Perfume Laga Kar Namaz Padhne Ka Hukm



Sawal:Body spray aur perfume jo market me milte hain,Unko laga kar namaz ho jaati hai ya nahi?
Jawab:Agar body spray aur perfume me alcohol mila hua nahi hai to use laga kar namaz padhne se namaz ho jaati hai.Aur agar alcohol mila hua hai to usme ye tafseel hai ki Alcohol ki do qisme hain.
(1) Ek woh jo monaqqa,Angoor ya khajoor ki sharaab se haasil ki gayi ho,Ye bil-ittefaaq napaak hai.Iska istemaal aur iski kharidna aur bechna najaaiz hai. (2) Dusari woh jo upar zikr ki gayi chizo ke elawah kisi aur chiz jaise Jau,Aalu,Shahad,Ganna,Sabzi wagairah se haasil ki gayi ho.Iska istemal au rise kharidna aur bechna jaaiz hai.
Is tafseel ke etebaar se agar body spray ya perfume me istemaal hone wali Alcohol Munaqqa,Angoor ya khajoor se haasil ki gayi hai to aise body spray wagairah ka istemaal jaaiz nahi hai aur usko laga kar padhne se namaz nahi hogi.Aur agar body spray wagairah me istemaal hone wali Alcohol Jau,Aalu,Shahad,Ganna,Sabzi wagairah se haasil ki gayi hai to aise body spray wagairah ka istemaal jaaiz hai aur usko laga kar namaz padhne se namaz ho jaaegi.
Aam taur par body spray aur perfume wagairah me jo Alcohol istemal hoti hai woh angoor ya khajoor wagairah se haasil nahi ki jaati hai balki dusari chizo se banaayi jaati hai.Is liye kisi chiz ke baare me jab tak tahqeeq se saabit na ho jaae ki isme pahli qism (Munaqqa,Angoor,Ya khajoor ki sharaab) se haasil kiya gaya Alcohol hai,Us waqt tak uske istemaal ko najaaiz aur haraam nahi kah sakte.Aur aisa body spray laga kar namaz padhna jaaiz hai.Haan! Agar ehtiyaat par amal karte hue is se bhi bache to ziyadah behtar hai.
. Share........




Related Topics



Nabalig ladke ki azaan durust hoti hai ya nahi? Azaan hone ke baad masjid se nikalna kaisa hai? Takbeer ke shuru me khada hona kaisa hai? Namaz me Mobile band karne ka Mas'ala Pant takhne se niche kar ke namaz padhne ka hukm Nange sar namaz padhna kaisa hai? Kab namaz tor dena jaaiz hai? Aurat apne maike me puri namaz padhegi ya qasar? Apne ghar me mahram mard-o-aurat ka jama'at se namaz padhna?



Dawat-E-Quran