Allah Ta'ala Ke Liye "Upar Wala" Aur "Miya" Bolna



Sawal:Allah Ta’ala ke liye “Upar wala” Aur “Miya” bolna kaisa hai? Agar koi shakhs is lafz ko buland aur bartari ke maana me bole to durust hai ya nahi?
Jawab:Allah Ta’ala ke liye “Upar wala” ka lafz bolna kufr hai.Is liye ki is se ye pata chalta hai ki Allah Ta’ala upar ki taraf hai jab ki Allah Ta’ala Upar niche wagairah me hone se paak hai.Jaisa ki Allama Saaduddin Taftaazaani ne likha hai ki:Jab Allah Ta’ala kisi jagah me hone se paak hai to kisi taraf me bhi hone se paak hai kyunki kisi taraf me wahi hota hai jo kisi makaan ya jagah me hota hai.(Sharah Aqaa’id Nasafi,Page No.33) Aur Allama ibne Najim Misri ne likha ki:Allah Ta’ala ko upar ya niche bolna kufr hai.(Bahrur Raa’iq,Vol:5,Page No.120) Lekin agar koi shakh is jumle ko “Bulandi aur bartari” ke maane me bolega to us par kufr ka hukm nahi lagaaya jaaega.Phir bhi aisa bolne wale ko mana hi kiya jaaega.
“Miya” ke kayi maana hain,Shauhar,Malik,Haakim wagairah. Ye baat sahi hai ki jab koi shakhs is lafz ko Allah Ta’ala ke liye istemaal karta hai to Hakim aur maalik ke maana hi me istemaal karta hai.Lekin jis lafz ke kyi maana ho aur unme se koi bhi maana galat ho,Jo Allah aur Rasool ki shaan ke khilaaf ho,To us lafz ka istemal Allah aur Rasool ke shaan me durust nahi hai.
Wallahu a’alamu bis-sawab.
. Share........




Related Topics



Dushman ke dar se kufriya kalima bolne ka hukm Bharat Mata ki jay,Vande Maturam aur Jay Hind bolna kaisa hai? Allah Ta'ala ko Ishwar aur God kahna kaisa hai? Ram Rahim ek hai,Bolne wale ka hukm Saare firqe haq hain,Kisi ko bura nahi kahna chaahiye? Huzur ﷺ ke dada tauheed par the ya nahi? Peshaani par Tilak lagwaana kaisa hai? Yazeed momin tha ya kaafir? Chhote bachcho ko "Masoom" kahna kaisa hai? Mandir ki taamir me chanda dene wale ka hukm



Dawat-E-Quran