Roze Ki Ahmiyat Wa Fazilat



Roze ki fazilat dusri ibaadato ke muqaable me kyi guna ziyadah aur be-hisaab hai,Is tarah se ki insaan ke har nek kaam ka badla 10 se 700 guna tak diya jaata hai jabki roza ka sawab khud Allah Ta’ala deta hai.Hadees-e-Qudsi hai:
Aadam ke bete ka har amal uske liye hai siwaae roze ke,Ye (Roza) mere liye hai aur main hi uska sawab dunga.(Sahih Bukhari,Hadees No:1904)
Roza rakhne wale ko Allah Ta’ala ki taraf se be-inteha ajr-o-sawab ke saath kyi khushyan bhi milengi. Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki: Roza rakhne wale ke liye do khushyan hain.Ek jab woh iftaar karta hai to khush hota hai aur dusri ye ki jab woh Allah Ta’ala se milega to apne roze ki wajah se khush hoga. (Sahih Bukhari,Hadees No:1904)
Aur Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya:Qasam hai us zaat ki jis ke qabze me meri jaan hai! Roza rakhne wale ke munh ki boo,Allah ke nazdik mushk ki khushbu se ziyadah paakiza hai.(Sahih Muslim,Hadees No:1151)
Roza ki be-inteha ahmiyat wa fazilat ka andaaza is se lagaaya jaa sakta hai ki Jab hazrat Abu umama baaheli radhi Allaho anho ne arz kiya:Ya Rasoolallah!Mujhe kisi aisi chiz ka hukm dijiye jis se Allah Ta’ala mujhe faaida de,To Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya:Roza ko apne upar laazim kar lo,Kyunki iski tarah koi amal nahi hai.(Sunan Nisaayi,Hadees No:2221)
Roza ki fazilat bayan karte hue ek mauqe par Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya:Roza jahannam se bachaane wali dhaal hai jis tarah jang me (Dushman ke war) se bachne ke liye tum me se kisi ki dhaal hoti hai.(Ibne Majah,Hadees No:1639)
Is ke elawah roza ke be-shumar fazilate aur barkate hain,Magar ye sirf un khush-naseeb bando ke hisse me aati hai jo Allah ki riza ke liye khaana pina chhorne ke saath Allah aur uske Rasool ki har mana ki hui baato ko chhor dete hain aur taqwa ekhtiyar karte hain.Khud ko jhoot,gibat,chugal-khori wagairah se bachate hain.Iske ulat woh log jo roza rakh ke bhi galat kaamo ko nahi chhorte unke bare me Allah ke Rasool Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya: Bahut se roza rakhne wale aise hain jink o roza se bhok ke elawah kuchh haasil nahi hota.(Ibne Majah, Hadees No:1690)
Aur ek dusri hades me farmaya ki: Jo shakhs jhoot bolna aur uspar amal karna nahi chore to Allah Ta’ala ko is baat ki koi parwaah nahi ki usne khaana pina chhor diya hai.(Tirmizi, Hadees No:707)
Share.........




Related Topics



Ramzan-ul-Mubarak ki Fazilat Roze Ki Niyyat Ke Masail Un Cheezon ka Bayaan jinse Rozah Nahin Toot ta Rozah Torne Waali Cheezon Ka Bayan Roze Ke Makhroohat Ka Bayaan Un Surton Ka Bayaan Jin Me Sirf Qazaa Laazim Hai Un Surto Ka Bayaab Jinme Qaza Ke Saath Kaffara Bhi Laazim Hai. Kaffara Ka Bayan Aur Uske Laazim Hone Ki Sharten Sehri Wa Iftaar Ka Bayaan Kin Halaaton Me Rozah Na Rakhne Ki Ijaazat Hai Roze Ke Fidya Ke Masail Shab-e-Qadar Ki Fazilat Etekaaf Ke Masaail Nafli Rozo Ka Bayan



Dawat-E-Quran