Namaz Me Mobile Band Karne Ka Mas'ala



Sawal:Namaz ke darmiyan Mobile phone band karne se namaz hogi ya nahi?
Jawab:Agar ye amal baar baar nah o balki ek ya do baa rho to is se namaz me koi farq nahi parega kyunki ye amal-e-qalil hai.Lekin agar kisi ne baar baar aisa kiya to amal-e-kaseer ki wajah se namaz faasid ho jaaegi.
Mobile saamne rakhe hone ki surat me agar namazi ne namaz ke dauraan ek aadh martabah Mobile par aane wale phone ka number dekh kar zuban se kuchh kahe begair use band kar diya to is se bhi namaz faasid nahi hogi.Jaisa ki imam Tahawi farmaate hain ki:
(لو نظر المصلي إلی مکتوب وفهمه) سواء کان قرآنا أوغيره قصد الاستفهام أو لا أساء الأدب، ولم تفسد صلاته لعدم النطق بالکلام.]طحطاوی، مراقی الفلاح : 187[
Namazi ne (dauraan-e-Namaz) apne iraade se begair kisi iraade ke kisi tahrir ki taraf dekha aur use samajh liya,Woh tahrir chaahe Quran ki hoy a uske elawah ki to ye adab ke khilaaf hai lekin nahi bolne ki wajah se namaz faasid nahi hogi.
Wallahu a’alamu bis-sawab.
. Share........




Related Topics



Nabalig ladke ki azaan durust hoti hai ya nahi? Azaan hone ke baad masjid se nikalna kaisa hai? Takbeer ke shuru me khada hona kaisa hai? Shaafayi imam ke pichhe hanfi ki namaz? Pant takhne se niche kar ke namaz padhne ka hukm Nange sar namaz padhna kaisa hai? Kab namaz tor dena jaaiz hai? Aurat apne maike me puri namaz padhegi ya qasar? Apne ghar me mahram mard-o-aurat ka jama'at se namaz padhna?



Dawat-E-Quran