Maa Baap Se Chhup Kar Nikah Karna



Sawal:Ek ladki apne ek dost jawan se mohabbat karti hai.Woh us se nikah karna chaahti hai,Lekin uske maa baap tayyar nahi hai.Is liye baat ye tay hui ki dono chhup kar ya court jaa kar nikah kar le.Baad me jab Maa Baap ko raazi kar legi to dobarah sab ko dikha kar nikah kar liya jaaega.Is surat me kayi sawal paida hote hain:
No:1. Kya Maa baap ke marzi ke begair ladki ka nikah sahi hoga?
No:2. Kya chhup kar nikah jaaiz hai?
No:3. Kya court marriage ka shari’at ki nigaah me etebaar hai?
No:4. Kya ek baar nikaah ho jaane ke baad dobarah nikaah ka dikhaawa karna sahi hai? Meharbani kar ke in sawalo ke jawab ata farma de.

Jawab:: 1.Nikah ke sahi hone ke liye kya Maa baap ki marzi zaruri hai? Is baare me ekhtilaaf hai.Imam Shafayi ise zaruri qaraar dete hain,Jab ki imam Aazam Abu hanifa ke nazdik baalig ladka ya ladki apni marzi se nikaah kar sakte hain.
Imam Shafayi un hadiso ko daleel me pesh karte hain jin me wali ki ijaazat ke begair nikaah ko baatil qaraar diya gaya hai.(Abu Dawood,Hadees No.2084,2085,Tirmizi,Hadees No.1101, 1102) Jab ki imam Aazam Abu Hanifa un aayato aur hadiso ke daleel me pesh karte hain jin me nikaah ke durust hone ke liye aurat ki riza-mandi ki baat kahi gayi hai.(Surah Al-baqra,Aayat No.230,232,234 ,Sahi Muslim,Hadees No.1421)
Is ekhtilaaf se alag ho kar abhi ke daur me aqal-mandi ka taqaaza ye hai ki ladki apne Maa baap ya Wali ki marzi se nikah kare, Kyunki woh zamaane ke sard-o-garam ko achchhi tarah jaante hain aur apni aulaad ke khair-khaah bhi hote hain. Ladki agar khud se maa baap ki marzi ke khilaaf nikaah kare to woh dhoka khaa sakti hai, Ya baad me chal kar agar zindagi me koi jhagda paida ho jaae to uski koi himaayat karne wala nahi hoga.
No:2. Nikah ke sahi hone ke liye zaruri hai ki kam se kam do baalig musalman mardy a ek mard aur do aurato ki maujoodgi me ijaab qabool ho.Agar aisa kiya jaata hai to ye nikah sahi hoga. Agarche behtar tariqa ye hai ki nikaah ka elaan kiya jaae.(Tirmizi, Hadees No.1089,Ibne Majah,Hadees No:1895) taaki samaaj me logo ko maloom ho jaae ki fulan jawan aur fulan ladki jo ab tak ajnabi the.Ab nikah ke bandhan me bandh gaye hain.Is liye jahan tak ho sake chhup kar nikah karne se bachna chaahiye.
No:3. Court marriage ki bhi yahi haisiyat hai ki agar do baalig musalman mardo ko gawah bana kar ijaab qabool hota hai to shari’at me nikah ho jaaega.
No:4. Ek baar nikah ho jaane ke baad dobarah nikah ka dikhawa karne ki koi zarurat nahi hai.Aisa hargiz na kare.Maa baap baad me raazi ho jaae to bas unhe bata de ki ham log nikah kar chuke hai.dobarah nikah ka dikhawa karne se kabhi aisa mas’ala paida ho sakta hai ki koi sharif aadmi zindagi bhar munh dikhaane ke qaabil nahi rahega.Misal ke taur par chhup kar nikah kar liya aur biwi se hambistari bhi kiya,Aur uske do ya chaar mahine ke baad nikah ka dikhaawa kiya. To aisi surat me mumkin hai ki aurat ko hamal pahle hi thahar gaya aur nikaah ka dikhawa karne ke 5 hi mahine baad bachcha paida ho gaya.To samaaj me tarah tarah ki baate hongi.
Share........




Related Topics



Walima Ki Dawat Ke Liye Ladki Wale Se Paisa Lena Biwi Se Milne Se Pahle Walima Kar Sakte Hain? Ek Raat Ke Liye Shadi Karna Kaisa Hai? Court Se Talaaq-Naama Likhwa Lene Se Talaaq Hogi Ya Nahi? Biwi Talaaq Ka Dawa Kare Aur Shauhar Inkaar Kare To? Yaad Nahi Ki 2 Talaaq Di Ya 3,To Kya Hukm Hai? Shauhar Laa-pata Ho Jaae,To Biwi Kya Kare? Apni Biwi Ko Maa Ya Bahan,Kah Diya To? Mahr-e-Fatemi Ki Miqdaar Kya Hai? Saali Se Zina Kiya To Kya Biwi Haraam Ho Gayi?



Dawat-E-Quran