Sawal:Hinda qasam ke saath bayan karti hai ki mere shauhar ne raat me mujhe 5 ya 6 talaaq di hai.Aur shauhar bhi qasam ke saath bayan karta hai ki main ne talaaq nahi di hai.To is ke baare me shari’at ka kya hukm hai?
Jawab:Shauhar ne agar sach much me 3 talaaq de diya hai to uski aurat Hinda us par haraam ho gayi.Ab begair halaala ke do-barah uske nikah me nahi aa sakti . (Surah Baqra,Aayat No.330)
Aur talaaq de kar shauhar ka inkaar karna Allah Ta’ala ke yahan kuchh bhi faa’ida nahi dega,Balki woh zina-kaar hoga aur sakht azaab ka haqdaar hoga.
Lekin sirf aurat ke bayan se talaaq saabit nahi hogi jab tak ki shauhar iqraar nahi kare.Aur is maamle me aurat ki qasam bekaar hai,Kyunki woh dawa karne wali hai.Aur Mard ki qasam ka etebaar hoga.Jaisa ki hadees sharif me hai: Daleel laana dawa karne wale par hai aur Qasam inkaar karne wale par hai. (Tirmizi, Hadees No.1341) Lekin agar aurat ko yaqeen hai ki uske shauhar ne use 3 talaaq de diya hai,To jis tarah bhi mumkin ho us se chhutkaara haasil kare agarche rupiya paisa dena pade.Aur agar woh is tarah bhi nahi chhore to aurat ko chaahiye ki woh apne upar qaabo na de,Aur agar ye bhi mumkin nahi ho to kabhi apni marzi se us se miya biwi jaisa ta’alluq na kare,Nahi to mard ke saath aurat bhi sakht gunah-gaar aur jahannam ke azaab ka haqdaar hogi.Allah Ta’ala fermata hai: Allah kisi jaan par uski taaqat se ziyadah bojh nahi daalta.(Surah Baqrah)
Share........
Maa Baap Se Chhup Kar Nikah Karna Walima Ki Dawat Ke Liye Ladki Wale Se Paisa Lena Biwi Se Milne Se Pahle Walima Kar Sakte Hain? Ek Raat Ke Liye Shadi Karna Kaisa Hai? Court Se Talaaq-Naama Likhwa Lene Se Talaaq Hogi Ya Nahi? Yaad Nahi Ki 2 Talaaq Di Ya 3,To Kya Hukm Hai? Shauhar Laa-pata Ho Jaae,To Biwi Kya Kare? Apni Biwi Ko Maa Ya Bahan,Kah Diya To? Mahr-e-Fatemi Ki Miqdaar Kya Hai? Saali Se Zina Kiya To Kya Biwi Haraam Ho Gayi?