Kya namaz-e-janaza joote pahan kar ya jote utaar kar unke upar paaon rakh kar ada ho jaaegi?
Jawab:Dono tarah se namaz-e-janaza ada ho jaaegi.Lekin agar joota pahan kar namaz-e-janaza padhe to joote aur zameen dono ka paak hona zaruri hai.Aur agar joota utaar kar uske upar khade ho kar namaz-e-janaza padhe to joote ka tala aur zameen ka paak hona zaruri nahi hai,Lekin joo e ke upar wale us hisse ka paak hona zaruri hai jis par paaon hai.Ehtiyat isi me hai ki joota utaar kar us joote ke upar paaon rakh ka namaz-e-janaza ada ki jaae.
Ala hazrat imam Ahmad raza khan ek sawal ke jawab me farmate hain: Agar woh jagah peshab wagairah se napaak thi ya jinke joote ke tale napaak the aur us haalat me joota pahne hue namaz padhi to unki namaz nahi hui.Ehtiyat yahi hai ki joota utaar kar us par paaon rakh kar namaz padhi jaae ki zameen ya joote ka tala agar napaak ho to namaz me koi harj na ho. [Fatawa Razwiya]
.
Share........
Nabalig ladke ki azaan durust hoti hai ya nahi? Azaan hone ke baad masjid se nikalna kaisa hai? Takbeer ke shuru me khada hona kaisa hai? Namaz me Mobile band karne ka Mas'ala Pant takhne se niche kar ke namaz padhne ka hukm Nange sar namaz padhna kaisa hai? Kab namaz tor dena jaaiz hai? Aurat apne maike me puri namaz padhegi ya qasar? Apne ghar me mahram mard-o-aurat ka jama'at se namaz padhna?