Sadri Ka Button Ya Jacket Ka Zip Khol Kar Namaz Padhna?



Sawal:Agar kurte ke upar jacket ya sadri pahna ho aur uski zip ya button khol kar namaz padhe,To kya is tarah se namaz ho jaati hai?
Jawab:Ji haan! Is tarah namaz padhne se namaz ho jaaegi. Ala Hazrat farmaate hain ki: Angrakhe par jo sadri ya choga pahante hain aur urf-e-aam me un ka koi button bhi nahi lagaate aur ise aib ki baat bhi nahi samajhte,To is me koi harj nahi hai,Kyunki ye aadat ke khilaaf nahi hai.[Fatawa Razwiya,Vol:7,Page No.386,Raza Foundation]
Fatawa Faqih-e-Millat me hai: Is tarah kapda pahan kar namaz padhi ki niche kurte ka sabhi button band hai aur upar sherwaani ya sadri ka sab ya kuchh button khula hai,To koi harj nahi.[Fatawa Faqih-e-Millat,Vol:1,Page No.174]
. Share........




Related Topics



Nabalig ladke ki azaan durust hoti hai ya nahi? Azaan hone ke baad masjid se nikalna kaisa hai? Takbeer ke shuru me khada hona kaisa hai? Namaz me Mobile band karne ka Mas'ala Pant takhne se niche kar ke namaz padhne ka hukm Nange sar namaz padhna kaisa hai? Kab namaz tor dena jaaiz hai? Aurat apne maike me puri namaz padhegi ya qasar? Apne ghar me mahram mard-o-aurat ka jama'at se namaz padhna?



Dawat-E-Quran