Biwi Ko Maa Ya Bahan Kahne Se Nikah Toot Jaata Hai?



Sawal:Kya farmaate hain Ulma-e-Deen is mas’ale ke baare me ki agar koi shakhs apni biwi ko Bahan,Maa ya Beti kah de to uske liye kya hukm hai,Kya is se nikah toot jaata hai?
Jawab:: Shauhar ka apni biwi ko Maa,Bahan,Beti wagairah kah kar pukaarna najaaiz-o-gunaah hai,Lekin is se nikah par koi asar nahi parega aur nahi ZIHAAR laazim hoga. Haan agar is tarah ke alfaaz kahe ki “To meri bahan ki tarah hai, To meri maa ki misl hai” wagairah to is surat me in alfaaz se jo niyat karega usi ka etebaar hoga.Agar uski izzat ke liye kaha to kuchh laazim nahi hoga.Aur agar talaaq ki niyat se kaha to Baain talaaq ho jaaegi,Aur agar zihaar ki niyat se kaha to zihaar laazim hoga.Aur Tahreem yani haraam karne ki niyat se kaha to ilaa hoga.Aur agar kuchh bhi niyat nahi thi bas aise hi kah diya to agarche aisa kahna jaaiz nahi hai lekin is se kuchh laazim nahi hoga.
Allah Ta’ala Farmaata hai:
Biwiya unki maa nahi hain,Unki maa to wahi hain jin se woh paida hue hain,Aur woh beshak buri aur jhooti baat kahte hain.(Surah Mujaadila,Aayat No.2)
Sunan Abu Dawood ki hadees me hai ki:Ek shakhs ne apni biwi ko “Aye meri bahan” kah kar pukaara.To Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne un se farmaya: Kya ye teri bahan hai? Aap ne use pasand nahi farmaya aur is se mana farmaya.(Abu Dawood,Hadees No. 2212)
Fatawa Razwiya me hai: “Biwi ko maa bahan kah kar pukaarna ya is tarah se kahan ki To meri maa bahan hai,Sakht najaaiz-o-gunaah hai. Magar is se nikaah nahi tootega aur tauba ke elawah aur kuchh laazim nahi hoga.Haan, Agar is tarah se kahe ki to meri maa bahan ki tarah hai.To agar talaaq ki niyat se kaha to ek baain talaaq hogi aur aurat nikah se nikal jaaegi.Aur agar zihaar ya tahreem ki niyat se kaha yani ye muraad liya ki to mujh par meri maa aur bahan ki tarah haraam hai to zihaar hogaya.Ab jab tak kaffara nahi dede biwi se sohbat karna ya usko kiss karna ya shahwat se uske badan ko chhona sab haraam ho gaya.Is ka kafaara ye hai ki hambistari se pahle ek gulam azaad kare,Iski taaqat nahi ho to lagaa-taar 2 mahine roze rakhe,Iski bhi taaqat nahi ho to 60 miskino ko sadqa fitr ki tarah anaaj ya khaana de.” (Fatawa Razwiya,Jild 13,Page No.280, Published by Raza Foundation Lahore) Yahi baate Bahar-e-Shari’at hissa 8,Page 207,me bhi hai.
Share........




Related Topics



Maa Baap Se Chhup Kar Nikah Karna Walima Ki Dawat Ke Liye Ladki Wale Se Paisa Lena Biwi Se Milne Se Pahle Walima Kar Sakte Hain? Ek Raat Ke Liye Shadi Karna Kaisa Hai? Court Se Talaaq-Naama Likhwa Lene Se Talaaq Hogi Ya Nahi? Biwi Talaaq Ka Dawa Kare Aur Shauhar Inkaar Kare To? Yaad Nahi Ki 2 Talaaq Di Ya 3,To Kya Hukm Hai? Shauhar Laa-pata Ho Jaae,To Biwi Kya Kare? Mahr-e-Fatemi Ki Miqdaar Kya Hai? Saali Se Zina Kiya To Kya Biwi Haraam Ho Gayi?



Dawat-E-Quran