Sawal:Bahut se musalman Bharat maata ki Jay, Wande Maturam aur Jay Hind bolte hain.Aisa bolna sahi hai ya Islami aqeede ke khilaaf hai?
Jawab:“Bharat Mata” Gair-muslimo ki ek dewi aur ma’bood hai.Aur “Jay” fatah,Bol baala aur buland hone ke maane me istemaal hota hai.To “Bharat Maata ki Jay” ka matlab hua “Bharat Mata Ma’bood ka bol baala ho”. Islami aqeede ke etebaar se Allah ke elawah aur koi ma’bood nahi hai.Is liye ye khula hua kufriya naarah hai.Jis tarah musalman “Kaali maata ki jay” nahi bol sakta usi tarah “Bharat Maata ki Jay” bhi nahi bol sakta.
“Vande Maturam” ka maana hai “Aye Maa ham tere pujaari hain”. Ye zameen se kaha gaya hai.Hindustaan ke mushrekin ke nazdik zameen bhi ek dewta aur ma’bood hai jo logo ko khaane ke liye anaaj aur rahne ke liye jagah deti hai.Isi ma’bood se is geet me kaha gaya hai ki Aye zameen! Aye dharti maata! Ham tere pujaari hain.Is liye ye jumla bhi khaalis kufriya aur shirkiya hai.Musalman ke liye is ka bolna hargiz hargiz durust nahi hai.
“Jay Hind” bolne me koi harj nahi hai.Kyunki iska maana hota hai “Mulk-e-Hindustan ki jeet aur fatah ho”.
Wallahu a’alamu bis-sawab.
.
Share........
Dushman ke dar se kufriya kalima bolne ka hukm Allah Ta'ala ko Ishwar aur God kahna kaisa hai? Ram Rahim ek hai,Bolne wale ka hukm Saare firqe haq hain,Kisi ko bura nahi kahna chaahiye? Huzur ﷺ ke dada tauheed par the ya nahi? Peshaani par Tilak lagwaana kaisa hai? Yazeed momin tha ya kaafir? Allah Ta'ala ko "Upar Wala" aur "Miya" Bolne ka hukm Chhote bachcho ko "Masoom" kahna kaisa hai? Mandir ki taamir me chanda dene wale ka hukm