Biwi Se Milne Se Pahle Walima Karna



Sawal:10 baje din me nikah hui aur usi din Zohar baad biwi se milne se pahle walima karna chaahta hai,To Walima ki sunnat ada hogi ya nahi?
Jawab:Walima ki sunnat ada hone ke liye nikah ke baad biwi ke saath raat guzaarna ya hambistari karna zaruri nahi hai.Haan, Ziyadah behtar ye hai ki nikah aur rukhsati ke baad jab biwi ke saath raat guzaar le to walima kiya jaae. Agar kisi ne 10 baje din me nikah kiya aur usi din Zohar baad walima kar diya to walima ki sunnat ada ho jaaegi.Kyunki kuchh riwayato se maloom hota hai ki Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne hazrate zainab binte jahash ka walima zufaaf se pahle farmaya.Jab ki ziyadah tar riwayato se maloom hota hai ki walima zufaaf ke baad hua jaise dusri biwiyo ke nikah me walima zufaaf ke baad hua.Aur Najjashi Habsha ke baad-shaah ne Huzur Sallallaho alaihe wasallam ka nikah hazrat umme habiba se kiya aur logo ko khaana khilaaya,Aur ye rukhsati se pahle hua,Is se maloom hua ki walima zufaaf se pahle bhi ho sakta hai,Walima ki sunnat ada ho jaaegi.
Share........




Related Topics



Maa Baap Se Chhup Kar Nikah Karna Walima Ki Dawat Ke Liye Ladki Wale Se Paisa Lena Ek Raat Ke Liye Shadi Karna Kaisa Hai? Court Se Talaaq-Naama Likhwa Lene Se Talaaq Hogi Ya Nahi? Biwi Talaaq Ka Dawa Kare Aur Shauhar Inkaar Kare To? Yaad Nahi Ki 2 Talaaq Di Ya 3,To Kya Hukm Hai? Shauhar Laa-pata Ho Jaae,To Biwi Kya Kare? Apni Biwi Ko Maa Ya Bahan,Kah Diya To? Mahr-e-Fatemi Ki Miqdaar Kya Hai? Saali Se Zina Kiya To Kya Biwi Haraam Ho Gayi?



Dawat-E-Quran