Namaz-e-Istekhaara



Hadees:Hazrat-e-Jaabir bin Abdullah Radhi Allahu Anhuma bayan karte hain ki:Huzur Salllallaho alaihe wasallam ham logo ko tamaam kaamo me Istekhaarah ki taalim aise hi dete the jaise Quran ki surah sikhaate the.[Tirmizi,Hadees No:480]
Istekhaare ka Tariqa:Jab koi shakhs kisi kaam ka iraada kare to use chaahiye ki do rik’at nafil namaz padhe phir ye dua padhe.

اللَّهُمَّ إِنِّى أَسْتَخِيرُكَ بِعِلْمِكَ وَأَسْتَقْدِرُكَ بِقُدْرَتِكَ وَأَسْأَلُكَ مِنْ فَضْلِكَ الْعَظِيمِ فَإِنَّكَ تَقْدِرُ وَلاَ أَقْدِرُ وَتَعْلَمُ وَلاَ أَعْلَمُ وَأَنْتَ عَلاَّمُ الْغُيُوبِ اللَّهُمَّ إِنْ كُنْتَ تَعْلَمُأَنَّ هَذَا الأَمْرَ خَيْرٌ لِى فِى دِينِى وَمَعِيشَتِى وَعَاقِبَةِ أَمْرِى أَوْ قَالَ فِى عَاجِلِ أَمْرِى وَآجِلِهِ فَيَسِّرْهُ لِى ثُمَّ بَارِكْ لِى فِيهِ وَإِنْ كُنْتَ تَعْلَمُ أَنَّ هَذَا الأَمْرَ شَرٌّ لِى فِى دِينِى وَمَعِيشَتِى وَعَاقِبَةِ أَمْرِى أَوْ قَالَ فِى عَاجِلِ أَمْرِى وَآجِلِهِ فَاصْرِفْهُ عَنِّى وَاصْرِفْنِى عَنْهُ وَاقْدُرْ لِىَ الْخَيْرَ حَيْثُ كَانَ ثُمَّ أَرْضِنِى بِهِ۔

Allahumma inni astakhiruka bi-ilmika wa as-taqdiruka bi-qudratika wa as’aluka min fazlikal azeem,Fa-innaka taqdiru wa laa aqdiru wa ta’lamu wa laa a’alamu wa anta allamul guyoob.Allahumma in kunta ta’lamuanna haazal amra khairul lee fee deeni wa ma-ishati wa aaqibati amri wa aajil amri wa aajilihi fa-yassar-hu lee,thumma baarik lee feehi.Wa in kunta ta’lamu ann haazal amra sharrul lee fee deeni wa ma-ishati wa aaqibati amri fas-rif-hu a’nni was-rifni anhu waqdur leeyal khaira haisu kaana, thumma arzini bihee.
Note: "Anna haazal amra"ye lafz padhte waqt apni zarurat ko apne dimaag me rakhe aur chaahe to ye lafz padh kar apni zarurat ka zikr kare phir aage dua padhe.
Mas’ala:Behtar ye hai ki 7 baar istekhaarah kare kyunki ek hadees me aaya hai ki:Huzur Sallallahu alaihe wasallam ne hazrat-e-Anas radhi allahu anho se farmaya ki:Aye Anas!Jab to kisi kaam ka iraada kar to apne Rab se uske baare me 7 baar istekhaara kar phir dekh ke tumhaare dil me kya guzra.To jo guzre woh kar ki beshak us me bhalaai hai. (Kanzul Ummal,Hadees No.215356)
Share.........




Related Topics



Namaz ki ahmiyat wa fazilat Namaz padhne ka tariqa Namaz ke sharayat wa faraaiz Namaz ke wajibaat aur sunnaten Namaz ke makruhaat aur mufsidaat Sajda sahu ke masaail Qiraat me galti ke masaail Musaafir ki namaz ka bayan Bimar shakhs ki namaz ka bayan Namaz-e-Taraweeh ke masaail Namaz Tahiyatul wazu aur Masjid Namaz-e-Ishraaq aur Chaasht Namaz-e-Tauba aur Tahajjud Salatut Tasbeeh Namaz-e-Hajat Eid ki namaz Suraj gahan aur chand gahan ki namaz Namaz-e-Janaza ke masaail



Dawat-E-Quran