Fazilat:Is namaz me be-inteha sawab hai.Buzurgaan-e-deen farmate hain ki:Is ki buzurgi aur fazilat sun kar bhi is namaz ko na padhne wala deen me susti karne wala hai.
Huzur Rahmat-e-Aalam Salllallaho alaihe wasallam ne apne chacha Hazrat-e-Abbas radhi allaho anho se farmaya ki:Aye chacha! Kya main aap ko ata na karun? Kya main aap ko bakhshish na karun? Kya main aap ke saath ehsaan na karun?Kya main aap ko na dun? 10 baaten hain jab aap ise karenge to Allah Ta’ala aap ke har gunah ko agla,pichhla,puraana,naya,Jo bhool kar hua,aur jo jaan boojh kar hua,Chhota,bada,Poshida aur zaahir har tarah ke gunah ko maaf farma dega.Ye farmane ke baad Aap Salllallaho alaihe wasallam ne un ko Salatut Tasbeeh ki namaz padhne ka tariqa bataya.Aur farmaya ki:Agar aap se ho sake to har din ek baar padh liya kijiye.Agar har din nahi ho sake to har juma ko ek baar padh liya kijiye.Aur agar har juma ko bhi na ho sake to saal me ek baar padh liya kijiye.Aur ye bhi na ho sake to puri zindagi me ek baar zarur padh lijiyega.
TARIQA:Is namaz ke padhne ka tariqa Hazrat-e-Abdullah bin Mubarak ki riwayat ke mutabiq jo Tirmizi sharif me hai, ye hai ki:4 rik’at namaz Salatut Tasbeeh ki niyat kar ke Allahu Akbar kahte hue haath baandh le aur Sana padhe.Phir 15 martabah ye tasbeeh padhe.
Subhan-allahi, wal hamdu lillahi, wa laa ilaaha illallahu, wallahu akbar.
Phir Aoozubillah aur bismillah ke saath Surah Fatiha aur koi surah padh kar 10 martabah yahi Tasbeeh padhe,Phir Ruku kare aur Ruku me "Subahana Rabbiyal Azeem" padhne ke baad 10 baar padhe.Phir Ruku se sar uthaae to "Sami-allahu liman hamidah" aur "Rabbana wa lakal hamd" kahne ke baad 10 baar padhe phir sajda me jaae aur sajda ki tasbeeh padhne ke baad wahi tasbeeh 10 baar padhe.Phir sajde se sar utha kar 10 baar padhe phir dusre sajde me bhi sajde ki tasbeeh padhne ke baad 10 baar padhe.Isi tarah se 4 Rik’at padhe.Har rik’at me Al-hamdu aur surah se pahle 15 baar aur baaqi har jagah par 10 baar.Har rik’at me 75 baar tasbeeh aur 4 rik’at me 300 martabah hongi.
Mas’ala:Behtar hai ki is namaz me Surah Takaasur,Wal-Asr aur Surah Kaaferoon aur Surah Ekhlaas padhe.
Mas’ala:Agar is namaz me koi aisi bhool hui jis ki wajah se sajda sahu karna pade to us sajde me ye tasbeeh nahi padhi jaaegi.Aur agar kisi jagah par bhool kar 10 baar se kam padhi to dusri jagah par utna aur padh le ki ginti puri ho jaae.
Mas’ala:Tasbeeh ungulyon par nahi gine balki ho sake to dil hi dil me gine nahi to ungulyon ko daba kar.
Mas’ala:Ye namaz har gair makrooh waqt me ada ki jaa sakti hai magar behtar ye hai ki Zuhar ki namaz se pahle padhe.
Share.........
Namaz ki ahmiyat wa fazilat Namaz padhne ka tariqa Namaz ke sharayat wa faraaiz Namaz ke wajibaat aur sunnaten Namaz ke makruhaat aur mufsidaat Sajda sahu ke masaail Qiraat me galti ke masaail Musaafir ki namaz ka bayan Bimar shakhs ki namaz ka bayan Namaz-e-Taraweeh ke masaail Namaz Tahiyatul wazu aur Masjid Namaz-e-Ishraaq aur Chaasht Namaz-e-Tauba aur Tahajjud Namaz-e-Hajat Namaz-e-Istikhaara Eid ki namaz Suraj gahan aur chand gahan ki namaz Namaz-e-Janaza ke masaail