Etekaaf Ke Masaail



Etekaaf ki Fazilat:Masjid-e-Jama’at me Allah Ta’ala ke liye niyat ke saath thaharne ko etekaaf kahte hain.Huzur Sallallaho alaihe wasallam har saal Ramzan ke aakhir 10 din khud masjid me etekaaf farmaya karte the aur Aap Sallallaho alaihe wasallam ne is ki badi fazilat bayan farmaya hai.
HadeesHazrat-e-Ibne Abbas radhi allaho anho bayan karte hain ki:Beshak Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne etekaaf karne wale ke bare me farmaya ki:Woh gunaaho se ruka rahta hai.Aur use nekiyo se itna ziyadah sawab milta hai jaise us ne tamaam nekiyan ki.[Ibne Majah,HAdis No.1781]
HadeesHazrat-e-Imam Husain radhi allaho anho se riwayat hai ki: Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki:Jis ne Ramzanul Mubarak me 10 dino ka etekaaf kar liya to aisa hai jaise us ne 2 haj aur 2 umre ada kiya.[Sho,abul iman,Hadis No.3681]
HadeesHazrat Abdullah bin Abbas radhi Allaho anhuma se riwayat hai ki Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya:Jo shakhs Allah ki riza ke liye ek din etekaaf karta hai,Allah Ta’ala uske aur jahannam ke darmiyan 3 khandaqo ka faasla kar deta hai aur har khandaq pachchhim se purab tak ke darmiyani faasle se bhi ziyadah lambi hai.(Al-Mo’jamul Ausat lil-Tabrani, Hadees No:7326)
Mas'ala:Etekaaf ki 3 qisme hain.(1) Etekaf-e-Wajib. Jaise kisi ne mannat maani ki main itne dino ka etekaaf karunga to ab us par wajib hai ki woh etekaaf kare.(2) Etekaaf-e-Sunnat. Ramzan ke aakhir 10 din ka etekaaf karna sunnat hai.(3)In dono ke elawah jo etekaaf kiya jaaye jaise ek din ka ya do din ka who Nafil hai.
Mas'ala:Etekaaf karne wale ke liye pakhaana peshaab ke elawah aur kisi wajah se Masjid se nikalna jaaiz nahi.Hazrat Ummul Momenin Aaisha radhi Allaho anha ne bayan farmaya ki: Etekaaf karne wala bimar ki iyaadat ko nahi jaae aur nahi janaza me haazir ho nahi aurat ko haath lagaaye aur nahi us se hambistari kare aur nahi kisi aur zarurat se jaae siwaaye us zarurat ke jo tab’ee hai.(Yani pakhaana peshaab ke liye) (Abu Dawood,Hadees No.2473)
Mas'ala:Etekaaf karne wale ke elawah Masjid me kisi aur ke liye khaana pina jaaiz nahi hai.
Mas'ala:Etekaaf karne walo ko chaahiye ki ziyadah se ziyadah Quran Majeed ki tilawat,Hadees sharif ka mutaala, Darood sharif ki kasrat,Ilm-e-deen ka dars-o-Tadrees aur in ke elawah dusre ibaadat wa riyazat karte rahen.
Mas'ala:Begair kisi uzr ke masjid se baahar nikalna,Etekaaf ki halat me hambistari karna, Aurat etekaaf me ho to haiz-o-nifaas ka jaari hona, Kisi uzr ki wajah se masjid se nikal kar zarurat se ziyadah rukna,In sab surato me etekaaf toot jaata hai.
Mas'ala:Etekaaf-e-Sunnat aur Wajib me roza shart hai,Is liye roza tor dene se bhi etekaaf toot jaata hai,Chaahe ye roza kisi uzr se tora hoy a begair kisi uzr ke.Jaan bujh kar tora hoy a galti se,Har surat me etekaaf toot jaata hai.
Mas'ala:Fanaaye Masjid yani woh jagah jo masjid ki zarurato ke liye masjid ke ehaate ke andar hon jaise wazu khaana,Gusal khaana wagairah,in jaghon par begair zarurat bhi jaane se etekaaf nahi toot- ta hai.
