Bachcho Ko "Masoom" Kahna Kaisa Hai?



Sawal:Chhote bachcho ko “Masoom” kahna kaisa hai?
Jawab:Lugat me Masoom ke kayi mane hain.(1) Gunaah se bacha hua, Paak-daman, Be-qasoor.(2) Bhola, Saadah dil, Sidha Saadha. (3) Chhota bachcha,Kam-sin bachcha, Na-samajh bachcha.
Shari’at ki istelaah me “Masoom” Sirf Ambiya-e-kiram aur Farishte hain.Un ke siwa aur koi Masoom nahi hota.Aur Masoom hone ka matlab shari’at me ye hai ki unke liye Allah ki taraf se hifazat ka wada ho chuka hai,Is liye un se gunaah ka hona mohaal hai.Is lehaaz se Ambiya-e-Kiram aur Farishte ke elawah aur kisi ko Masoom kahna hargiz jaaiz nahi hai.Yaad rahe, Auliya Allah bhi gunaah nahi karte, Lekin un se gunaah ho jaana mohaal nahi hai balki mumkin hai.
In zaruri baato ke baad jahaan tak sawal ki baat hai to uska jawab ye hai ki aam bol chaal me chhote bachcho ko bhi “Masoom” bol diya jaata hai.Lekin is se ye muraad nahi hota hai ki us se gunaah nahi ho sakta balki is lafz ka lugwi maana muraad hota hai, Bhola,Saadah Dil,Kam-sin bachcha wagairah.Is liye is maane me chhote bachcho ko “Masoom” kahne me koi harj nahi hai.
Wallahu a’alamu bis-sawab.
. Share........




Related Topics



Dushman ke dar se kufriya kalima bolne ka hukm Bharat Mata ki jay,Vande Maturam aur Jay Hind bolna kaisa hai? Allah Ta'ala ko Ishwar aur God kahna kaisa hai? Ram Rahim ek hai,Bolne wale ka hukm Saare firqe haq hain,Kisi ko bura nahi kahna chaahiye? Huzur ﷺ ke dada tauheed par the ya nahi? Peshaani par Tilak lagwaana kaisa hai? Yazeed momin tha ya kaafir? Allah Ta'ala ko "Upar Wala" aur "Miya" Bolne ka hukm Mandir ki taamir me chanda dene wale ka hukm



Dawat-E-Quran