Gaaye-baana Namaz-e-Janaza Padhna Kaisa Hai?



Sawal:Gaaye-baana namaz-e-janaza padhna kaisa hai?
Jawab:Namaz-e-janaza ki sharto me se ek shart ye hai ki mayyat namaz padhaane wale ke saamne maujood ho,Agar mayyat wahan maujood na ho to namaz sahih nahi hogi.Is liye gaaye-baana namaz-e-janaza shariyat ke etebaar se durust nahi hai.
Huzur Sallallaho alaihe wasallam ke zamane me be-shumar sahaba Madina sharif ke baahar shaheed hue aur unke shaheed hone ki khabar khud Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne sahaba ko diya,Magar unki gaaye-baana namaz-e-janaza nahi padhi.Jab ki khud Huzur Sallallaho alaihe wasallam ki hidayat thi ki jab kisi ka inteqaal ho jaae to mujhe uski khabar do,Is liye ki mera namaz padhna mayaat ke liye rahmat ka zariya hai.
Beer-e-Ma’oona ka mash-hoor haadisa pesh aaya jis me 70 Qurra sahaba ko kaafiro ne dhoke se apne saath le jaa kar be-dardi se shaheed kar diya.Huzur Sallallaho alaihe wasallam ko is se bahut hi ziyadah sadma hua.Ek mahina tak fajar ki namaz me Qunoot-e-Nazila padhi,Magr unki gaayebaana namaz-e-janaza nahi padhi.Isi tarah Gazwa-e-Moota,Jis me Hazrat Zaid bin Harisa,Hazrat Ja’far aur Hazrat Abdullah bin Rawaha shaheed hue,Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne maidan-e-jang se khabar aane se pahle khud Madina me in logo ke shaheed ho jaane ki khabar diya,Unke liye magfirat ki dua kiya lekin gaayebaana namaz-e-janaza nahi padhi.Is se maloom hua ki Huzur Sallallaho alaihe wasallam ke zamaane me gaaye-baana namaz-e-janaza ka koi riwaaj nahi tha.Sahaba ke zamaane me bhi aisi koi baat nahi thi.Is liye ab kisi ke liye jaaiz nahi ki woh gaaye-baana namaz-e-janaza padhe.Agar padhega to ye sunnat ke khilaaf hoga.
Najjashi Ki Namaz-e-Janaza: Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne Najjashi ki gaaye-baana namaz-e-janaza padhi.Is se dusre logo ki gaaye-baana namaz padhne ki daleel laana sahi nahi hai. Kyunki ye Huzur Sallallaho alaihe wasallam ki khususiyat thi.Aur is baare me jo riwayate hain un se maloom hota hai ki Najjashi ka janaza Aap Sallallaho alaihe wasallam ke saamne kar diya gaya tha aur sahaba ka bayan hai ki hame aisa mahsoos hota tha ki janaza Aap Sallallaho alaihe wasallam ke saamne hai.
Allama khitaabai farmate hain ki: Najjashi ek musalman aadmi the.Huzur Sallallaho alaihe wasallam par iman laaye.Magar woh apna iman chhupate the aur jab koi musalman inteqaal kar jaae to musalmano par uski namaz-e-janaza ada karna wajib hai.Najjashi kaafiro ke darmiyan the aur wahan koi nahi tha jo unki namaz-e-janaza padhta.Is liye Huzur Sallallaho alaihe wasallam ke liye unki namaz-e-janaza padhna zaruri tha.Kyunki Aap Sallallaho alaihe wasallam unke Nabi the aur logo ki nisbat uske ziyadah haqdaar the,Isi wajah se Aap ne logo ko bula kar unki namaz padhi. Wallahu a’alamu bis-sawab.
. Share........




Related Topics



Nabalig ladke ki azaan durust hoti hai ya nahi? Azaan hone ke baad masjid se nikalna kaisa hai? Takbeer ke shuru me khada hona kaisa hai? Namaz me Mobile band karne ka Mas'ala Pant takhne se niche kar ke namaz padhne ka hukm Nange sar namaz padhna kaisa hai? Kab namaz tor dena jaaiz hai? Aurat apne maike me puri namaz padhegi ya qasar? Apne ghar me mahram mard-o-aurat ka jama'at se namaz padhna?



Dawat-E-Quran