Sawal:Azaan hone ke baad Masjid se nikalna jaaiz hai ya nahi?
Jawab:Azaan hone ke baad Masjid se begair kisi zarurat ke nikalna jaa’iz nahi hai.Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki:Jo shakhs masjid me rahte hue azaan sune phir woh masjid se nikal jaae begair kisi zarurat ke to woh munafiq hai.(Ibn-e-Majah,Hadis No.734)
Isi hadis se ye bhi maloom ho gaya ki agar koi shakhs kisi zarurat ki wajah se jaae to jaaiz hai.Jaise kisi dusari masjid ka imam ho to azaan hone ke baad un ka apni masjid me chale jaane me koi harj nahi hai.
Wallahu a’alamu bis-sawab.
.
Share........
Nabalig ladke ki azaan durust hoti hai ya nahi? Takbeer ke shuru me khada hona kaisa hai? Namaz me Mobile band karne ka Mas'ala Shaafayi imam ke pichhe hanfi ki namaz? Pant takhne se niche kar ke namaz padhne ka hukm Nange sar namaz padhna kaisa hai? Kab namaz tor dena jaaiz hai? Aurat apne maike me puri namaz padhegi ya qasar? Apne ghar me mahram mard-o-aurat ka jama'at se namaz padhna?