Nange Sar Namaz Padhna Kaisa Hai?



Sawal:Kuchh log nange sar namaz padhte hain,Kya ye sahi hai?
Jawab:Namaz ki haalat me satr-e-aurat zaruri hai.Mard ka satar naaf se le kar ghutne tak hai aur aurat ka satar pura badan hai siwaae chehra,haath ke hatheli aur pair ke.Ye kam se kam zaruri hai.Lekin jab Allah Ta’ala taufiq aur us’at wa taaqat diya hai to behtar hai ki topi ya imamah pahan kar namaz padhe.Jaisa ki imam Bukhari, Hazrat Umar radhi Allaho anho se riwayat karte hain ki:

إِذَا وَسَّعَ اللَّهُ فَأَوْسِعُوا

Jab Allah us’at de to us’at ekhtiyar karo.[Bukhari,Hadees No.365] Huzur Sallallaho alaihe wasallam,Sahaba,Taabyeen aur salf-e-saalehin ka tariqa imaamah ya topi se sar dhaanp kar namaz padhna tha.Is liye jab insaan ko topi ya imaamah haasil karne ki taaqat ho to nange sar namaz nahi padhe balki imaamah baandh kar ya topi pahan kar namaz padhe.
Lekin agar koi nangr sar namaz padhta hai to uski kayi surat hai.(1) susti se nange sar namaz padhna,yani topi pahan-na bojh maloom hota hai ya garmi lagti hai,to aisa karna naa-pasandidah hai.(2) Agar namaz ki tahqeer maqsood ho ki namaz koi aisa azim kaam nahi hai ki uske liye topi ya imaamah se sar ko dhaanpa jaaye,To aisa karna kufr hai.(3) Aur agar Allah ki baargaah me aajezi maqsood ho to phir ye mustahab hai.(Bahar-e-Shari’at,Jild 1,Page No.631)
Wallahu a’alamu bis-sawab.
. Share........




Related Topics



Nabalig ladke ki azaan durust hoti hai ya nahi? Azaan hone ke baad masjid se nikalna kaisa hai? Takbeer ke shuru me khada hona kaisa hai? Namaz me Mobile band karne ka Mas'ala Shaafayi imam ke pichhe hanfi ki namaz? Pant takhne se niche kar ke namaz padhne ka hukm Kab namaz tor dena jaaiz hai? Aurat apne maike me puri namaz padhegi ya qasar? Apne ghar me mahram mard-o-aurat ka jama'at se namaz padhna?



Dawat-E-Quran