Tahiyyat Me Ishara Kar Ke Halqa Khol De Ya Aakhir Tak Halqa Baandhe Rakhe?



Sawal:Tahiyyat me ishaarah kar ke pahle ki tarah rakh de ya halqa banaaye rakhe?
Jawab:Tahiyyat me “Laa” par halqa baandhe aur shahaadat ki ungali upar utha kar ishaarah kare “illallah” par ungali gira le aur halqa khol kar pahle ki tarah rakh len.Guniyya me hai:
المراد من العقد المذکور فی روایۃ مسلم، العقد عند الإشارۃ لا فی جمیع التشہد ألا یری ما في الروایۃ الأخری لمسلم: ’’وضع کفہ الیمنی علی فخذہ الیمنی وقبض أصابعہ کلہا وأشار بأصبعہ التي تلي الإبھام‘‘۔ ولا شک ¬أن وضع الکف لا یتحقق حقیقۃ مع قبض الأصابع فالمراد وضع الکف ثم قبض الأصابع بعد ذلک عند الإشارۃ۔
Is ibaarat me do jagah wazaahat hai: Ek jagah ye hai ki “Halqa ishaare ke waqt hai” dusari jagah hai “Phir ungulyo ko sametna hai ishaare ke waqt” ye dono ibaarat se ye baat saabit hoti hai ki ungulyo ka halqa sirf ishaare ke waqt hoga,na pahle hoga aur nahi baad me.Is liye ki jab koi hukm kisi haalat ke saath hota hai to woh usi haalat ke saath khaas hota hai.Is liye ishaare ke baad bhi halqa baandhe rakhna jaisa ki kuchh logo me dekha jaata hai,ye sunnat ke khilaaf hai.
Ulma ne Qa’dah chaahe pahla hoy a aakhir wala us ki sunnato me ye baat likha hai ki “Daahia haath daaheni raan par aur baaya haath baaye raan par rakhe aur haath ko khula rakhe” Jaisa ki Fatawa Alamgiri me hai:
ووضع یدیہ علی فخذیہ وبسط أصابعہ، کذا في الہدایۃ۔ Is ka matlab ye hai ki Qa’dah ki asal sunnat ye hai ki dono haatho ki unguliya dono raano par khuli hui rakhe.Ab agar ishaara ke baad bhi halqa baandhe rakhe to ye sunnat ko chhorna hoga.
Khulaasa ye hai ki Halqa sirf “illallah” tak hoga uske baad khol diya jaaega. Allama Sayyad Ahmad Tahaawi ne saaf likha hai ki “ illallah par unguli giraane ke baad halqa khol de.” Unki asal ibaarat ye hai : والعقد وقت التشہد فقط فلا یعقد قبل ولا بعد وعلیہ الفتوی۔
. Share........




Related Topics



Nabalig ladke ki azaan durust hoti hai ya nahi? Azaan hone ke baad masjid se nikalna kaisa hai? Takbeer ke shuru me khada hona kaisa hai? Shaafayi imam ke pichhe hanfi ki namaz? Pant takhne se niche kar ke namaz padhne ka hukm Nange sar namaz padhna kaisa hai? Kab namaz tor dena jaaiz hai? Aurat apne maike me puri namaz padhegi ya qasar? Apne ghar me mahram mard-o-aurat ka jama'at se namaz padhna?



Dawat-E-Quran