Namaaz ke Makruhaat: Kuchh baatein aisi hain jin ko namaaz me kar ne se namaaz makrohe tahrimi ho jaati hai.Yani aisi namaaz ka dobarah padhna wajib hota hai,Woh baaten ye hain.
(1) Kapda,badan Ya darhi ke saath khelna.(2) Ungulyan chatkaana.(3) Idhar udhar munh pher kar dekhna.(4) Aasmaan ki taraf nigaah utha kar dekhna.(5)Sakht pakhaana ya peshab maloom hote waqt namaaz padhna.(6) Muflar ya chadar wagairah se naak aur munh ko chhupana.(7) Begair zarurat ke khankhaar nikalna.(8)Jamahi lena,aur agar khud aaye to koi harj nahi.(9) Jis kapde par jaandaar ki tasweer ho use pehan kar namaaz padhna.(10)Namaazi ke aage ya daahine ya baa'ein ya pichhe tasweer ka latka ya nasab kiya huwa hona ya diwaar par naqsh hona.(11) Imam se pehle muqtadi ka ruku aur sajde mein jaana ya un se pehle sar uthaana.
Namaz ke Mufsidaat:Jin baato se namaz toot jaati hain un baato ko mufsidaat-e-Namaz kahte hain.Ye bahut saare hain un me se kisi ko bhi karne se namaz toot jaati hain aur uska lautaana zaruri hota hai.Woh baaten ye hain.
1: Namaz me baat karna,Jaan bujh kar hoy a bhul kar,kam ho ya ziyadah.
2:Namaz ki haalat me Assalam-o-Alaikum ya aisa hi koi aur lafz kahna.
3:Kisi ko salam ka jawab dena ya kisi ki chink par Yar-hamu-Kallah” kahna.
4:Namaz se baahar wale kisi shakhs ki dua par Aamin kahna.
5:Kisi buri khabar par “Inna lillah” ya achchhi khabar par “Al-hamdulillah” kahna.
6:Kisi azib khabar par “Subhanallah” ya dard takleef ki wajah se “Aah ya uff” kahna.
7:Is tarah rona ki Huroof paida hon.
8: Apne imam ke elawah kisi aur ko galti batana ya Quran sharif dekh kar padhna.
9: Amal-e-kaseer, Yani namaz me aisa kaam karna ki dekhne wala samjhe ki namaz nahi padh raha hai.
10:Namaz me khaana pina,Chaahe bhul kar hi kyun na ho.
11: Namaz padhte padhte do saff ke barabar aage badh jaana.
12:Achanak Satar ka khul jaana aur 3 baar tasbih padhne ki deeri tak khuka rahna.
13:Napaak jagah par sajda karna.
15: Dua me aisi chiz maangna jo aam taur se insaano se maangi jaati hai.Jaise koi ye dua kare ki Ya Allah! Mujhe 100 rupiye ata kar de.
16: Qahqaha maar kar hasna.
17:Muqtadi ka imam se aage badh kar khada hona.
Sawal:Agar bimaar ke munh se be-ekhtiyar Aah ya Ooh nikal gaya to kya namaz toot jaayegi.
Jawab: Agar be-ekhtiyar nikal gaya to namaz nahi tootegi.
Sawal: Namaz ke darmiyan agar chhink aaye to kya hukm hai?
Jawab: Namaz ke darmiyan agar chhink aaye to hukm ye hai ki chup rahe,Lekin agar kisi ne “Al-hamdulillah” kah liya to namaz nahi tootegi.
Share.........
Namaz ki ahmiyat wa fazilat Namaz padhne ka tariqa Namaz ke sharayat wa faraaiz Namaz ke wajibaat aur sunnaten Sajda sahu ke masaail Qiraat me galti ke masaail Musaafir ki namaz ka bayan Bimar shakhs ki namaz ka bayan Namaz-e-Taraweeh ke masaail Namaz Tahiyatul wazu aur Masjid Namaz-e-Ishraaq aur Chaasht Namaz-e-Tauba aur Tahajjud Salatut Tasbeeh Namaz-e-Hajat Namaz-e-Istikhaara Eid ki namaz Suraj gahan aur chand gahan ki namaz Namaz-e-Janaza ke masaail