Saare Firqe Haq Hain,Kisi Ko Bura Nahi Kahna Chaahiye?



Sawal:Ek shakhs jo namaaz aur roze ka bahut hi paaband hai Fatiha aur salaam wagairah sab padhta hai.Lekin woh dewbandi aur wahabi ke pichhe namaaz bhi padhta hai aur kahta hai ki sab firqe haq par hain kisi ko bhi bura nahi kahna chahiye.Kyunki hamara deen hame kisi ko bhi bura kahna nahi sikhaata.To kya us shakhs ki baat sahi hai?
Jawab:Us shakhs ka kahna bilkul hi galat hai.Kyunki Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki:Meri ummat 73 firqo me bat jaaegi.Un me sirf ek jannati hoga baaqi sab jahannami honge. (Tirmizi,Hadis No.2650) Is liye sab ko haq par samajhna jehaalat aur gumrahi hai.Aur agar koi shakhs dewbandi aur wahabi ke jo kufriya aqeede hain un ko jaan bujh kar bhi un logo ko haq maane aur un ke pichhe namaaz padhta rahe to “Husamul Harmain”Yani Makka aur Madina ke ulma ke fatwa ke mutabiq woh kaafir hai. Fatiha padhna aur salaam padhna use kaafir hone se nahi bachaaega. Aur ye kahna ki hamare deen ne kisi ko bura kahna nahi sikhaata ye bhi bilkul galat hai.Kyunki hamara deen achhchhe ko achhchha aur bure ko bura hi kahna sikhaata hai.Abu lahab,Walid bin Mugirah aur Aas bin Waa’il ne Jab Huzur ki gustakhi kiya aur Aap Sallallaho alaihe wasallam ko bura kaha to Aap Sallallaho alaihe wasallam ne un ko koi jawab nahi diya.Magar Allah Ta’ala ne un ki buraai aur mazammat me aayat naazil farmaya.Is se maloom hua ki agar koi hamari zaat ko bura kahe to khaamush rahna aur jawab nahi dena Huzur ki sunnat hai lekin agar koi Huzur ke baare me koi aisi baat kahe ya apni kitaab me likhe to us ka sakhti ke saath jawab dena Allah Ta’ala ka tariqa hai.Is liye hame dono par amal karna chaahiye.
Wallahu a’alamu bis-sawab.
. Share........




Related Topics



Dushman ke dar se kufriya kalima bolne ka hukm Bharat Mata ki jay,Vande Maturam aur Jay Hind bolna kaisa hai? Allah Ta'ala ko Ishwar aur God kahna kaisa hai? Ram Rahim ek hai,Bolne wale ka hukm Huzur ﷺ ke dada tauheed par the ya nahi? Peshaani par Tilak lagwaana kaisa hai? Yazeed momin tha ya kaafir? Allah Ta'ala ko "Upar Wala" aur "Miya" Bolne ka hukm Chhote bachcho ko "Masoom" kahna kaisa hai? Mandir ki taamir me chanda dene wale ka hukm



Dawat-E-Quran