Ek masjid me ek se ziyadah juma ki namaz qaayem ki jaa sakti hai?
Jawab:Aisi masjid jis me imam aur mo’azzin muqarrar ho,Us me ek namaz ki do jama’at karaana makrooh hai.Sahaba-e-kiram ka bhi yahi maamul tha ki jab masjid me aate aur wahan namaz ho chuki hoti to dusri masjid ki jama’at me jaa kar shaamil hote ya phir tanha namaz padh lete,Usi masjid me dusri jama’at nahi karaate the.Ek riwayat me hai ki Huzur Sallallaho alaihe wasallam do fariqo ke darmiyan sulah karaane ke liye tashrif le gaye,Wapas aaye to jama’at ho chuki thi,Aap Sallallaho alaihe wasallam ne apne ghar walo ko jama kar ke jama’at se namaz ada farmaayi.Agar farz namaz ki dusri jama’at masjid me begair kisi karaahat ke durust hoti to Huzur Sallallaho alaihe wasallam khud jaaiz hone ko bayan karne ke liye wahan jama’at farmaate,Lekin Aap ne aisa nahi kiya.Isi wajah se fuqhaa-e-kiram ek masjid me dusri jama’at karaane ki ijaazat nahi dete.
Is liye ek masjid me ek martabah juma ki namaz hone ke baad dusari martabah usi masjid me juma qaayem karna makrooh hoga.Agar ek masjid me do martabah juma karne ki wajah ye ho ki ek martabah me saare logo ki masjid me gunjaaish nahi hoti ho to masjid ke elawah kisi bade aur khule maidan me juma ki namaz ada kar li jaae taaki sab log ek saath padh le.Kyunki juma ke liye masjid ki shart nahi hai balki kisi bhi jagah juma ki namaz padhi jaa sakti hai.
.
Share........
Nabalig ladke ki azaan durust hoti hai ya nahi? Azaan hone ke baad masjid se nikalna kaisa hai? Takbeer ke shuru me khada hona kaisa hai? Namaz me Mobile band karne ka Mas'ala Pant takhne se niche kar ke namaz padhne ka hukm Nange sar namaz padhna kaisa hai? Kab namaz tor dena jaaiz hai? Aurat apne maike me puri namaz padhegi ya qasar? Apne ghar me mahram mard-o-aurat ka jama'at se namaz padhna?