Yazid Momin Tha Ya Kaafir?



Sawal:Yazid momin tha ya kaafir?
Jawab:Bad bakht Yazid ke baare me is baat par ummat ke sabhi bade bade ulma ka ittefaq hai ki woh faasiq,Faajir aur bade gunaho ka karne wala tha.Lekin us ko kaafir kahne me ekhtilaaf hai.Hazrat-e-Imam Ahmad bin Hambal aur aap ki taqleed karne wale log Yazid ko kaafir kahte hain aur us ka naam le kar us par laanat karne ko jaaiz qarar dete hain.Aur woh is aayat se dalil pesh karte hain ki Allah Ta’ala ne farmaya:

فَہَلْ عَسَیۡتُمْ اِنۡ تَوَلَّیۡتُمْ اَنۡ تُفْسِدُوۡا فِی الْاَرْضِ وَ تُقَطِّعُوۡۤا اَرْحَامَکُمْ اُولٰٓئِکَ الَّذِیۡنَ لَعَنَہُمُ اللہُ فَاَصَمَّہُمْ وَ اَعْمٰۤی اَبْصَارَہُمْ

Trajama:To kya qarib hai ki agar Hukumat ke malik ho to zameen me fasaad karo aur apne rishtedaari ko kaato.Ye hain woh log jin par Allah ne laanat farmaya.To unhe haq se bahra kar diya aur un ki aankhe phor diya.(Surah Muhammad,Aayat No.22-23)
Is me koi shak nahi hai ki Yazid ne Hukumat ka malik hone ke baad zamin me fasaad phailaya,Khana-e-Kaaba aur Gumbade khizra ki sakht be hurmati kiya.Masjide Nabwi me ghode bandhwaya. Hazaaro Sahaba aur taba-een ko shahid karwaya.Kaaba sharif par apni fauj se path-thar phenkwaya.Khaana-e-Kaaba ke gilaf sharif ko phaada aur jalaaya.Madina sharif ki paak aurato ko apne khabis lashkar ke liye halal kiya.3 din tak masjid-e-Nabwi me namaaz aur azaan nahi hui.Huzur Sallallaho alaihe wasallam ke pyare nawase jinhe huzur ne jannati jawano ka sardaar kaha.Un par karbala me 3 din tak daana paani band kiya aur unhe aur un ke saathiyo ko shahid kiya.Aur un ke jismo par ghoda daudaya.Huzur ke khaandan ke muqaddas aurato ko qaid kar ke aur be izzati ke saath us ke darbaar me laaya gaya. Is liye woh beshak mal’oon hai aur us par laanat bhejna sahi hai.
Lekin Imam Azam Abu Hanifa radhi allaho anho ne us ke kaafir kahne ke baare me khaamushi ekhtiyar farmaya.Kyunki us ka bade bade gunah ka karna yaqin ke saath saabit hai.Magar Kufr ke saabit hone me shak hai.Aur jab kisi tarah ka shak hota hai to uski bunyad par kisi bade gunah ki nisbat karna kisi ki taraf sahi nahi hota. To shak hone ki surat me kaafir kaise kaha jaa sakta hai.(Sharah Fiqh-e-Akbar,Page No.88)
Wallahu a’alamu bis-sawab.
Share........




Related Topics



Dushman ke dar se kufriya kalima bolne ka hukm Bharat Mata ki jay,Vande Maturam aur Jay Hind bolna kaisa hai? Allah Ta'ala ko Ishwar aur God kahna kaisa hai? Ram Rahim ek hai,Bolne wale ka hukm Saare firqe haq hain,Kisi ko bura nahi kahna chaahiye? Huzur ﷺ ke dada tauheed par the ya nahi? Peshaani par Tilak lagwaana kaisa hai? Allah Ta'ala ko "Upar Wala" aur "Miya" Bolne ka hukm Chhote bachcho ko "Masoom" kahna kaisa hai? Mandir ki taamir me chanda dene wale ka hukm



Dawat-E-Quran