Kursi Par Namaz Padhne Ki Surat Me Sajdah Kaise Kare?



Sawal:Kya kursi par baith kar namaz padhne ki surat me saamne koi aisi chiz honi chaahiye jis par sar rakh kar sajdah kiya jaae,Kyunki logo me aisa gumaan hai ki is tarah se rakhenge to sajde ki shakal banegi,Khaali hoga to sajdah nahi hoga?
Jawab:Jis shakhs ko ishaare se ruku aur sajdah karne ki shari’at ne ijaazat di hai to uske liye saamne uncha mez ya desk ya aur koi chiz rakhna taaki us par sajdah kar sake,Iski koi zarurat nahi hai.Huzur Sallallaho alaihe wasallam ke zamaane me aur baad me Sahaba aur Taabe-een ke daur me aur uske bahut baad bhi kursiya thi,Mez aur desk bhi the,Magar aisa kabhi nahi hua ki kisi Majbur shakhs ko ye hukm diya gaya ho ki woh koi chiz saamne rakh kar us par sajdah kare.Shari’at ne uske liye afzal ye qaraar diya hai ki woh zameen par baith kar namaz padhe aur ishaare se ruku aur sajdah kare.Lekin aaj agar koi kursi par baith kar namaz ada karta hai to majboor logo ke liye iski ijaazat hai ki woh kursi par baith kar namaz ada kare magr ruku aur sajdah ishaare se kare,Mez ya desk saamne rakh kar us par sajdah karne ki koi zarurat nahi hai,is liye aisa nahi kiya jaae.
Mufti Nizamuddin Razwi,Ashrafia Mubarak-pur . Share........




Related Topics



Nabalig ladke ki azaan durust hoti hai ya nahi? Azaan hone ke baad masjid se nikalna kaisa hai? Takbeer ke shuru me khada hona kaisa hai? Namaz me Mobile band karne ka Mas'ala Pant takhne se niche kar ke namaz padhne ka hukm Nange sar namaz padhna kaisa hai? Kab namaz tor dena jaaiz hai? Aurat apne maike me puri namaz padhegi ya qasar? Apne ghar me mahram mard-o-aurat ka jama'at se namaz padhna?



Dawat-E-Quran