Mas'ala:Etekaaf karne wala majburi ki haalat me ek masjid se dusari masjid me muntaqil ho sakta hai.Jaise ki jis masjid me etekaaf shuru kiya ho wahan jaan ya maal ka khatra laahiq ho jaae ya masjid gir jaae to aisi surat me us masjid se nikal kar fauran kisi nazdiki masjid me etekaaf ki niyat se chale jaana chaahiye.
Mas'ala:Auraten bhi etekaaf me baith sakti hain.Huzur Sallallaho alaihe wasallam ki biwiya bhi etekaaf me baitha karti thi.Jaisa ki hadees sharif me hai. Ummul momenin hazrat Aaisha radhi allaho anha bayan karti hain ki: Huzur Nabi Kareem Sallallaho alaihe wasallam Ramzan ke aakheri 10 dino me etekaaf kiya karte the yahan tak ki Allah Ta’ala ke hukm se Aap Sallallaho alaihe wasallam ka wisaal Mubarak ho gaya.Phir Aap Sallallaho alaihe wasallam ke baad Aap ki paak biwiyo ne bhi etekaaf kiya hai.(Sahih Bukhari,Hadees No:1922)
Mas'ala:Aurat apne ghar me jo jagah namaz ke liye khaas ki hai usi me etekaaf kare.Us jagah ko “Masjidul Bait” kaha jaata hai.Aur agar pahle se koi jagah khaas nahi ki hai to ab kar le.
Mas'ala:Ramzan me kisi majburi ki wajah se sunnat etekaaf toot jaaye aur Ramzan ka roza bhi chhot jaae,To Eid ke baad jab Ramzan ke rozon ki qaza kare to etekaaf ki bhi qaza kar le.Agar Ramzan ke qaza roze ke saath etekaaf nahi kiya to baad me nafil roza rakh kar etekaaf pura kare.
Mas'ala:Agar nafil etekaaf chhor de to uski qaza wajib nahi,Lekin sunnat etekaaf jo Ramzan ke aakheri 10 dino me kiya jaata hai,Use tora to jis din tora usi se aage baaqi dino ki qaza kare,Pure 10 dino ki qaza karna waajib nahi. Aur agar wajib yani mannat ka etekaaf chhora to agar woh kisi khaas mahine ki mannat thi to baaqi dino ki qaza kare.Lekin agar lagataar etekaaf karne ki niyat thi to phir naye sire etekaaf kare.Aur agar lagataar etekaaf karne ki mannat nahi maani thi to sirf baaqi dino ki etekaaf kare.
Mas'ala:Etekaaf ke darmiyan aisi bimari ho jaae jis ka elaaj etekaaf ki jagah se baahar jaae begair mumkin nah o,Ya maa baap.Biwi bachcho ya bahan bhaaiyo me se koi sakht bimaari ho jaae ya koi haadesa pesh aa jaae aur ghar me dusra ko dekh bhaal karne wala nah o,Ya maa baap bahan bhaayi ya koi aziz achaanak inteqaal ho jaae to in surato me etekaaf tor dena jaaiz hai.Isi tarah agar etekaaf karne wale ko koi zabardasti masjid se nikal de ya hukumat etekaaf me giriftaar kar le ,To in surato me etekaaf toot jaaega lekin us surat me etekaaf torne ka gunaah etekaaf karne wale ko nahi hoga.
Share.........




Related Topics



Ramzan-ul-Mubarak ki Fazilat Roze Ki Ahmiyat Wa Fazilat Roze Ki Niyyat Ke Masail Un Cheezon ka Bayaan jinse Rozah Nahin Toot ta Rozah Torne Waali Cheezon Ka Bayan Roze Ke Makhroohat Ka Bayaan Un Surton Ka Bayaan Jin Me Sirf Qazaa Laazim Hai Un Surto Ka Bayaab Jinme Qaza Ke Saath Kaffara Bhi Laazim Hai. Kaffara Ka Bayan Aur Uske Laazim Hone Ki Sharten Sehri Wa Iftaar Ka Bayaan Kin Halaaton Me Rozah Na Rakhne Ki Ijaazat Hai Roze Ke Fidya Ke Masail Shab-e-Qadar Ki Fazilat Nafli Rozo Ka Bayan



Dawat-E-Quran