Namaz Ke Sharayat Aur Faraaiz



Namaaz ki sharton ka bayan: Namaaz ke sahi hone ke liye 6 baaten shart hain.Yani agar in me se koi shart chhot jaayegi to namaaz shuru hi nahi hogi.
(1) Tahaarat.(Yani badan,Kapda aur us jagah ka paak hona jahan par namaaz padhi jaa rahi ho)
(2) Satr-e-Aurat.(Yani mardon ke liye kam se kam naaf se le kar ghutne tak chhupana aur auraton ke liye chehra,Haath ki hatheli aur qadam ke elawah pure badan ko chhupana)
(3) Waqt.(Yani jis namaaz ka jo waqt hai,us ke ho jaane hi par padhna.To agar kisi ne waqt se pehle hi padh liya to namaaz nahi hogi)
(4) Istiqbaal-e-Qibla.(Yani Qibla ki taraf munh kar ke namaaz padhna)
(5) Niyat.(Yani jo namaaz padhna hai us ka mukammal dil me irada hona.Jaise main Fajar ki 2 rak'at farz namaaz padhne jaa rahaa hon wagairah)
(6) Takbir-e-Tahrima.( Yani lafz-e-Allahu akbar bol kar namaaz shuru karna.)
Namaaz ki farzoon ka bayan:Namaaz me 6 baaten farz hain.agar in me se kisi ek me bhi kami hogi agarche bhul kar hi kyun na ho to namaaz nahi hogi us namaaz ko phir se ada karna zaruri hoga.Woh 6 baaten ye hain.
(1) Qayaam.(Yani khade ho kar namaaz padhna)
(2) Qiraat.(Yani Quran sharif ka sahi tarah se padhna)
(3) Ruku.(Yani kam se kam itna jhukna ki haath ghutne tak pahuch jaaye.)
(4) Sajda.
(5)Qada-e-akhirah.(Yani namaaz ki aakhiri rak'at me baithna)
(6) Khuruj besun 'ihe.(Yani apne iraade se namaaz ko khatam karna.)
Share.........




Related Topics



Namaz ki ahmiyat wa fazilat Namaz padhne ka tariqa Namaz ke wajibaat aur sunnaten Namaz ke makruhaat aur mufsidaat Sajda sahu ke masaail Qiraat me galti ke masaail Musaafir ki namaz ka bayan Bimar shakhs ki namaz ka bayan Namaz-e-Taraweeh ke masaail Namaz Tahiyatul wazu aur Masjid Namaz-e-Ishraaq aur Chaasht Namaz-e-Tauba aur Tahajjud Salatut Tasbeeh Namaz-e-Hajat Namaz-e-Istikhaara Eid ki namaz Suraj gahan aur chand gahan ki namaz Namaz-e-Janaza ke masaail



Dawat-E-Quran