Sawal:Shauhar agar talaaq nahi de,Aur ladki ke maa baap court se Talaaq-Naama likhwa le,To woh talaaq qaabil-e-qabool hai ya nahi?
Jawab:Kisi ki biwi ke liye court ke officers ki talaaq hargiz qaabil-e-qabool nahi hai.Kyunki Talaaq dene ka ekhtiyaar shauhar ko hai,Officers ko nahi.Quran sharif me hai:
ُبیدہٖ عقدۃ النکاح
Usi (Yani Shauhar) ke haath me hai nikah ki geerah.(Surah baqra aayat No.237)
aur Hadees sharif me hai:
الطلا ق لمن اخذ بالساق
Talaaq to usi ka haq hai jo aurat ki pendali pakre.(Yani jo us se sohbat karta ho yani shauhar ko) (Ibne Majah,Hadees No.2081)
Share........
Maa Baap Se Chhup Kar Nikah Karna Walima Ki Dawat Ke Liye Ladki Wale Se Paisa Lena Biwi Se Milne Se Pahle Walima Kar Sakte Hain? Ek Raat Ke Liye Shadi Karna Kaisa Hai? Biwi Talaaq Ka Dawa Kare Aur Shauhar Inkaar Kare To? Yaad Nahi Ki 2 Talaaq Di Ya 3,To Kya Hukm Hai? Shauhar Laa-pata Ho Jaae,To Biwi Kya Kare? Apni Biwi Ko Maa Ya Bahan,Kah Diya To? Mahr-e-Fatemi Ki Miqdaar Kya Hai? Saali Se Zina Kiya To Kya Biwi Haraam Ho Gayi?