Sawal:Shadi ke baad aurat apne maike me puri namaz padhegi ya qasar karegi?
Jawab:(1) Jo aurat shadi ke baad mustaqil sasuraal rahne lagi to ab uska asli ghar sasuraal hai.Agar woh maike aaye aur woh 92 km ke faasle par hai to ab woh qasar karegi jab tak ki who 15 din rahne ki niyat nahi kare.
(2) Jo aurat apne shauhar ke saath safar me ho to woh apne shauhar ke tehat rahegi,Agar shauhar ne 15 din rukne ki niyat kar liya to aurat bhi puri namaz padhegi.Aur agar shauhar ki 15 din rukne ki niyat nahi ho to aurat bhi qasar karegi.Aurat ki niyat ka etebaar nahi hai.
(3) Agar koi aurat apne shauhar ki ijaazat se kam se kam 92 km ki doori par apne maike gayi aur 15 din se kam rukne ka iraada hai to woh musaafir rahegi aur namaz me qasar karegi. Jaise ek hafta ya 10 din ke liye gayi phir har din ye niyat ho ki kal chali jaaegi,parsu chali jaaegi aur halaat ki wajah se 15 din se ziyadah rukna par gaya to bhi qasar karegi.
Wallahu a’alamu bis-sawab.
.
Share........
Nabalig ladke ki azaan durust hoti hai ya nahi? Azaan hone ke baad masjid se nikalna kaisa hai? Takbeer ke shuru me khada hona kaisa hai? Namaz me Mobile band karne ka Mas'ala Shaafayi imam ke pichhe hanfi ki namaz? Pant takhne se niche kar ke namaz padhne ka hukm Nange sar namaz padhna kaisa hai? Kab namaz tor dena jaaiz hai? Apne ghar me mahram mard-o-aurat ka jama'at se namaz padhna?