Sawal:Hinda ka shuhar 25 saal se gum hai,uski maut zindagi ka kuchh bhi pata nahi hai,To Hinda dusre se nikah karna chaahti hai,To uske liye kya hukm hai?
Jawab:Jis gum-shudah mard ki maut zindagi ka haal maloom nahi ho use “Mafqoodul Khabar” kahte hain.Aur aise shakhs ki biwi ke liye Ahnaaf ye kahte hain ki woh apne shauhar ki umar 90 saal hone tak intezaar kare.Jab ki imam ibne humaam ye kahte hain ki shauhar ki umar 70 saal hone tak intezaar kare,Kyunki Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya:Meri ummat ki umar 60 se 70 saal ke darmiyan hai.(Tirmizi,Hadees No.3550)
Magar zarurat ke waqt aise shakhs ki aurat ko imam Malik ke mazhab par amal karne ki ijaazat hai.Unke mazhab ke mutaabiq woh aurat district ke sab se bade sunni aalim ke saamne faskhe nikah ka dawa kare,Woh aalim uska dawa sun kar 4 saal ka waqt muqarrar kar de.Agar aurat ne kisi aalim ke saamne faskh-e-nikah ka dawa nahi kiya aur khud se 4 saal tak intezaar karti rahi to ye saal nahi maana jaaega.Balki dawa ke baad 4 saal ka waqt diya jaaega.Aur is 4 saal me uske shauhar ki maut aur zindagi ke baare me maloom karne ki har mumkin koshish ki jaaegi.Aur jab ye 4 saal guzar jaaega aur kuchh maloom nahi ho sakega tab woh aurat phir Us Aalim ke saamne apna istigaasa pesh karegi.Us waqt woh aalim uske shauhar par maut ka hukm karega,Phir aurat wafaat ki iddat guzaarne ke baad jis sunni sahihul aqeeda se shaadi karna chaahe kar sakti hai.Us se pahle kisi se nikah karna hargiz jaaiz nahi.
Share........
Maa Baap Se Chhup Kar Nikah Karna Walima Ki Dawat Ke Liye Ladki Wale Se Paisa Lena Biwi Se Milne Se Pahle Walima Kar Sakte Hain? Ek Raat Ke Liye Shadi Karna Kaisa Hai? Court Se Talaaq-Naama Likhwa Lene Se Talaaq Hogi Ya Nahi? Biwi Talaaq Ka Dawa Kare Aur Shauhar Inkaar Kare To? Yaad Nahi Ki 2 Talaaq Di Ya 3,To Kya Hukm Hai? Apni Biwi Ko Maa Ya Bahan,Kah Diya To? Mahr-e-Fatemi Ki Miqdaar Kya Hai? Saali Se Zina Kiya To Kya Biwi Haraam Ho Gayi?