Sawal:Agar bimari ki wajah se khade ho kar namaz nahi padh sakta ho to kya kare?
Jawab:Agar khade ho kar namaz nahi padh sakta ho ki iski wajah se bimari aur badh jaayegi ya deer me achchha hoga ya chakkar aata hai yak hade ho kar padhne se peshaab ka qatra aayega ya bahut takleef hogi,To in sab suraton me baith kar namaz padhe.
Sawal:Agar kisi chiz ki tek laga kar khada ho sakta ho to us surat me kya hukm hai?
Jawab:Agar nokar ya laathi ya diwaar wagairah par tek laga kar khada ho sakta hai to farz hai ki khada ho kar padhe.Is surat me agar baith kar namaz padhega to nahi hogi.
Sawal:Agar sirf kuchh deer khada ho sakta hai to uske liye kya hukm hai?
Jawab:Agar kuchh deer bhi khada ho sakta hai agarche itna hi ki khada ho kar “Allahu Akbar” kah le,To farz hai ki khada ho kar itna kahe phir baith jaaye,Nahi to namaz nahi hogi.
Sawal:Agar bimari ki wajah se ruku aur sajda nahi kar sake to kya kare?
Jawab:Aisi surat me ruku aur sajda ishaare se kare.Aur ruku ke ishaare ke muqaable me sajde me ziyadah sar ko jhukaaye.
Sawal:Agar baith kar bhi namaz nahi padh sakta ho to kya kare?
Jawab:Aisi surat me let kar namaz padhe,Is tarah ki chit let kar qibla ki taraf pair kare magar pair phailaaye nahi balki ghutna khada rakhe aur sar ke niche takya wagairah rakh kar kuchh ooncha kar le.Ruku aur sajda sar jhuka kar ishaara se kare.Ye surat ziyadah behtar hai aur ye bhi jaaiz hai ki daaheni ya baayen karwat let kar munh qibla ki taraf kare.
Sawal:Agar koi sar se ishaara bhi nahi kar sake to kya kare?
Jawab:Agar sar se bhi ishaara na kar sake to ab aisi surat me namaz maaf hai aur agar namaz ke 6 waqt isi haalat par guzar gaye to qaza bhi nahi.
Sawal:Peshaab ki tahaili lagi ho to kya uske saath namaz ho jaaegi?
Jawab:Jis mariz ko peshaab ki thaili lagi ho woh shari'at ki nazar me ma'zoor hai,Uske liye usi haal me namaz padhna jaaiz hai,Lekin woh peshaab ki thaili ke saath masjid na jaae balki ghar pe tanha namaz ada kar le.
Share.........
Namaz ki ahmiyat wa fazilat Namaz padhne ka tariqa Namaz ke sharayat wa faraaiz Namaz ke wajibaat aur sunnaten Namaz ke makruhaat aur mufsidaat Sajda sahu ke masaail Qiraat me galti ke masaail Musaafir ki namaz ka bayan Namaz-e-Taraweeh ke masaail Namaz Tahiyatul wazu aur Masjid Namaz-e-Ishraaq aur Chaasht Namaz-e-Tauba aur Tahajjud Salatut Tasbeeh Namaz-e-Hajat Namaz-e-Istikhaara Eid ki namaz Suraj gahan aur chand gahan ki namaz Namaz-e-Janaza ke masaail