Un Suraton Ka Bayaan Jin Me Sirf Qazaa Laazim Hai



Mas'ala:Ye Gumaan Tha Ki Subah Nahin Hui Aur Khaaya ya Piya Ya HumBistari Kiya. Baad Ko Maloom Hua Ki Subah Ho Chuki Thi To Sirf Qazaa Laazim Hai Yaani Iss Roze Ke Badle Me 1 Rozah Rakhna Hoga.
Mas'ala:Bhool kar Khaaya Piya Ya HumBistari Ki Ya Ehtlaam(Night Fall) Hua Ya Ulti Hui Aur Inn Sab Surton Me Ye Gumaan Kiya Ki Rozah Toot Gaya Ab Jaan Bujh kar Kha Liya To Sirf Qazaa Farz Hai.
Mas'ala:Kaan Me Tel Tapkaya Ya Naak Se Dawa Chadhaya Ya Subah Ko Niyyat Nahin Ki Thi Din Mein Zawaal Se Pehle Niyyat Ki Aur Niyyat Ke Baad Khaa Liya Inn Sab Surton Me Sirf Qazaa Laazim Hai Kaffara Nahin.
Mas'ala:Waqt Samajh kar Iftaar Kar Liya jabki Din Baaki Tha To Sirf Qaza Laazim Hai.
Mas'ala:Naabaalig Bachche Ne Rozah Rakh kar Todh Diya To Uspar Qaza Nahin
Mas'ala:Qai (Ulti) Aayi Ya Bhool kar Khaya Piya Aur Inn Sab Surton Me Use Maloom Tha Ki Rozah Na Gaya Phir bhi Kha Liya To Kaffara Laazim Nahin(Qazaa Zaroori Hai).
Share.........




Related Topics



Ramzan-ul-Mubarak ki Fazilat Roze Ki Ahmiyat Wa Fazilat Roze Ki Niyyat Ke Masail Un Cheezon ka Bayaan jinse Rozah Nahin Toot ta Rozah Torne Waali Cheezon Ka Bayan Roze Ke Makhroohat Ka Bayaan Un Surto Ka Bayaab Jinme Qaza Ke Saath Kaffara Bhi Laazim Hai. Kaffara Ka Bayan Aur Uske Laazim Hone Ki Sharten Sehri Wa Iftaar Ka Bayaan Kin Halaaton Me Rozah Na Rakhne Ki Ijaazat Hai Roze Ke Fidya Ke Masail Shab-e-Qadar Ki Fazilat Etekaaf Ke Masaail Nafli Rozo Ka Bayan



Dawat-E-Quran