegi aur agar farq karna mushkil hai to fatwa is par hai ki namaz faasid nahi hogi magar sahi karne ki koshish karta rahe.
No:3.Kisi harf ka hazaf kar dena, Agar ijaaz wa tarkheem ke taur par ho to namaz faasid nahi hogi, Iske elawah ho to maana badalne par namaz faasid hogi nahi to nahi.
No:4.Kisi ek ya ziyadah harf ki ziyaadati. Agar maana badal jaaye to namaaz faasid ho jaayegi,Nahi to nahi.
No:5.Ek kalma ko chhor kar uski jagah dusra kalma padha agar woh kalma Quran majeed me hai aur maana nahi badla to namaz ho jaayegi,Aur agar maana badal gaya to namaz nahi hogi.Aur agar who kalma Quran sharif me nahi hai lekin maana me uske qareeb hai to ehtiyatan namaz faasid hogi.
No:6.Ek kalma chhor gaya aur uske badle me bhi koi kalma nahi padha to agar maana nahi badla to namaz ho jaayegi aur agar maana badal gaye to namaz nahi hogi.
No:7.Koi kalma ziyadah karna aur woh kisi kalme ke badle me bhi na ho, is surat me agar maana badal jaaye to namaz nahi hogi.
No:8.Harf ya kalme ki takraar.Agar harf ziyadah hogaya to namaz faasid ho jaayegi aur agar kalma ziyadah ho gaya to maana badal jaane par namaz faasid hogi.Aur agar kalma achaanak dobaarah nikal gaya ya makhraj ko sahi karne ke liye kalme ko dobaarah kaha ya koi bhi iraada nahi kiya to namaz faasid nahi hogi.
No:9.Kalma ya harf ko aage pichhe karna.Agar maana nahi badle to namaz ho jaayegi aur agar maana badal gaya to namaz faasid ho jaayegi.
No:10.Ek aayat ko dusri ki jagah padh dena.Agar aayat par pura ruk kar ke dusri aayat puri ya thori si padhi to namaz faasid nahi hogi aur agar waqf (ruka)nahi balki mila diya to maana badal jaane ki surat me namaz nahi hogi.
No:11.Be-mauqa rukna ya milaana ya shuru karna. In sab surato me namaz faasid nahi hogi.
No:12.Zabar zer pesh wagairah me galti karna. Pahle ke fuqha ke nazdik agar maana me bahut tabdili hogyi to namaz faasid ho jaayegi warnah nahi,aisi namaz ko dobaarah padh lena hi behtar hai.Agarche baad ke fuqha ke nazdik kisi bhi surat me namaz faasid nahi hogi aur isi par fatwa hai.
No:13.Tashdeed ki jagah saakin aur saakin ki jagah tashdeed karna ya mad ki jagah qasr aur qasr ki jagah mad karna.Is me bhi zabar zer wagairah ki tarah fatwa isi par hai ki namaz ho jaayegi.
No:14.Idgaam ki jagah par idgaam ko chhor dena aur jahan par idgaam nahi hai wahan par idgaam karna, Is surat me bhi namaz faasid nahi hogi.
No:15.Be-mauqa imaala,Ya ikhfa ya izhaar ya gunna wagairah karna. In surato me bhi namaz ho jaayegi.
No:16.Kalme ko pura nahi padhna chaahe is wajah se ho ki saans toot gaya ya baaqi kalma bhool gaya aur phir yaad aane par padh diya jaise “Al-hamdulillah” me “al” kah kar saans toot gaya ya baaqi bhool gaya phir yaad aaya aur “hamdulillah” kah diya to namaz ho jaayegi.
No:17.Allah ke naamo me taanis daakhil karna.Is surat me kuchh ke nazdik namaz faasid ho jaayegi aur kuchh ke nazdik nahi hogi.
Faaida:Agar kisi ne qiraat me khuli hui galti ki phir lauta kar sahi padh liya to uski namaz jaaiz wa durust hai.
Share.........




Related Topics



Namaz ki ahmiyat wa fazilat Namaz padhne ka tariqa Namaz ke sharayat wa faraaiz Namaz ke wajibaat aur sunnaten Namaz ke makruhaat aur mufsidaat Sajda sahu ke masaail Musaafir ki namaz ka bayan Bimar shakhs ki namaz ka bayan Namaz-e-Taraweeh ke masaail Namaz Tahiyatul wazu aur Masjid Namaz-e-Ishraaq aur Chaasht Namaz-e-Tauba aur Tahajjud Salatut Tasbeeh Namaz-e-Hajat Namaz-e-Istikhaara Eid ki namaz Suraj gahan aur chand gahan ki namaz Namaz-e-Janaza ke masaail



Dawat-E-Quran