Shafayi Imam Ke Pichhe Hanfi Ki Namaz?



Sawal:Kya shafaee imam ke pichhe Hanfi logo ki namaaz durust hai?
Jawab:Agar shafaee imam ne koi aisa kaam kiya jo hamare hanfi tariqe ke mutabiq namaaz ko tod dena wala hai ya jis ke karne se hamare yahan namaaz hoti hi nahi hai jaise ki munh bhar qay hone ya haath aur pair wagairah se khoon ke nikal kar bah jaane ke baad bhi wazu nahi kiya.Ya wazu me chautha’ee sar se kam masah kiya to in sab suraton me shafaee imam ke pichhe hanfi logo ki namaaz durust nahi.Jaisa ki “Guniyya” ke Page No.480 me hai:
اما الاقتداء بالخالف فی الفروع کالشافعی فیجوز ما لم یعلم منہ ما یفسد الصلاۃ علیٰ اعتقاد المقتدی علیہ الاجماع۔
Aur agar shafaee imam namaaz me hanfi tariqe ka lehaaz rakhta hai to us ke pichhe hanfiyo ki namaaz durust hai.Jaisa ki Raddul Muhtar vol:1, Page No.448 me hai:
ان علم الاحتیاط منہ فی مذھبنا فلا کراھۃ فی الاقتدا
Wallahu a’alamu bis-sawab.
. Share........




Related Topics



Nabalig ladke ki azaan durust hoti hai ya nahi? Azaan hone ke baad masjid se nikalna kaisa hai? Takbeer ke shuru me khada hona kaisa hai? Namaz me Mobile band karne ka Mas'ala Pant takhne se niche kar ke namaz padhne ka hukm Nange sar namaz padhna kaisa hai? Kab namaz tor dena jaaiz hai? Aurat apne maike me puri namaz padhegi ya qasar? Apne ghar me mahram mard-o-aurat ka jama'at se namaz padhna?



Dawat-E-Quran