Takbeer Ke Shuru Me Khada Hona Kaisa Hai?



Sawal:Iqamat yani takbir ke waqt shuru se khada hona sunnat hai ya “Hayya alas salah” kahte waqt khada hona sunnat hai.Kuchh log kahte hain ki shuru hi se khada rahna sunnat hai.Kiya ye sahi hai?
Jawab:Sahaba-e-kiram jab takbir ke shuru hi me khade ho gaye to Huzur sallallaho alaihe wasallam ne sahaba ko is se mana farmaya aur Aap Sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki:Jab namaaz ke liye takbir kahi jaae to khade nahi hua karo jab tak ki tum mujhe nahi dekh lo.Aur tum aaraam-o-sukoon ke saath raha karo.(Sahi Bukhari,Hadis No.638.Sahi Muslim,Hadis No.604)
Is hadis se saaf maloom hua ki takbir ke shuru me khade hone se Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne mana farmaya is liye ise sunnat kahna bilkul galat hai.Sunnat ye hai ki jab takbir kahne wala Hayya alal falah par pahuche us waqt khada hona chahiye.Jaisa ki Fatawa alamgiri me hai:
اذا دخل الرجل عند الاقامۃ یکرہ لہ الانتظار قائما ولکن یقعد ثم یقوم اذا بلغ المؤذن قولہ حی علی الفلاح
Aur Fatawa Shami vol:1, Page No.268 me hai:
یکرہ لہ الانتظار قائما ولکن یقعد ثم یقوم اذا بلغ المؤذن قولہ حی علی الفلاح ۔
Is ke elawah Allama Tahawi ne apni kitab “Maraqi” me bhi yahi likha aur Allama Abdul Hay ferangi Mehli ne “Umdature aaya” me bhi yahi likha.In sab kitaabo se ye zaahir hua ki takbir ke shuru me khada hona sahi nahi hai.
Wallahu a’alamu bis-sawab.
. Share........




Related Topics



Nabalig ladke ki azaan durust hoti hai ya nahi? Azaan hone ke baad masjid se nikalna kaisa hai? Namaz me Mobile band karne ka Mas'ala Shaafayi imam ke pichhe hanfi ki namaz? Pant takhne se niche kar ke namaz padhne ka hukm Nange sar namaz padhna kaisa hai? Kab namaz tor dena jaaiz hai? Aurat apne maike me puri namaz padhegi ya qasar? Apne ghar me mahram mard-o-aurat ka jama'at se namaz padhna?



Dawat-E-Quran