Pant Takhne Se Niche Kar Ke Namaz Ka Hukm



Sawal:Takhne ke niche pant kar ke namaz padhne se namaz hoti hai ya nahi?
Jawab:Pajaama,pant ya lungi wagairah takabbur ke taur pe takhne se niche ho to namaz makroh-e-tahrimi hogi aur us namaz ka dobarah padhna wajib hoga.Aur agar takabbur ke taur par nahi ho to namaz ho jaaegi lekin makroh-e-tanzihi hogi. Hadees-e-paak hai:
Huzur Nabi kareem Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki jo shakhs takabbur ki wajah se tahband ghasit-taa hua chalega to Allah Ta’ala qayamat ke din uski taraf nazar bhi nahi farmaaega.Hazrat Abu Bakar radhi Allaho anho ne arz kiya: Ya Rasoolallah sallallaho alaihe wasallam! Mere tahband ka ek hissa kabhi latak jaata hai, Magar ye ki uska khaas khayal rakhun.Aap Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki: Tum un logo me se nahi ho jo aisa takabbur ki wajah se karte hain. (Sahih Bukhari,Hadees No.5784
Hazrat Abu Huraira radhi Allaho anho bayan karte hain ki ek shakhs tahband takhne se niche kiye hue namaz padh raha tha.Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne un se farmaya ki: Jaao! wazu karo. Usne jaa kar wazu kiya.Phir haazir hua.To Aap Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki: Jaao! Wazu karo. Ek shakhs ne arz kiya:Ya Rasoolallah Sallallaho alaihe wasallam! Aap ne use wazu karne ka hukm kyun diya? Thori der khaamush rahne ke baad Aap Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki: Ye tahband latkaaye hue namaz padh raha tha,Aur Allah Ta’ala aise logo ki namaz qabool nahi farmaata.(Abu Dawood,Hadees No.636)
In dono hadeeso ki wajah se fuqhaa-e-kiram ne ye hukm diya ki pajaama aur pant wagairah takhne ke niche hone ki do surat hai.Agar takabbur ki wajah se hai to namaz makroh-e-tahrimi wajibul iyaadah hogi nahi to makroh-e-tanzeehi. Jaisa ki Fatwa Faqih-e-Millat me hai.
“Pajaama ya pant se takhna chhupa hua ho to uski do surate hain,Agar takabbur ki wajah se hai to namaz makroh-e-tahrimi hogi nahi to Tanzeehi.( Fatawa Faqih-e-Millat,Vol:1,Page No.178)
Wallahu a’alamu bis-sawab.
. Share........




Related Topics



Nabalig ladke ki azaan durust hoti hai ya nahi? Azaan hone ke baad masjid se nikalna kaisa hai? Takbeer ke shuru me khada hona kaisa hai? Namaz me Mobile band karne ka Mas'ala Shaafayi imam ke pichhe hanfi ki namaz? Nange sar namaz padhna kaisa hai? Kab namaz tor dena jaaiz hai? Aurat apne maike me puri namaz padhegi ya qasar? Apne ghar me mahram mard-o-aurat ka jama'at se namaz padhna?



Dawat-E-Quran