Sawal:4 rik’at wale farz ki tisari aur chauthi rik’at me surah fatiha padhna wajib hai ya nahi, Kya chup bhi rah sakte hain?
Jawab:4 rik’at wale farz ki tisari aur chauthi rik’at me surah fatiha padhna afzal hai,Wajib nahi aur 3 baar “Subhanallah” kahna ya itni der chup khada rahna bhi jaaiz hai.Lekin tasbeeh padhna khaamosh rahne se behtar hai.
Farz ki tisari aur chauthi rik’at me surah fatiha padhne ke baare me sahih bukhari me hai ki: Beshak Huzur Nabi Kareem Sallallaho alaihe wasallam Zuhar ki pahli do rik’ato me Surah Fatiha aur do suraten tilawat farmate the aur aakheri do rik’ato me sirf surah fatiha padhte the.[Sahih Bukhari,Kitabul Azaan,Hadees No.776]
Aur farz ki aakheri do rik’ato me kuchh bhi nahi padhne ke baare me Mautta Imam Malik me hai ki: Beshak Hazrat Abdullah bin Mas’ood radhi Allaho anho imam ke pichhe jehri aur sirri dono tarah ki namazo me pahli do rik’ato aur aakheri dono rik’ato me kuchh bhi nahi tilawat karte the aur jab tanha padhte to pahli do rik’ato me surah fatiha aur surah padhte the aur aakheri do rik’ato me kuchh bhi nahi padhte the. [Mautta Imam Malik]
Musannaf Abdur-Razzaq me hai ki: Hazrat Ubaidullah bin Abi Raafe’ radhi Allaho anho kahte hain ki Hazrat Ali radhi Allaho anho Zuhar aur Asar ki pahli do rik’at me surah fatiha aur surah padhte the aur aakheri rik’ato me kuchh bhi nahi padhte the.[Musannaf Abdur-razzaq,Kitabus salaat,Hadees No.2656]
Aur farz ki tisari aur chauthi rik’at me tasbeeh padhne ke baare me Hazrat Ali radhi Allaho anho ne farmaya ki : Namazi pahli do rik’ato me Qiraat kare aur aakheri do rik’ato me tasbeeh kare.[Musannaf ibne abi shaiba,Hadees No.3764]
Durr-e-Mukhtar me hai: 4 rik’at farz padhne wale ke liye pahli do rik’at ke baad surah fatiha padhna kaafi hai aur ye ba-zaahir sunnat bhi hai.Aur agar surah fatiha ke saath surah bhi mila liya to koi harj nahi hai.Aur namazi ko surah fatiha padhne aur 3 martabah tasbeeh kahne aur is miqdaar chup rahne me ekhtiyar hai.[Durr-e-Mukhtar,Kitabus-salaat,Vol:2,Page No.270]
.
Share........
Nabalig ladke ki azaan durust hoti hai ya nahi? Azaan hone ke baad masjid se nikalna kaisa hai? Takbeer ke shuru me khada hona kaisa hai? Namaz me Mobile band karne ka Mas'ala Pant takhne se niche kar ke namaz padhne ka hukm Nange sar namaz padhna kaisa hai? Kab namaz tor dena jaaiz hai? Aurat apne maike me puri namaz padhegi ya qasar? Apne ghar me mahram mard-o-aurat ka jama'at se namaz padhna?