Sawal:Ghar ke andar mahram mard-o-aurat jama’at ke saath namaz padh sakte hain ya nahi?
Jawab:Mardo ke liye masjid me jama’at ke saath namaz ada karna zaruri hai jab ki aurato ko ghar me namaz ada karni chaahiye.Agar kisi wajah se masjid me jama’at ho jaae ya masjid namaz ka mauqa nahi mil sake to aisi surat me mard ko chaahiye ki ya to dusri masjid ki jama’at me shaamil ho jaae,Nahi to tanha padhne ke bajaae ghar walo ke saath mil kar jama’at se namaz padhna afzal hai.Huzur Sallallaho alaihe wasallam ek martabah do fariqo me sulah karaane tashrif le gaye aur jab Aap Sallallaho alaihe wasallam waapas aaye to masjid me jama’at ho chuki thi,Us mauqe par Aap Sallallaho alaihe wasallam ghar jaa kar ghar walo ke saath jama’at se namaz padhaayi.
Ghar me namaz ki jama’at me saff banana ka tariqa ye hai:
Agar sirf ek mard aur ek aurat ho jaise miya biwi ho to mard imam bane aur job hi aurat ho pichhe saff me khadi ho,Imam ke daahine ya baaen khadi na ho.
Agar saath me ek se ziyadah bachche bhi hon ya dusre mahram mard hon to imam aage khada ho,Pahli saff me mard/bachche khade ho,Aur us se pichhli saff me biwi ya jo ghar ki auraten hon,Khadi hon.
Aur agar imam ke elawah ek mardy a ek bachcha ho to woh mard ke daaheni taraf thora pichhe khada ho aur baaqi auraten pichhe saff me khadi hon.
عن أنس قال : صلى بي رسول الله صلى الله عليه و سلم وبامرأة من أهلي فأقامني عن يمينه والمرأة خلفنا
(Sunan Nisaayi Al-kubra,Hadees No.879)
عن أنس أنه : كان هو ورسول الله صلى الله عليه و سلم وأمه وخالته فصلى رسول الله صلى الله عليه و سلم فجعل أنسا عن يمينه وأمه وخالته خلفهما ۔
(Sunan Nisaayi Al-kubra,Hadees No.878)
Wallahu a’alamu bis-sawab.
.
Share........
Nabalig ladke ki azaan durust hoti hai ya nahi? Azaan hone ke baad masjid se nikalna kaisa hai? Takbeer ke shuru me khada hona kaisa hai? Namaz me Mobile band karne ka Mas'ala Shaafayi imam ke pichhe hanfi ki namaz? Pant takhne se niche kar ke namaz padhne ka hukm Nange sar namaz padhna kaisa hai? Kab namaz tor dena jaaiz hai? Aurat apne maike me puri namaz padhegi ya qasar?