Namaz Tahiyatul Wazu Wa-Masjid



Fazilat:Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki:Jo shakhs wazu kare aur us ke baad zaahir aur baatin ke saath motawajjeh ho kar do rik’at namaz (Tahiyatul Wazu) padhe to us ke liye jannat wajib ho jaati hai.(Sahih Muslim,Hadis No.234)
Mas'ala:Behtar ye hai ki jab bhi wazu kare to wazu ke baad ye do rik’at namaz padh le.Kyunki hadees sharif me is ke bade faaide aae hain.Hazrat-e-Burida radhi allaho anho bayan karte hain ki:Ek subah Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne Hazrat-e-Bilal ko bulaya aur farmaya ki:Aye Bilal kis amal ki wajah se tum kal raat jannat me mere aage aage chal rahe the,Main ne apne aage tumhare juto ki aa-hat suni.Hazrat-e-Bilal radhi allaho anho ne kaha:Ya Rasolallah Sallallaho alaihe wasallam!Main jab bhi wazu karta hun to do rik’at namaz padh leta hun.Aur jab bhi mera wazu toot jaata hai to main usi waqt wazu kar leta hun.Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki isi wajah se.(Al-Mustadrak,Kitab ma’arefatus Sahaba,Hadees No.5245)
Tariqa: Jis tarah se do rik’at nafal namaz padhi jaati hai.Thik usi tarah se do rik’at namaz Tahiyatul Wazu bhi padhi jaaegi.Sirf niyat ka farq hoga.Is ki niyat is tarah se kare ki Ya Allah!Main niyat karta hun do rik’at namaz Tahiyatul Wazu ki tere liye munh mera kaaba sharif ki taraf Allahu Akbar.
Hadees:Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki:Jo shakhs masjid me daakhil ho to baithne se pahle do rik’at namaz padh le. (Sahih Bukhari,Hadis No.444)
Mas’ala:Agar koi shakhs aise waqt masjid me daakhil hua jis waqt me nafli namaz padhna makroh hai jaise Asar ke baad to us ke liye hukm hai ki woh Tahiyatul Masjid ki namaz nahi padhe Balki tasbeeh aur darood sharif wagairah padh le to masjid ka haq ada ho jaaega.
Mas’ala:Har din ek baar Tahiyatul Masjid ki namaz padh lena kaafi hai har baar zarurat nahi.(Bahar-e-Shari’at,Hissa 4,Page No.474.475)
Share.........




Related Topics



Namaz ki ahmiyat wa fazilat Namaz padhne ka tariqa Namaz ke sharayat wa faraaiz Namaz ke wajibaat aur sunnaten Namaz ke makruhaat aur mufsidaat Sajda sahu ke masaail Qiraat me galti ke masaail Musaafir ki namaz ka bayan Bimar shakhs ki namaz ka bayan Namaz-e-Taraweeh ke masaail Namaz-e-Ishraaq aur Chaasht Namaz-e-Tauba aur Tahajjud Salatut Tasbeeh Namaz-e-Hajat Namaz-e-Istikhaara Eid ki namaz Suraj gahan aur chand gahan ki namaz Namaz-e-Janaza ke masaail



Dawat-E-Quran