Sawal:Ek hi mayyat ki dobarah namaz-e-janaza padhna kaisa hai?
Jawab:Agar mayyat ke auliya ne namaze janaza padh liya ya unki ijaazat se padhaayi gayi to namaz-e-janaza ada ho gayi aur farz-e-kifaya ada ho gaya.Dobarah janaza ada karna durust nahi hai.
Haan! Agar mayyat ke wali ne namaz-e-janaza nahi padhi aur nahi uski ijaazat se padhi gayi,Balki aise logo ne padhi jinko us mayyat par wilayat ka haq nahi to wali uski namaz-e-janaza padh sakta hai.Lekin is dusari jama’at me sirf wahi log shareek honge jo pahli me shareek nahi the.
Bahar-e-Shariyat me hai “ Wali ke elawah kisi aise ne namaz padhaayi jo wali par muqaddam na ho aur wali ne use ijaazat bhi nahi diya tha to agar wali namaz me sharik nahi hua tha to dobarah namaz-e-janaza padh sakta hai aur agar dafan ho gaya hai to qabr par namaz padh sakta hai.Aur agar woh wali par muqaddam hai jaise baadshah ya qaazi ya mohalle ka imam jo wali se afzal hai to ab wali dobarah namaz nahi padh sakta.Aur agar ek wali ne namaz padha di to dusre auliya dobarah nahi padha sakte.Aur jab bhi dobarah namaz padhe jaane ki surat me jo shakhs pahle nahi padha tha woh wali ke saath padh sakta hai,Aur jo shakhs shareek tha woh wali ke saath nahi padh sakta hai kyunki janaza ki do martabah namaz jaaiz nahi hai siwaaye us surat ke gair-e-wali ne wali ke ijaazat ke begair padha diya ho.[Bahar-e-Shariyat,Hissa 4,Page No.838]
Wallahu a’alamu bis-sawab.
.
Share........
Nabalig ladke ki azaan durust hoti hai ya nahi? Azaan hone ke baad masjid se nikalna kaisa hai? Takbeer ke shuru me khada hona kaisa hai? Namaz me Mobile band karne ka Mas'ala Pant takhne se niche kar ke namaz padhne ka hukm Nange sar namaz padhna kaisa hai? Kab namaz tor dena jaaiz hai? Aurat apne maike me puri namaz padhegi ya qasar? Apne ghar me mahram mard-o-aurat ka jama'at se namaz padhna?