Namaz Ke Wajibaat Aur Sunnaten



Namaaz ke wajibat ka bayan: Namaaz me bahut saari chizen wajib hain.Agar un me se koi bhul kar chhot jaaye to sajda-e-sahw kar lene se namaaz ho jaayegi.(Sajda-e-Sahw karne ka tariqa ye hai ki Namaaz ki aakheri rak'at me At-tahiyyat padhne ke baad daheni taraf salaam pher kar do sajde kare aur phir se tahiyyat,darood-e- ibrahemi aur dua-e-Masurah padh kar salaam pher de.)lekin agar kisi ne jaan bujh kar chhor diya to aisi namaaz ko dobarah padhna wajib hoga.Namaaz me jo baaten wajib hain woh ye hain.
(1)Takbir-e-Tahrima me lafz-e-Allahu akbar ka hona.(2) Surah Faatiha padhna.(3) Farz namaaz ki pehli 2 rak'aton me aur baqiya namaaz ki har rak'aat me Surah Faatiha ke baad koi surah padhna.Ya Quran sharif ki koi 3 chhoti aayat padhna ya ek aisi badi aayat jo 3 chhoti aayaton ke barabar ho.(4) Surah Faatiha ko surah se pehle padhna.(5)Har rak'at me surah se pehle ek hi baar surah Faatiha ka padhna.(6) Mukammal Tahiyaat padhna.(7) 4 raka'at wali namaaz ki dusri rak'at me baithne ke baad Tahiyat ke elawah kuchh bhi na padhna.(8) Har rak'at me ruku ka ek hi baar hona.(9) Aur sajde ka 2 hi baar hona. yani 2 se ziyadah sajde na karna. (10) Tadil-e-Arkaan.(Namaaz ke arkaan ko itminaan se ada karna.) Yani ruku se sidha khada hona aur dono sajdon ke darmiyan sidha baithna.(11) Jis namaaz me zor se Qirat hoti hai us namaaz me imam ka zor se Qirat karna aur jis me aahista hoti hai us me aahista Qirat karna.(12) Imam ke pichhe Qirat ke waqt muqtadi ka chup chaap rahna. (13) vitr ki namaaz me dua-e-Qunoot padhna. (14) Takbire Qunoot.Yani dua-e-Qunoot padhne ke liye Allahu akbar kehna.(15)Namaaz se nikalne ke liye lafze "Assalamo" kehna. ("Alaikum" ka lafz wajib nahi hai.) (16) Har wajib aur farz ka us ki jagah par hona.(17) Do farz ya do wajib ya farz aur wajib ke bich me 3 tasbih ki miqdaar me waqfah ka na hona.(18) 4 raka'at wali namaaz me tisri rak'at par na baithna.(19) Agar namaaz me bhul hui to Sajda-e-Sahu karna.

Namaz ki Sunnaten:Jo chiz namaz me Huzur Sallallaho alaihe wasallam se saabit hain lekin unki taakid farz aur wajib ki tarah nahi hai unhe sunaat kahte hain.Un me se koi chiz agar bhole se chhot jaaye to sajda sahu wajib nahi hota hai aur nahi gunaah hota hai.Aur jaan bujh kar chhor dene se bhi sajda sahu wajib nahi hota hai lekin chhorne wala malamat ka haqdaar hota hai.
Namaz me ye baaten Sunnat hain.
1:Takbir-e-Tahrima kahne se pahle dono haath kaano tak uthaana.
2:Dono haatho ki unguliya apne haal par khuli aur qibla ki taraf rakhna.
3:Takbir-e-Tahrima kahte waqt sar ko nahi jhukaana.
4:Aurat ka sirf kandhe tak haath uthaana.
5: Daaen haath ko baaen haath par naaf ke niche baandhna.
6:Sana padhna.
7: Auzubillah aur Bismillah padhna.
8: Farz namaz ki tisari aur chuthi rik’aat me sirf surah fatiha padhna.
9: Surah fatiha padhne ke baad Aamin kahna.
10: Sana,Auzubillah,Bismillah,Aamin, in sab ko aahista padhna.
11: Sunnat ke mutaabiq Qiraat karna.Yani jis namaz me jo surah Huzur Sallallaho alaihe wasallam se saabit hai us namaz me wahi surah padhna.
12: Ruku aur Sajde me kam se kam 3 baar tasbih padhna.
13: Ruku me sar aur pith ko ek sidh me barabar rakhna,Aur dono haatho ki khuli ungulyon se ghutne ka pakarna.
14:Ruku se khade hote waqt imam ko “Sami Allahu liman Hamida” Aur muqtadi ko “Rabbana Lakal Hamd” kahna. Aur tanha namaz padhne ki surat me dono kahna.
15: Sajde me jaate waqt pahle dono ghutne,Phir dono haath,Phir naak,Phir peshaani rakhna.Aur uthte waqt pahle peshani phir Naak phir haath phir ghutna zameen se uthaana.
16: Sajda me baazu karwato se aur pet raan se alag rakhna.Aur aurato ke liye baazu karwato se,Pet raan se,raan pindilyo se aur pindilya zameen se mila dena.
17:Jalsa aur Qaadah me baaya paaon bichha kar us par baithna aur sidhe paaon ko is tarah khada rakhna ki uski ungulyo ke sire qible ki taraf rahen.Aur dono haath raano par ghutne ke paas rakhna.
18: Aurato ko dono paaon daaheni taraf nikaal kar baae sureen par baithna.
19: Attahiyyaat me “Ash'hadu al La ilaha” par unguli se ishara karna.
20: Aakheri qaadah me Tahyyaat ke baad Darood sharif padhna.
21:Darood ke baad dua-e-Masurah padhna.
22:Pahle daaheni taraf phir baaen taraf Salam pherna.
Share.........




Related Topics



Namaz ki ahmiyat wa fazilat Namaz padhne ka tariqa Namaz ke sharayat wa faraaiz Namaz ke makruhaat aur mufsidaat Sajda sahu ke masaail Qiraat me galti ke masaail Musaafir ki namaz ka bayan Bimar shakhs ki namaz ka bayan Namaz-e-Taraweeh ke masaail Namaz Tahiyatul wazu aur Masjid Namaz-e-Ishraaq aur Chaasht Namaz-e-Tauba aur Tahajjud Salatut Tasbeeh Namaz-e-Hajat Namaz-e-Istikhaara Eid ki namaz Suraj gahan aur chand gahan ki namaz Namaz-e-Janaza ke masaail



Dawat-E-Quran