Dushman Ke Dar Se Kufriya Kalima Bolne Ka Hukm



Sawal:Agar koi shakhs jaan bachaane ke liye majburi me kufriya kalima bol diya,To kya uska imaan khatam ho jaaega?
Jawab:Nahi, Agar kisi shakhsh ko majboor kiya jaae aur woh apni jaan bachaane ke liye kufriya kalima bol de to uska imaan khatam nahi hoga.Jaisa ki Quran sharif me hai:
“Jo shakhs imaan laane ke baad kufr kare,Siwaae uske jise intehaayi majboor kar diya gaya,magar uska dil imaan par mut’mayin raha.Lekin woh shakhs jisne (dobarah) apne ji se kufr ekhtiyar kiya to un par Allah ki taraf se gazab hai aur unke liye bada azaab hai”.(Surah Nahal,Aayat:106)
Is aayat-e-karima se maloom hua ki majburi ki surat me kufriya kalima bol dene se imaan khatam nahi hota,Jab ki uska dil iman par qaayim rahe.
Wallahu a’alamu bis-sawab.
. Share........




Related Topics



Bharat Mata ki jay,Vande Maturam aur Jay Hind bolna kaisa hai? Allah Ta'ala ko Ishwar aur God kahna kaisa hai? Ram Rahim ek hai,Bolne wale ka hukm Saare firqe haq hain,Kisi ko bura nahi kahna chaahiye? Huzur ﷺ ke dada tauheed par the ya nahi? Peshaani par Tilak lagwaana kaisa hai? Yazeed momin tha ya kaafir? Allah Ta'ala ko "Upar Wala" aur "Miya" Bolne ka hukm Chhote bachcho ko "Masoom" kahna kaisa hai? Mandir ki taamir me chanda dene wale ka hukm



Dawat-E-Quran