Yaad Nahi Ki 2 Talaaq Di Thi Ya 3 To?



Sawal:Zaid ko iqraar hai ki ham ne talaaq di hai,Magar woh kahta hai ki ham ko yaad nahi hai do talaaq di hai ya teen, Haan,Ek dusre shakhs ka bayan hai ki usne 3 talaaq di hai.Is surat me 2 talaaq maani jaaegi ya 3?
Jawab:Jab is baat me shak hai ki do talaaq di hai ya 3 to is surat me do hi talaaq maani jaaegi jaisa ki Durr-e-Mukhtar Vol:2,Page No.454 me hai:

لو شک اطلق واحد اواکثر مبنی علی ٰالاقل

Aur sirf ek shakhs ki gawahi se 3 talaaq ka hukm nahi diya jaaega,Jab tak ki 2 aadil gawaahi se uska suboot na ho.Haan,Agar shauhar ko 3 talaaq dena yaad hai magar woh halaala se bachne ke liye is tarah ka bayan deta hai,To oh zina-kaar aur azaab-e-jahannam ka haqdaar hoga.
Share........




Related Topics



Maa Baap Se Chhup Kar Nikah Karna Walima Ki Dawat Ke Liye Ladki Wale Se Paisa Lena Biwi Se Milne Se Pahle Walima Kar Sakte Hain? Ek Raat Ke Liye Shadi Karna Kaisa Hai? Court Se Talaaq-Naama Likhwa Lene Se Talaaq Hogi Ya Nahi? Biwi Talaaq Ka Dawa Kare Aur Shauhar Inkaar Kare To? Shauhar Laa-pata Ho Jaae,To Biwi Kya Kare? Apni Biwi Ko Maa Ya Bahan,Kah Diya To? Mahr-e-Fatemi Ki Miqdaar Kya Hai? Saali Se Zina Kiya To Kya Biwi Haraam Ho Gayi?



Dawat-E-Quran